Skip to main content

Posts

Showing posts from August, 2012

Woh ajnabi ajnabi se chehray,woh khawab khaimay rawan dawan se

Woh ajnabi ajnabi se chehray,woh khawab khaimay rawan dawan se Basay hoay hain abhi nazar mein,sabhi manazir dhuwan dhuwan se Yeh aks-e-dagh-e-shikast-e-pay maan,wo rung-e-zakhm-e-khulos-e-ya raan Main ghumgusaaroon mein sochta hoon,keh baat chheroon kahan kahan se ... Ye sungraizay adawtoon ke,woh aabgenay sakhawtoon ke...!! Dil-e-musafir qubool kar le, mila hai jo kuch jahan jahan se Bichharrnay walay bichherr chala tha to nisbtain bhi ganwa ke jata Teray liey shehr bhar se ab bhi main zakhm khaaon zubaan zubaan se Meri mohabbat ke wehmoon se paray tha tera wujood warna..!! Jahan jahan tera aks thera, main ho ke aya wahan i dekha jata wahan se Tu humsafar hai na humnafas hai,kisay khabar hai keh tu kidhar hai Main dastkain de ke pooch baitha makeen makeen se makan makan se Abhi mohabbat ka ism-e-aazam laboon pe rehnay de jan-e-MOHSIN Abhi hai chahat nai nai si, abhi hain jazbay jawan jawan se

ashk apna ke tumhara nahi dekha jata

    ashk apna ke tumhara nahi dekha jata abr ki zad mein sitara nahi dekha jata terey chehrey ki kashish thi ke palat ker dekha warna soraj to dobara nahi dekha jata ... mouj dar mouj ulajhney ki hawas be mani dobna ho to sahara nahi dekha jata apni sheh rag ka lahoo tan mein rawan hey jab tak zer e khanjar koi peyara nahi dekha jata zakhm ankhon ke bhi shetey they kabhi dil waley ab to abroo ka ishara nahi dekha jata kiya qayamat hai ke dil jis ka nagar hai mohsin dil pe us ka bhi ijara nahi dikha jata......!

Raah-e-wafa men szao'n ko kon dekhe ga

    Raah-e-wafa men szao'n ko kon dekhe ga Safar hy dhoop ka chaao'n ko kon dekhe ga Ham apni zid pe aaye to cheen lein gy tuje Tere sheher ki lambi diwaro'n ko kon dekhe ga  Teri  bazm  k hm wo chraag hain K jb jale to hawao'n ko kon dekhe ga Bichar to jayen mgr phir kheyal aata hy Teri in dilkash adao'n ko kon dekhe ga

Kis TarHa'n UsKo ChoRh Kr BhaLa Jaya Ja'y.,

      Kis TarHa'n UsKo ChoRh Kr BhaLa Jaya Ja'y., MuJh Sy BhaRh Kr Jo MeRay Jism Mein Paya Ja'y.. SHAYARI MARTA HUA FANN HAI KOI KEHTA THA., KEHNAY WALAY KO MERA SHAIR SONAYA JA'Y.. ... DusRay IsHq k AsaIb Sy BacHnay K Liye., UsKi TasVeEr Ka TaVeEz Bnaya Ja'y!!

Ghar laut k jae'n ge tu pae'n ge amaa'n bhi

Ghar laut k jae'n ge tu pae'n ge amaa'n bhi aankhoo'n ki thakan krnay lagi raaz aya'n bhi  You'n dil na baharoo'n se laga 'o k suna hai Rastay me mohabbat k para'o hai khiza'n bhi ... Gar tujh se ulajhti hai'n nigahai'n tu bura kya? Is dil me teri chah ka rehta hai guma'n bhi Badlay huay mausam ko koi jaa k bataye Badlay jo agar hum tu badal jaye zama'n bhi Barish me na beh jaye mera kacha gharonda Barsa hai jo is baar yeh ashkoo'n ka rawa'n bhi

Tumhen farak nahi parhta.....!

    Tumhen farak nahi parhta.....! Main tum se roth jaon tou, Tumhare pas na aaon tou, ... Phir tum se door jaa kar main, Kabhi wapis na aaon tou, Tumhari yaad mein gum sum, Kabhi aansu bahaon tou, Tumhen fark nahi parhta....! Tumhare piyar mein aksar, Khud ko bhool jaaon tou, Main teri deed mein tanha, Kabhi khud ko mitaon tou, Main tumse door reh kar phir, Akele marr bhi jaaon tou, Tumhen fark nahi parhta

Habs-e-Duniya Se Guzar Jaatay Hain

      Habs-e-Duniya Se Guzar Jaatay Hain Aisa Kartay Hain Ke Mar Jaatay Hain Kaisay Hotay Hain Bicharnay Waalay ? Hum Ye Sochain Bhee Tou Dar Jaatay Hain Dil Jo Tootay Tou Sar-e-Mehfil Bhi ... Baal Be-Wajaa Bikhar Jaatay Hain Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhain Charhtay Darya Tou Utar Jaatay Hain Dhoop Ka Roop Rachaanay Waalay Shaam Ko Aur Nikhar Jaatay Hain Tum Kahaan Jao Ge Socho Mohsin ? Log Thak Haar Ke Ghar Jaatay Hain

Khwaab Aankhon Mein Chubho Ker Dekhoon

Khwaab Aankhon Mein Chubho Ker Dekhoon Kaash Main Bhe Kubhi So Ker Dekhoon Shayed Ubhray Teri Tasveer Kaheen Main Teri Yaad Mein Ro Ker Dekhoon Issi Khwahish Mein Mitta Jaata Hun ... Tere Paon, Teri ThoKer Dekhoon Ashk Hain , Vehm Ki Shabnam , K Lahoo?? Apni Palkain Tou Bhigo Ker Dekhoon Kesa Lagta Hai Bichhar Ker Milna ? Main Achanak Tujhe Kho Ker Dekhoon Ab Kahaan Apne Girebaan Ki Bahaar ? Taar Mein Zakhm Pirro Ker Dekhoon Mere Hony Se Na Hona Behtar Tu Jo Chahay , Tera Ho Ker dekhoon ? Rooh ki Gardd Se Pehlay MOHSIN . . Daagh-e-Daman Ko Tou Dho Ker Dekhoon..!

wo yahaN se nahiN gaya ab tak

    wo yahaN se nahiN gaya ab tak” sab wahiN hay paRa hua ab tak khwaab ankhoN se hay khafa ab tak so mujhy neend hay sazaa ab tak ..  tum ne jo dard-e-dil diya tha kabhi koi us meiN hay mubtilaa ab tak wo jisy tum ne tanha choRa tha, wo kisi ka nahiN hua ab tak us ki ankhaiN thiN is qadar roshan mera din hi nahiN dhala ab tak wo chubhan aj bhi hay kal jesi zakhm bhi hay naya naya ab tak maiN adam se kahaN chala aya, raasta pa nahiN saka ab tak wo jisy maiN ne apna ap diya  wo mera ho nahiN saka ab tak keh do ja kr mery maseeha se, mer chuka huN mai bar’haa ab tak ab nahiN ho gi shairi mujh se likh diya jo bhi likh saka ab tak kesi bad-qismati hay ye , mil k bhi wo nhi mila ab tak…  

SUNO!

SUNO! Zindgi apni hans kar basar karna Nafraton k raste pe na sfar krna SUNO! ... Wafa na ho to mohbat adhori hay Mohabt k safar me wafa ki fikar karna SUNO! Zamana jitna b ho hamdard tumhara Zamane ko na sharike safar karna. SUNO! Mohabat har kisi ka mukadar nahi hoti Mile jo mohabat to is ki kadar karna.

''Yh Jo Ankho Main Numaiyan si Nammi Aai Hy ''

      Yh Jo Ankho Main Numaiyan si Nammi Aai Hy '' yun na samjhna k mery gham main kammi si aai hy dard nikla hy nai rah py holy holy justju jaan k palkon ny bhi gaysu kholy ... dil ko araam mily lab sy kaho khuch boly gard arsy sy mery yar jammi ai hy ''Yh Jo Ankhain Main Numaiyan Si Nammi Aai Hy '' dard seeny main chupa rhta to pagal krta zakhm assy yh lagata k main hr pall marta koi marham bhi na aissa tha,k in ko bherta ankh k rasty dukh dard, ghammi aai hy yh jo ankho main numaiyan si nammi aai hy '

pyar bhare is pal mein jhum lu,

pyar bhare is pal mein jhum lu, milke tumse pal bhar mein,saari zindagi ji lu, har aahat mein mehsus karti hu tumhe, is kadar chahne lagi hu tumhe, ... u meri saanso mein bus gayi hai teri khushbu, kar na de teri mohabbat mujhe bekaabu, baarish k bundo ki chuwan se machal si gayi hu mai, teri aagosh mein u simat si gayi hu mai, tamanna hai k teri dhadkan ban jau, u tere dilo dimag mein shaamil ho jau, pyar ka ehsas dilaya hai tumne, banke aarzu is dilko tarsaya hai tumne, har duwa mein maangne lagi hu tumhe, har ek chehre mein dhundne lagi hu tumhe, amil jao tum mujhse is kadar,k ho jau mai bekhabar, bus thaam lo apni pannaho mein aur ban hi jao ab mere hamsafar ...

Aansoo Bhar Aaye Aankh Mein Har Ikk Hansi Ke Baad

Aansoo Bhar Aaye Aankh Mein Har Ikk Hansi Ke Baad Gham Ban Gaya Naseeb Maira Har Khushi Ke Baad Nikla Tha Kaarwaan Mohabbat Ki Raah Mein Har Morr Pay Nafrat Kharri Thi Har Gali Ke Baad ... Socha Tha Pyar Ka Main Sajaoon Ga Gulsitaan Har Phool Jal Gaya Maira Ban Kar Kali Ke Baad Chahat Ki Be-basi Ka Ye Qissa Hai Mukhtasar Dil Ne Sakoon Na Paaya Kabhi Dil Lagi Ke Baad Abb Raakh He Samait-ta Hoon Aashiyaney Ki Khud Hi Jala Diya Tha Jaisey Aajazi Ke Baad Suntey Hain Baad Marney Ke Milta Hai Sab Sila Daikhein Gey Kya Miley Ga Humein Zindagi Ke Baad

Mairay khawaboon k gulshan mai hawaien raqs karti hain

Mairay khawaboon k gulshan mai hawaien raqs karti hain Mairay hontoon ki larzish mai wafaien raqs karti hain Mujhay wo lakh tar’pai magr us shaksh ki khatir Mairay dil kay andheron mai dua’ien raqs karti hain ... Ussay kehna kay loat aaye sulgati shaam say pehlay Kisi ki khushk ankhoon mai sad’ain raqs karti hain Utar’ta hoon jab kabhi kitabo kay samundar mai Khawabeeda chehray ki ada’ain raqs karti hain Khuda janay kon si kashish hai tairi yadoon mai Taira zikr chairoon to hawa’ain raqs karti hain

MALOOM NA THA THEHREY TO DEHEL JAEY GA TOOFAN

MALOOM NA THA THEHREY TO DEHEL JAEY GA TOOFAN KAM FEHM THEY, SOCHA THA, SEHEL JAEY GA TOOFAN. SHAKHON NEY DUA PAIR KO DI LAMBI UMAR KI....... KIA SHAAKH K GIRNEY SE BEHEL JAEY GA TOOFAN? NAZAN NA HO NADAN KHUSHI PAR, DO GHARI KI MOSAM K ISHARON KO BADAL JAEY GA TOOFAN. TAKLEEF TO SEHNI HI PAREY GI, MAGAR IK DIN RATON K ANDHERON KO NIGAL JAEY GA TOOFAN. SAPNON KI AZIYAT KO MUQADAR NA SAMAJHNA, HATHON KI LAKEERON KO BADAL JAEY GA TOOFAN. UMMEED K JUGNU KO NA MUTHI SE RIHA KAR! KUCH DAIR TO RUK JA, K SANBHAL JAEY GA TOOFAN. MAAON KI DUAON MEIN HAI TASEER KA JADU, HATHON K UTHANEY SE HI TALL JAEY GA TOOFAN.

Bhar pahela jam mairay naam saqi

Bhar pahela jam mairay naam saqi Nahin to hoga koi badnaam saqi Chain mila nahi kahin dil ko itna Hota hun isi liyae roz mehman saqi Sharab hy itna kahan kharab? Tutay dil ka hy aaram saqi Janam baghair jee gaya youn hi zindagi! Diya sahara sharab ne ban ke jaan saqi Sharab ho ya zahar na padta faraq koi Hogayi zindagi maut ka saman saqi Sharab ne kar diya hy mujhay bilkul nachiz Varna bahot manghay the mairay dam saqi Dunya me ho jaounga eik din ajnabi Eik sharabi ki tarah rahegi pehchan saqi Per kiyun aisi pehchan ho ke ho badnaam saqi Mae Haq piladay aur kar le tera naam saqi Maekhwar to voh hain jo zamane se dar gayae Jaam Vahdat piladay aur ker le tera naam saqi Usi ki yaad me jeena usi ki yaad me marna Usi me hy nihan jaan ka aaraam saqi

jitni mehroom tamannayen hain

jitni mehroom tamannayen hain raat ke sard sard pehron mein toote khwaabon ko yun jalaati hain jaise unki tapish ko khud me le phir se vo aur jeena chahti hain koi jaker inhe ye samjhaaye din badda sakht hai aane waala saare jalte hue khwaabon ki raakh us ki sakhti ko kuch badha degi in tamannaon ki chahat us ko bereham aur kuch bana degi tum ho mehroom to ye maan bhi lo tum ko ab zindigi nahi milna laakh khwaabon ki tum tapish lelo ab koi saans na tumko milna mar chuki ho to dafn ho jaao kahin tum rooh me jaake kho jaao rooh ka honsla bahut hai azeem tumko bhi rakh ke muskuraayegi zindigi raas na tum ko aai rooh taskeen tumhe dilaaye gi thodda thehro ye aansu ponch to lo rooh se milne tumko jaana hai kitne gham dafn hain vahaan jaane tum ko qabren bahut milengi vahan paak ho jaao jaane se pehle jitne bhi dafn hain sab the masoom tum se hi to the mehkate se vo sab haan hain sab vo mere armaan ke phool unko jaker salaam tum kehna aur kehna ki humm bhi aaiin hain hume duniya na raas aai...

Main chup raha keh zeher yehi mujh ko raas tha

Main chup raha keh zeher yehi mujh ko raas tha Wo sang-e-lafz phaink kar kitna udaas tha Aksar meri qaba pay hansi aa gai jissay Kal mill gaya toh wo bhi dareeda libaas tha Mai dhoondhta tha door khalaaon mai ek jism Chehron ka ek hajoom meray aas paas tha Tum khush they patharon ko khuda jaan kar magar Mujh ko yaqeen hai wo tumhaara qayaas tha Bakhsha hai jis nay rooh ko zakhmon ka perahan *Mohsin* wo shakhs kitna tabiyat shanaas tha...

thahar jao k hairani to jaye

thahar jao k hairani to jaye tumhari shakl pahchani to jaye shab-e-gam tu hi mahman ban k aja hamare ghar ki wirani to jaye zara khul kar bhi ro lene do ham ko k dil ki ag tak pani ho jaye bala se tor dalo ainon ko kisi surat ye hairani to jaye  

Tark E muhabbat kar baiThe hum, zabt E muhabbat aur bhi hai

Tark E muhabbat kar baiThe hum, zabt E muhabbat aur bhi hai Ek Qyaamat  beet chuki hai,  ek Qyaamat aur bhi hai Hum ne usi ke dard se apne saaNs ka rishta joR liya Wana shahr me zindaa rahne ki ek surat aur bhi hai Doobta suraj dekh ke khush rahna kis ko raas aaya Din ka dukh sah jaane walo, raat ki wahshat aur bhi hai Sirf rutoN ke saath badalte rahne par mauQoof nahi Us me bach_choN jaisi zid karne ki aadat aur bhi hai Meri bheegti palkoN par jab us ne donoN haath rakhe Phir yeh bhed khula in ashkoN ki kuchh Qeemat aur bhi hai Us ko gaNvakar ‘Mohsin’us ke dard ka Qarz chukaana hai Ek aziyyat maaNd paRi  hai, ek aziyyat aur bhi hai  

Deepak Jugunu Chand Sitare Ek se Hai

Deepak Jugunu Chand Sitare Ek se Hai Yani Saare Ishq ke Maare Ek se Hain ! Hijr ki Shab me Dekh to aake Mere Chand Mere Aansu aur ye Taare Ek se Hain ! Darya Hoon Mai Bher Bhav ko kya janu Mere Liye to Dono Kinare Ek se Hain ! Meri Kashti kis ne Duboyi kya Maloom Sari Lehrien saare Dhaare Ek se Hain ! Kuch apne aur kuch Be-Gaane aur Mai khud Meri Jaan k Dushman saare Ek se Hain ! Ab Batlao Hum kis se Fariyad Karien Kaatil, Haakim, Munsif saare Ek se Hain !

Sochti hoon ke mein ne...

Sochti hoon ke mein ne... kion chaha, kion itna eitebaar kiaa... tum ne chorr hi to jana thaa... ajab si baat hai... aankh band ho tumhen sochoon... har dil ki dharrkan ...tumhen mangey... is qadar pyar to nahen paao ge... is terah paas koi aaye bhi to... yaqeen hai mujh ko... dhoondhtey raho ge... lekin...kisey...kahan.. koi nahen hai ab to... jisko dhoondh paao.. jissey dil ka haal sunao... koi nahen hai... khud hi to torr diye tum ne... chahaton ke sab rishtey.. sab kassmen khud hi torr deen tumne... sochti hooon...ab to shayed aitebaar ker hi na paaoon.. jorr liya hai rishta.. is tanhaayee se .. jo pal pal ehsaas dilati hai... ke wo meri hai... haan ye tanhayee meri hai.... aur koi nahen kabhi nahen....!!!!

Kya sochty rehty ho sadaa raat gaye tk?

Kya sochty rehty ho sadaa raat gaye tk? Kis qarz ko krty ho adaa raat gaye tk? Thak haar k aa betha hy dehleez pe teri Deedar ka Mohsin hy gadaa raat gaye tk, Ye kon hy? Yousuf sa hasee'n dhondh raha hy Yaqoob koi mehv-e-Nadaa raat gaye tk. Aa Toor pe chalty hain abi raat hy baqi, Shayd hmen mil jaye Khuda raat gaye tk. Shamma teri aamad ko jalai thi sar-e-sham, Hoty rahy parwany fidaa raat gaye tak. Kuch aalam-e-tanhai mein ashkon ne dia sath, Aankhen rahen sailaab zadaa raat gaye tk. Mohsin ko shab-e-wasal mila jam ba-mushkil Ho paye na phir dono Juda raat gaye tk.!

Mere lye sogwar rehna, udhas rehna

Mere lye sogwar rehna, udhas rehna Khushi millay nhi to derd sehna, udhas rehna Sajjay ga tujh pr ye matmi perahin ghazab ka Khud apne kajal k sath behna, udhas rehna Tere tabasm ka sakht dushman hai ek zamana Koi rollay to phr na kehna, udhas rehna Nai dulhan ko wo jatay waqt keh gia tha Yehi uddasi hai tera gehna, udhas rehna Najanay kis jurm ki saza mill rahi hai natiq Fazool din raat shear kehna udhas rehan..!!

Koi ata hai yad bahut sone se pehle

Koi ata hai yad bahut sone se pehle Jo cheen leta hai Aansoo mery rone se pehle Ab neend B aaye to men sona nahi chahti Kisi Qeemat pe B Mein us ko khona nahi chahti Ho jaye wo kaash mera mujhe khone se pehle Jo aata hai yaad bahut sone se pehle

Zara Sa Ruk Ker

Zara Sa Ruk Ker  Kisi Ki Darkhan Ka Shour Sun Lo..  Kisi Ki Aankhon Ke Taarey Ginn Lo..  Suno Musafir... Safer Kabhi Bhi..  Kisi Ko Bhi Saath Lay Ker..  Chaltey Nahe Rahey Hein..  Har Eik Ko Manzil Bhi Kab Hay Milti ?  Ye Manzilein To Kisi Kisi Ka Naseeb Tehrein !!  Suno Musafir... Bhatak Bhatak Ker, Tarrap Tarrap Ke,  Sissak Sissak Ke, Dehak Dehak Ke  Kisi Kay Jazbaat Soo Na Jayein Suno Musafir  Zara Sa Ruk Ker..!  Kisi Ki Dharkan Ka Shour Sunn Lo..!!

Dard bhari zindagi ka suraag dhondte hai

•-Dard bhari zindagi ka suraag dhondte hai-• •-Hai andhera bhut yaha eak chiraag dhondte hai-• •-Banaye thy tamasha zindagi ko es tarh-• •-Ke un mherbaano ka elaaj dhondhte hai-• •-Koi en andhero main meri dil ki shmma jala de-• •-Hum apni badnasibi ka raaz dhnodhte hai-• •-Hasrat ka aayina ye pather dil se toot gaya-• •-Sisho ke en tokdo main apna aaj dhondhte hai-• •-Maazi ke tulkh lamho ne hame jhulas ke rakh diya-• •-Dil ko bhulane ke liye koi haseen khaab dhondhte hai-•

ret par likh k mera nam mitaya na karo

ret par likh k mera nam mitaya na karo ankhen sach bolti hain pyar chupaya na karo log har bat ka afsana bana lete hain sab ko halat ki rudad sunaya na karo ye zaruri nahin har shakhs masiha hi ho pyar k zaKhm amanat hain dikhaya na karo shahar-e-ehsas main patthar bahut hain ‘Mohsin’ dil ko shishe ke jharonkhon main sajaya na karo  

Loogon Ke Lye Saahib-e-Kirdaar Bhi Mein Tha

Loogon Ke Lye Saahib-e-Kirdaar Bhi Mein Tha Khud Apni Nigaahon Mein Gunaahgaar Bhi Mein Tha Kiun Ab Mere Mansab Ki Salaami Ko Kharay Ho ? Yaaro Kubhi Ruswa Sar-e-Baazaar Bhi Mein Tha Mein Khud Hee Chhupa Tha Qaf-e-Qaatil Ki Shikan Mein Maqtool Ki Tooti Howi Talwaar Bhi Mein Tha Chheentay Hain Jahan Ab Mere Maasoom Lahoo Ke Os Farq-e-Falak-Naaz Ki Dastaar Bhi Mein Tha Meri Hee Sadaa Lout Ke Aayi Hai Mujhi Tak Shayad Had-e-Aflaak Ke Os Paar Bhi Mein Tha Manzil Pe Jo Pohancha Hun Tou Maaloom Howa Hai ! Khud Apnay Lye Raah Ki Deewaar Bhi Mein Tha Ab Mere Taaruf Se Guraiza Hai TU Laikin Kal Tak Teri Pehchaan Ki Mayaar Bhi Mein Tha Dekha Tou Mein Afshaa Tha Har Ik Zehen Pe Mohsin Socha Tou Pas-e-Parda Israar Bhi Mein Tha

zindagi ke mele mein

zindagi ke mele mein Khvahishon ke rele mein tum se kya kahein jana is qadar jhamele mein vaqt ki ravani hai baKht kii girani hai saKht bezamini hai saKht laamakani hai hijr ke samandar mein taKht aur taKhte kii ek hi kahani hai tum ko jo sunani hai baat go zara si hai baat umr bhar ki hai umr bhar kii baatein kab do gha.Dii me.n hotii hai.n dard ke samandar me.n anginat jaziire.n hai.n beshumaar motii hai.n aa.Nkh ke dariiche me.n tum ne jo sajaayaa thaa baat us diye kii hai baat us gile kii hai jo lahuu kii Khilvat me.n chor ban ke aataa hai lafz ke fasiilo.n par TuuT TuuT jaataa hai zindagii se lambii hai baat rat_jage kii hai raaste me.n kaise ho baat taKhaliye kii hai taKhaliye kii baato.n me.n guftaguu izaafii hai pyaar karane vaalo.n ko ik nigaah kaafii hai ho sake to sun jaao ek din akele me.n tum se kyaa kahe.n jaanaa.N is qadar jhamele me.n

Us ko mera halka sa ehsaas to hai

Us ko mera halka sa ehsaas to hai Be dard sahi woh meri humraaz to hai Woh aaye na aaye mere paas lekin Shidat se mujhe us ka intezaar to hai Abhi nahi to kya hua mil hi jayengi kabhi Mere dil main us se milan ki aas to hai Pyaar ki gawahi mere aanoon se na maang Barasti nahi aankhen magar dil uddas to hai

Unhen shikayat hai....

Unhen shikayat hai.... Main kioon unke qahqahon mainhoti nahi shareek.... Muskurate chehron ki bazm main Bejaan chehra lye kya takti rahti hoon Unhen shikayat hai... Mere mukhtasar sanjeeda jumlon main Kahte kahte .... Kuch ruk si kioon jati hoon Ab un se main kya kahoon... Thi ek roz main bhi  tez raftaar nadi ki tarh Shor thaa... Shokhi thi.... Shokh guftaar thi... Bhot din hue Ab to smander se ja mili hoon Sari tughyaniaan .. Jolaaniaan Kho gain wusaaton main  .. Gehraioon main Unhen kese samjhaaoon ke mujh main Har roz toofaan aur selaab aaay nahi karte Unhen shikayat hai.......

Har Roz Ik Naya Roop Dikhati Hai Zindagi

Har Roz Ik Naya Roop Dikhati Hai Zindagi Mujh Ko Meri Zaat Se Milwati Hai Zindagi Thakan Se Choor Nidhal Betha Hun Jab Kabhi Dil Mein Ik Taaza Khwab Jagaati Hai Zindagi Nisaab Bhi Mumtahin Bhi Ustaad bhi Hai Khud Kuch Aisa Hi Kamra E Imtihan Hai Zindagi Kal Thi, Aaj Hai, Jaane Kal Kahan Hogi Kitaab e Zaat Ke Har Baab Ka Unwan hai Zindagi Dekho To Ranga Rang Shandaar o Ba Kamaal Socho To Dewane Ka Ik Khwab Hai Zindagi Hoti Hai Tuloo Waqt e Sahar Aab o Taab Se Ik Lambe Safar Ka Nuqta e Aaghaz Hai Zindagi

Tanhaiyon Mein Shor Tha Aadat Si ho Gaee

Tanhaiyon Mein Shor Tha Aadat Si ho Gaee Ruswaiyon Ka Shauq Tha Ulfat Si Ho Gaee Jo Chup Raha Jungle Mein Nacha Na Mor Bhi Juz Lab Hile To Sheher Mein Shohrat Si Ho Gaee Aate Hi Us Ne Pyaar Se Dekha Tha Subh-ho Dam Din Bhar Ke Har Ik Kaam Mein Sahulat Si Ho Gaee Karna Ishq Mahaal Hua Tab'e Nazuk Par Masoom Si Ik Larki Thi Tohmat Si Ho Gaee Do Chaar Din Rifaqat Mayassar Hui Kya Tashna Paida Sadgyon Mein Ra'oonat Si Ho Gaee

Sehera ki sookhi Pyaas mein Aas ka Darya hai tu

Sehera ki sookhi Pyaas mein Aas ka Darya hai tu Khuwaabo'n k Tanha safar mai Nend ka Zarya hai tu Ik baar nazar to aa mujhe saath khuwa ho Raqeeb tere Zamee'n ki Banjar Lash per barsat ka Qatra hai tu chaak Daama'n Pa Bajola'n Chalte Raho Rukna Nahin Na La Lab Pe Harf e Shikayat Barso'n ka Ruswa Hai Tu Patwaar Kar Bazoo Apne Azm Apna Kashti Kar Ye Jaan le k ishq k Dariya mai Utra hai tu Aa tujhe Bataun ke tu Kya hai Mere Liye Mein Saaz Tera or Meri Ghazal ka Misra hai tu Is Weeran Dil ko Hiqaraat se Na dekh Nadaa'n Ik bar hi sahi is Bayaban se Magar Guzra hai tu Umer to Guzar Gayee Magar Waqt Tham gaya Tishna Wohin Jama Betha Hun Jahan mujhse Bichra hai tu

Aansoo Mere Tham Jaein To Phir Shauq Se Jana

Aansoo Mere Tham Jaein To Phir Shauq Se Jana Aise Mein Kahan Jao Ge Barsat Bohat Hai Honton Ko Na Hilana Chup Chaap hi Tum Rehna Aankhon Se Tum Ne Keh Di Wohi Baat Bohat Hai Dil Thaam K Bethe Hein Kya Dekhen Kahan Jaein Aaj Hum Ne Jis Ko Dekha Wo Shahkar Bohat Hai Jo Mil Gaya Ganeemat Auqat Se Barh Kar Hai Ab Kuch Nahin Tamanna Bus Sarkar Bohat Hai Barg e Zard Ne Patto'n Se Wafa Ki Na Karein Ge Wo Raah Ab Bhi Tak-ta Hai Talabgaar Bohat Hai

Is Haal Mein Kaise Zinda Hun Haira'n Hun Mein

Is Haal Mein Kaise Zinda Hun Haira'n Hun Mein Kabhi To Hans Kar Mujh Se Bolo Insa'n Hun Mein Parat Dar Parat Nahin Hun Gehra Pyaaz Ki Manind Hole Hole Girhein Kholo Aasa'n Hun Mein Har Soo Mere Naam Ka Charcha Kesa Ye Ilzaam laga Hai Us Lab par Bhi Ye Machla Hoga Shada'n Hun Mein Khud Uthun Ga Mehfil Se Teri Jatan Na Kar Halkaan Na Ho G Bhar Ke Dekh Le Shaam e Gham Mehmaa'n Hun Mein Jis Naam Se Chahe Dunya Pukare Apne Apne Zarf Hai Sairab Nahin Tishna Keh Lo Takmeel Nahin Arma'n hun Mein

Mere DIl Pe Haath Rakho

Mere DIl Pe Haath Rakho Agar Dharkanein Gawahi Dein Ke Wo Tumhare Lye Hein To Saath Chalna Mere Shane Pe Sir Rakho Agar Nendein Gawahi Dein Ke Sukonn Bohat Hai To Saath Chalna Meri Aankhon Mein Tum Jhanko Agar Samadar Gawahi Dein Ke Gehraee Bohat Hai To Saath Chalna Mujhe Shareek e Safar Kar Lo Agar Rahein Gawahi Dein Ke Manzil Yehi Hai To Saath Chalna Apne Dard Mujhe De Do Agar Har Zakhm Gawahi De Ke Marham Yehin Hai To Saath Chalna Apna Har Raaz Aya'n Kar Do Agar Amanat Gawahi De Ke Wafa Yehin Hai To Saath Chalna

Ye Dukh Udaasi Shaam Ki Saughat Naee Nahi'n

Ye Dukh Udaasi Shaam Ki Saughat Naee Nahi'n Reza kar Dya Dil Ko Jis Ne Wo Baat Naee Nahi'n Banjar Rehte Hein Dil Jin Ke Wo Log Aur Hein Geeli Rehti Hein Aankhein Apni Barsaat Naee Nahi'n Barf Ye Saari Ghul Jae Gi Bach Na Sake Ga Kuch bhi Barh Rahi Hai Sab Ki Janib Woh Raat Naee Nahi'n Sab Ne Manga Hai Un Se Jo Khud Mangte Hein Pehle Bhi Mili hai America Se Khairat Naee Nahi'n Cheeni Hogi Aata Hoga Bijli Paani Gas bohat Behko Mat Wadon Ki Ye Saughat Naee Nahi'n Armano Ki Sej Saje Gi Beti Meri Dulhan bane Gi Baba Tumhare Sapno Ki Ye Baraat Naee Nahi'n

Lazzat e Ruswaee Se Dil Shaad Hua Hai

Lazzat e Ruswaee Se Dil Shaad Hua Hai Khana e Dil Sunsaan Tha Aabaad Hua Hai Ik Zarb e Musalsal Ka Nishana Hai Zindagi Har Roz Ik Sitam Naya Ijaad Hua Hai Manind e Marham Tha Jo Har Zakhm Ki khatir Namak Pashi Ke Maidan mein Bhi Taaq Hua Hai Wo Aaina Jo Deta Tha Dars e Halawat Toota To Por Por Ka Aazaar Hua Hai Kaise The Aur Kitne Wo The Sang Na Poocho Jo Dildaar Tha Tashna Wohi Sang Baar Hua Hai

Dastak na ho dar pe to deemak hi lage gi

*~~Dastak na ho dar pe to deemak hi lage gi Saya na ho sir pe to qeemat hi lage gi Faaqa ho teen din ka umeedo'n ke sheher mein Do chaar qadam chalna hijrat hi lage gi Dunya ke naam lewa hein guftar ke qail Makhlooq mein charcha ho to shohrat hi lage gi Tan dhak libaas pet bhar roti bhi ho mushkil Poori kamaee muthi bhar ujrat hi lage gi Nazr e Hawas Har Qadam Chashm e Qadr khaal Khaal Har beti apne baap ko tohmat hi lage gi Betha hai RAB Ke samne dunya se bhaaag kar Har zarb e karbnaak ab rahat hi lage gi.~~*

Kaisa Qad Aawar Hai Gham

Kaisa Qad Aawar Hai Gham Zindagi Se Bara Hai Gham Aaine Mein Dekha To Samne Khara Tha Gham Khushyon Ke Lamhat Sameto Khud Ba Khud Tale Ga Gham Lamha Lamha Karwat Karwat Har Dam Naghma Sara Hai Gham Khushyun ke Samandar Mein Seepya'n Chunta Hai Gham Kaun hai Jo Pehchane Ik Shanasa Bacha Hai Gham Chahe Saari Dunya Dekho Har Manzil Ka Nisha'n hai Gham Pyaar Ke Naam Qurban Hue Ik Mata'a bachi Hai Gham Aadmi Bhoosa Ho Jaata Hai Deemak ka Bawa Hai Gham Tishna Tujh Ko Kaise Pukaru'n Naam Tera Lagta Hai Gham

mere Qadam Namaloom Simat ki Taraf Barhte Chale gaye

mere Qadam Namaloom Simat ki Taraf Barhte Chale gaye Or Yun hi Log apna Qafiloon se Bicherte Chale gaye Who log jin k chehrey they Dagdar bht Nazaroon main Who log apni Wafa se dil main Uterte Chale gaye Masoom sa Bacha Betha hai Sadak k kinarey Haath phelaye Or Musafir us dekh dekh kar Guzerte Chale gaye Humare Nseeb main Jese Sanwarna Tha hi nahi or Jin k Naseeb they who her din sanwarte Chale gaye Main Sath Rahon ga to kabhi Tumhara na Ban Sakon ga Yeh Soch kar hi Hum Tum apna Raste Badalte Chale gaye

Mout se Pehle Lagta hai Yeh Azmaiyisheen Kum na hon gi

Mout se Pehle Lagta hai Yeh Azmaiyisheen Kam na hon gi Hum dono k Darmiyaan Faslon ki Pemaiyisheen kam na hon gi Lafz hoe Khutum mere or Khayalat munjamid ho gaye hain Magar Janta hoon Ghazal k liye Farmaiysheen kam na hon gi Who zameen hai yeh Jahan Bhook or Aflas ka Raj hai ab bhi Magar Yahan k Raeesoon ki Asaiyisheen kam na hon gi Apna Jazbaat ko Beach don main who Insaan nahi hoon Warna Is bazar mai to Jazbaat ki Numaiyisheen kam na hon gi Who Shakhs Kahan hai to Kare Saaf Gandagi is Sheher ki Warna to in Rastoon ki Alaiyisheen Kam na hon gi

Tumhari Udas aankhoon main jo Yeh Sawal dekha hai

Tumhari Udas aankhoon main jo Yeh Sawal dekha hai Is main main ne apni Mohabbat ka Zawal dekha hai Laho ban kar Dorti ho tum meri Ragoon main ab bhi Tumhari Zaat main main ne Yeh bhi Kamal Dekha hai Cheen Liya tum ne Mujh se Mera Fun e Shayari bhi Tumhare Baad meri Shohorat ne Faqat Zawal Dekha hai Ab g kar karna bhi Kya hai is Bedard Duniya main Jahan Her Mor per Armaanoon ka Qital dekha hai Kahin Yeh meri Nazaroon ka Dhoka to nahi hai Mujhe Chorne ka jo Tumhare Chehre per Malal dekha hai Kitni hum Ahangi hai ab Bhi Humare Khayalon main Tark e Taluq main Tujhe bhi apna hum khayal dekha hai

Garmi-e-hasrat-e-nakaam say jal jaatey hain

Garmi-e-hasrat-e-nakaam say jal jaatey hain  Hum charaghon ki tarhan shaam say jal jaatey hain Bach nikaltey hain agar aatish-e-sayyad say hum  Sholaa-e-aatish-e-gulfaam say jal jaatey hain Khudnumaai toh nahi shewa-e-arbaab-e-wafa  Jin ko jalna ho woh araam say jal jaatey hain Shamma jis aag mai jalti hai numaish kay liyee  Hum usi aag mai gumnaam say jal jaatey hain Jab bhi aata hai tera naam meray naam kay saath  Jaaney kyon log meray naam say jal jaatey hain Rabtaa behem pay humein kia na kahaingai dushman  Aashna jab teray paighaam say jal jaatey hain

Aatish-e-ishq ka shikaar huye

Aatish-e-ishq ka shikaar huye  Ham pe kuch raaz aash'kaar huye Kon chaahe nikaalna in ko  Teer jo dil ke aar paar huye Wo bhi ghabra rahe the milne se  Be'hawas ham bhi baar baar huye Aik ham hii se parda kya karna  Taalib-e-deed to hazaar huye JholiyaN kis tarha bhare koi  Jab ke daaman hii taar taar huye Wo jo kal tuhmateiN lagaate the  Aaj ruswaa sar-e-bazaar huye Mere aansoo ka ye asar hai Shahab  Rait ke shehar laalaa'zaar huye

Be-His Hein Yahan Log Bhala Soch Ke Karna

Be-His Hein Yahan Log Bhala Soch Ke Karna Is Dor Mein Logon Se Wafa Soch Ke Karna Ik Bar Jo Roothe Hum To Mana Tum Na Sako Ge Hum Jaise Wafadar Ko Khafa Soch Ke Karna Gul Shakh Se Bichre To Kahin Ka Nahi Rehta Tum Zaat Meri Khud Se Juda Soch Ke Karna

Suna Hai K Barish Usey Bhi Pasand Hai

Suna Hai K Barish Usey Bhi Pasand Hai Woh Bhi Meri Terhan Barasti Bondon Ko Hathon Mein Sameit Leti Hai ?. Suna Hai Phool Usey Bhi Pasand Hai Woh Bhi Meri Terhan Ghanton Pholon Se Batein Kerti Rehti Hai ?.. Suna Hai K Chand Usey Bhi Aacha Lagta Hai Woh Bhi Meri Terhan Raat Raat Bher Usey Takti Rehti Hai ?. Suna Hai Tanhaee Usey Bhi Bhati Hai Woh Bhi Meri Terhan Per Woh Tanha Baith Ker Kis Ko Sochti Hai Sari Batein Sachi Hein Magar Yeh Bhi Sach Hai ! Mein Jo Us K Barey Mein Her Baat Ki Khabbar Rakhta Hon Yeh Bhi Janta Hoon K Us Ki Soochon Ka Mehwar Mein Nahi ??!!!

Mohabbat tumse hai yeh maanti hoon mein

Mohabbat tumse hai yeh maanti hoon mein chahat bus tumhari hai yeh janti hoon mein Aao apni zaat ke us pehlu se milaaaon tumhe mein kya hoon aur kon hoon yeh bataaon tumhe Mein apni maan ki tarbiyat mein dhala ik sancha hoon apne baba ki umeedon se pur aik khaka hoon mein Apne bhai ki ghairat hoon yeh jaanti hoon mein is ghar ki izat hoon yeh maanti hoon mein To phir behek? jaaon phir mein yeh mumkin hi nahin rishte aur bhi to hain sirf tum hi to nahin Mohbabbat unhe bhi hai sirf tum ko to nahin

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai K toot kar bhi mera hosla chataan ka hai Bura na Maan mere hurf-o-lafz zehr sahi Main kya karun k yehi zaaiqa zabaan ka hai Meri sanjeedgi mashhoor hai zamaane mein Meri khaamoshi bhi Pehlu mere bayaan ka hai Har ek ghar pe musallat hai dil ki veeraani Tamaam sheher pe saaya mere makaan ka hai Bichhar k us se main bas es liye nahi bikhra Wo keh gaya tha yehi waqt terey imtehaan ka hai

Jaane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai,

Jaane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai, Ek meherbaan ka haath jaise hathon se chooth raha hai?? Ankhon mein ashkon ka samandar hai.. lagta hai jaise koi patta shaakhon se toot raha hai?? Ashkon ko Meri Aankhon mein rehne ki aadat si ho gayi hai Ab toh Jaise Ishq hi mujh se rooth raha hai?? kuchh farmane ki gustakhi kya mai bhi kar sakti hoon ek masoom jazbat mera bhi zuban se phoot raha hai?? Pal bhar ka pyaar aur barson ka intezaar jaise koi apna hi apne ghar ko loot raha hai?

ajab junoon-e-musafat main ghar se nikla tha

ajab junoon-e-musafat main ghar se nikla tha khabar nahi ke sooruj kidhar se nikla tha ye kon phir se mujhy raston main chor gaya abhi abhi to azaab-e-safar se nikla nikla tha ye teer dil main magar be sabab nahi utra koi to hurf lub-e-charagar se nikla tha men raat toot kar roya to chain se soya ke dil ka zahar meri chusm-e-tar se nikla tha wo qais ab jisay majnoo pokarty hen log meri terha koi deewana ghar se nikla tha

Har shy ka soda hota he

Har shy ka soda hota he Her cheez bikaau hoti he Har fard yaha per taajir he Har waqt tijaarit hoti he Tum ap he apne daam kaho Chup k nhi sar_e_aam kaho Kya lo ge apni yari ka Kya lo ge tum dildaari ka Gham_khwar bno ge kitne men Tum pyar kro ge kitne men Sb jazbay meray naam kro Ham naam tum apna daam kaho Par daam chukane ki khatir Ham apna daftar kholen to Ham apni jaib tatolen to Bus pyar mily ga thora sa Azaar mily ga thora sa Ye sikay yaha kb chalte hen Kya udhar mily ga thora sa Ye dunia bay_aitbarie ki Ye arz he hr beyopari ki Chal chor tamana jazboun ki Bas souday hi dekh aaen ham Ham khali hath hi aaye thay Chal khali hath hi jayen hum.

Ishq Pagal Kar Gaya Tou Kya Kare Ge Soch Lo

Ishq Pagal Kar Gaya Tou Kya Kare Ge Soch Lo Sanha Aisa Howa To Kya Karo Ge Soch Lo Sath Us Ke Har Qadam Chalne Ki Adat Kis Liye Chor Ke Wo Chal Diya To Kya Karo Ge Soch Lo Shor Bahir Hai Abhi Is Waste Khamosh Ho Shor Ander Gir Utha To Kya Karo Ge Soch Lo Kar Rahe Ho Ghar Naya Tameer Urti Rait Per Ye Achanak Gir Para To Kya Karo Ge Soch Lo Band Palko Per Adhore Khuwab Bante Ho Magar Koi In Me Aa Basa To Kya Karo Ge Soch Lo Dar Dareche Sab Muqfil Kar Ke Bethe Ho Magar Wo Achanak Aa Gaya To Kya Karo Ge Soch Lo Doobte Sooraj Ka Chehra Aur Us Ki Naqhs Pa Jab Wo Manzar Gum Howa To Kya Karo Ge Soch Lo

Sochta Hoon K Mohabbat Sey Kinara Kar Loon

Sochta Hoon K Mohabbat Sey Kinara Kar Loon Dill Ko Begana-E Targeeb-O Tammanna Kar Loon Sochta Hoon K Mohabbat Hay Junoo.N -E Ruswa Chand Be-Kaar Sey Be-Hooda Khayaloo.N Ka Hojoom Aik Aazad Ko Paband Banan?ey Ki Hawis Aik Begaaney Ko Apnaney Ki Sa?ai-E Mohoom Sochta Hoon K Mohabbat Hay Sar?R-E Masti Is Ki Tanweer Main Roshan Hay Fizaa-E Hasti Sochta Hon K Mohabbat Hay Bashar Ki Fitrat Iska Mit Jana, Mita Dena Bohat Mushkil Hay Sochta Hoon K Mohabbat Sey Hay Tabindah Hayyat Aap Ye Shama Bujha Dena Bohat Mushkil Hay Sochta Hoon K Mohabbat Pe Kari Shartain Hain Ik Tamad?dun Main Mussarrat Pe Kari Shartain Hain Sochta Hoon K Mohabbat Hay Ik Afsurda Si Laash Chadaar-E Izzat-O Namoos Main Kafnaai Hoii Door-E Sarmaya Ki Rondhi Hoi Ruswa Husti Dargaah-E Mazhub-O Ikhlaaq Sey Thukraai Hoi Sochta Hoon K Bash?r Aur Mohabbat Ka Junoo.N Aisi Boseeda Tamaddun Sey Hay Ik Kaar-E Zaboo.N Sochta Hoon K Mohabbat Na Bachey Gi Zinda Paish Az Waqt Ki Sar Jaay Gi Galti Hoi Laa...

Jo bhi deewar hai raste main giraa ke ro lain,

Jo bhi deewar hai raste main giraa ke ro lain, Aao ik doojay ko seene se laga ke ro lain, Saamne tu hai to hum dil mein bhi ro sakte hain, Yu’n karain hum tujhe baaton mein laga kar ro lain, Tere aaney se yeh naraaz raha karte hain, Jee mein hai aaj har ik gham ko manaa kar ro lain,

Wo Dil Hee Kia Tere Milnay Ki Jo Dua Na Karay

Wo Dil Hee Kia Tere Milnay Ki Jo Dua Na Karay Mein Tujh Ko Bhool Ke Zinda Rahuun Khuda Na Karay Rahay Ga SaathTera Pyaar Zindagi Ban Kar Ye Aur Baat, Meri Zindagi Wafa Na Karay Ye Theek Hai Nahi Marta Koi Judaai Mein Khuda Kisi Se Kisi Ko Magar Judaa Na Karay Suna Hai Osko Mohabbat Duaaein Deti Hai Jo Dil Pe Chot Tou Khaaye Magar Gila Na Karay Bujha Dia Hai Naseebon Ne Mere Pyaar Ka Chaand Koi Dia Meri Palkon Pe Ab Jala Na Karay Zamana Dekh Chuka Hai Parakh Chuka Hai “Qateel” Jaan Se Jaaye Per iLtijaa Na Karay

Hans Hans Ke Zindagi Ki Dua De Gaya Mujhe

Hans Hans Ke Zindagi Ki Dua De Gaya Mujhe………. Wo Shaks Bhee Ajeeb Saza De Gaya Mujhe………… Sookhay Howay SHajar Ki Barhana Si SHaakh Par…. Do PanchioN ka Raqs Maza De Gaya Mujhe………… Dam Ghut Raha Tha Zehen Ki Jalti FizaaoN Mein.. Jhonka Tere Nafs Ka Hawa De Gaya Mujhe……….. Lamhon Ke Is Hajoom Mein Maqtal Ke Morr Par… Mein Sochta Hun Kon Sada De Gaya Mujhe …….. Mein Jaagtay DinoN Mein CHupaata Kahan Badan.. Wo BHeegti ShaboN Ki Ridaa De Gaya Mujhe………. Ik Barg-e-Zard Khusk Si Tehni Se Toot Kar………….. Awaara ManziloN Ka Pata De Gaya Mujhe……….. Mere Badan Pe Kitna Puraana Libaas Tha…………. Tera Mizaaj Rang Naya De Gaya Mujhe…………….!

Dard Muskuraatain Hain Ab Bhee Tere Aane Par…..

Dard Muskuraatain Hain Ab Bhee Tere Aane Par….. Ham Gham Bhool Jaatay Hain Ab Bhee Tere Aane Par…. Umar Kaat Di Laikin Bachpana Nahee Jata…………… Ham Diye Jalaatay Hain Ab Bhee Tere Aane Par…. Neend Jaati Rehti Hai Teri Yaad Aaye Tou……. Ham Khwaab Sajatay Hain Ab Bhee Tere Aane Par…. Shabnami SitaaRon Par Phool Khilnay Lagtay Hain….. Ham Khushi Manatay Hain Ab Bhee Tere Aane Par…. Ab Bhee Teri Aahat Par Raat Muskuraati Hai…………. Sitaaray Timtamaatay Hain Ab Bhee Tere Aane Par…. Tere Hijar Mein Ham Par Ik Azaab Taari Hai………. Ham Chonk Chonk Jatay Hain Ab Bhee Tere Aane Par…. Aas Lout Aati Hai Ab Bhee TanhaayoN Mein……. Ham Aanso CHupaatay Hain Ab Bhee Tere Aane Par….!

Tumhara Piyar Chup Chup Ker Kai Chehre Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho

Tumhara Piyar Chup Chup Ker Kai Chehre Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho Tumhara Hijar Shidat Se Mere Dil Ko Masalta Hai Muje Tum Yaad Aate Ho Samunder Ashna Aankhoon Main Sehra Aan Baste Hain Tumhain Jab Bhool Jata Hoon Phir In Sehraaoon Main Ik Khawab Ka Chashma Niklata Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho Main Apne Haath Se Teri Sunehri Yaad Ki Palkain Sajata Hoon Khyaloon Main Khayaloon Main Tera Mausam Kai Pehlo Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho Teri Parchaiyaan Her Su Meri Tanhaiyoon Ka Raqs Kerti Hain Udaasi Per Mere Seene Main Ik Bechain Sa Bacha Machalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho Kisi Footpath Per Bazar Main Baaghat Main Ya Phir Kisi Darya Kinare Per Bohat Khush Ho Ke Jab Koi Kisi Ke Saath Chalta Hai Muje Tum Yaad Aate Ho Main Sara Din Koi Sangi Majasma Ban Ke Rehta Hoon Mager Jab Shaam Dhalti Hai Mere Dill Ki Jagah Per Koi Pather Sa Pighalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho Tasawoor Main Tumhare Sang Beeti Baarshain Aksar Tumhain Awaz Deti Hain Nigahoon Main T...

Itna khali tou ghar nahi, hum hain!

Itna khali tou ghar nahi, hum hain! Hum nahi hain magar nahi, hum hain!! Chasm-e-dushman ke khauf se pocho Nok-e-naiza pe sir nahi, hum hain Sham-e-tanhai gham na kar k tera Koi bhi humsafar nahi, hum hain Chand se keh do, be dharak utre Ghar mein dewar-o-dar nahi, hum hain Woh jo sab se hain be khaber, tum ho Jin ko apni khaber nahi, hum hain Kyun jalate ho jhonpri apni? Is mein lal-o-gohar nahi, hum hain Hum hain humzaad, raat ke Mohsin Jin ki qismat Sehr nahi, hum hain

aj unhen kuch is tarah ji khol kar dekha kiye

aj unhen kuch is tarah ji khol kar dekha kiye ek hi lamhe mein jaise umr bhar dekha kiye dil agar betab hai dil ka muqaddar hai yahi jis qadar thi ham ko taufiq-e-nazar dekha kiye khudfaroshana ada thi meri surat dekhna apne hi jalwe ba-andaz-e-digar dekha kiye nashanas-e-gam faqat dad-e-hunar dete rahe ham mata-e-gam ko ruswa-e-hunar dekha kiye dekhne ka ab ye alam hai koi ho ya na ho ham jidhar dekha kiye pehron udhar dekha kiye husn ko dekha hai main ne husn ki khatir ? warna sab apna hi mear-e-nazar dekha kiye

Us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki,

Us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki, Chahti hoon ke sunoon us se zubaani us ki, Woh sitam’gar hai to ab us se shikayat kesi, Aur sitam karna bhi aadat purani us ki, Besh-qeemat hai yeh moti se meri palkon per, Chand aansu hain mere pass nishani us ki, Us jafaa-kaar ko maloom nahin woh kya hai, Be-murawat ko hai tasveer dikhani us ki, Aik woh hai nazar andaaz kare hai mujh ko, Aik mein hoon ke dil-o-jaan se deewani us ki, Tum ko ulfat hai Qamar us se to ab keh dena, Samne sab ke sunaa dena kahani us ki..

kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar

kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar vo badal gaye achanak meri zindagi badal kar huye jis pe meharaban tum koi khushnasib hoga meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal k teri zulf-o-ruKh k qurban dil-e-zar dhundta hai vahi champai ujale vahi surmai dhundalake koi phul ban gaya hai koi chand koi tara jo chirag bujh gaye hain teri anjuman main jal k mere dosto Khudara mere sath tum bhi dhundo vo yahin kahin chupe hain mere gam ka rukh badal k teri bejhijhak hansi se na kisi ka dil ho maila ye nagar hai ainon ka yahan sans le sambhal k

Tum Chand Asman k or Main Zameen ka Patthar

Tum Chand Asman k or Main Zameen ka Patthar Kabhi bhi na Mile Shayad humare Muqadar Magar Dil main Hamesha Tumhari Chahat Rahe gi Haan Mujhe Hamesha Tum se Mohabbat Rahe gi Tum Hunsti ho to Lab mere Muskurate hain Tumhari Ankhoon main bhi Amsoo mere aate hain Mere Zindagi main tumhare Jazboon ki Milawat Rahe gi Haan Mujhe Hamesha Tum se Mohabbat Rahe gi Tum ko Itna Chaha kissi or Ko Cahane ki fursat na mili Itni Mohabbat k Bawajood Teri Qurbat na Mili Mere Sanatoon main bhi Tumhari Ahat Rahe gi Haan Mujhe Hamesha Tum se Mohabbat Rahe gi Qismat Ki Berehem Sooli per Jhool jaon ga Agar mujh se ho saka to Tujhe bhool jaon ga To Phir mere saath Umer bhar yeh Nadamat Rahe gi K Haan Mujhe Hamesha Tum se Mohabaat rahe gi  

Kabhi Kissi ki zaulfon k Saye main Sona

Kabhi Kissi ki zaulfon k Saye main Sona Bahar aao tum Apne Khayaloon se Dekho Duniya main or bhi Ghum hain Kahin Aansoo to Kahin Matum hain Kahin Bhook, Kahin Aflas Kahin Samaj k Thekedaroon k Situm hain Kahin Zulm to Kahin Jung Lar Rahe hain Aaj bhi Arab or Ajum Be Libasi, Beghari hai Kitni Lakriyaan Jahez k Naam Per Quraban hoti hain Kahin Kamzoor Mulkoon k Khilaf Jung ka Ellan hote hain Kahin Kissan k Masle Kahin Dehqan K Masle Kahin Janwar per Zulm Kahin Insaan k Masle Kabhi Darakthoon or Kahin Quran se Biha di Jati hain Kahin Peda Hote hi daffna di Jati hain Soo Masle hain is Duniya main Kabhi Apne Kahayl se Nikal kar is Duniya main to aao Tumhare Liye yeh Duniya Bayis e Ibbart Ban ho Jaye gi Phir to Tum ko Mohabbat k naam se Nafrat ho jaye gi  

Tum ne Shayad Such hi kaha Tha

Tum ne Shayad Such hi kaha Tha Magar Main ne Tumhari baat ko Sanjidigi se Liya hi nahi Maazi k Parde per CHalte Manzar Bohat Kuch Yaad Dilate Hain Woh Sahil E Samander per Ghantoon Bethe Rehna Woh Giili Rait per Naam Likhna Tum ne Shayad Such hi kaha Tha Tumhare Intezar k Lamhoon main Sirf Tum ko Sochna Sirf tumse Tumhari Baateen Karna Sirf Tumhare Liye Sochna Tum ne Shayad Such hi kaha Tha Magar Yeh sab Kio Hoa Kio Humare Beech Judaai aa gayi Jab Mohabbat Itni ho to Darmiyaan main Kissi Cheez ki Gunjayish nahi Rehti Magar Shayad Hum main Mohabbat hi to nahi thi Darmiyaan aa gayin Galat fehmiyaan, Talkhiyaan Mere Pass jab Tumhari Mohabbat Nahi Thi Main Tab hi Awara Tha Or Mohabbat Hone k baad bhi hoon Darbadar Tum ne Shayad Such hi kaha Tha WE ARE NOT MADE FOR EACH OTHER

Mere Hijer ki Raat ho

Mere Hijer ki Raat ho Mera Visal Tum Meri Aakhiri Khuwaish Mera Pehla Sawal Tum Mere Ranj or Alam ka Saman Mera Malal Tum Meri Bulandi Tum se hai Mera Zawal Tum Meri Hasiyaat Tum se Meri Misaal Tum Mera Pyar ho tum Mera Jalal Tum Dar Haqeeqat Tum Kuch Nahi Sirf or Sirf Mera Khayal Tum

Mohabbat k Afsane bhi Aksar ajeeb hote hain

Mohabbat k Afsane bhi Aksar ajeeb hote hain Haqeeqat se Dor Magar dil k Qareeb hote hain Khushiyaan to AB KItaaboon ko Hisa ban chuki DUkh hi Sab ko Mohabbat main Naseeb hote hain Qisa Bhale hi purana ho Magar Riwaj ab bhi hai Majnoo her Zamane main hi Ghareeb hote hain Kiss kiss se Lar Sake gi yeh Tanha Mohabbat Sare duniya wale hi is k Raqeeb hote hain Mohabbat k Qabar per Bana diye Taj Mahal or Aise Mahal bhi Hisa e Tehzeeb hote hain Nirale hain Zaabtey mohabbat k A Dil Nasheen Jo Rog dete hain Woh hi Tabeeb hote hain

chehre per abhi apne yeh Hijaab rehne do

chehre per abhi apne yeh Hijaab rehne do Duniya main abhi Roshni e Aftaab rehne do Maat Rakho mere Zakham per Marham abhi is per abhi to narsayi ka azab rehne do bohat se such bht taqleef dene lagte hain ZIndagi k chehre per jhoot ka naqaab rehne do Sukoon ki Talash main Bhatakne ki Addat hai abhi Kuch dino tak mujh main yeh iztarab rehne do Pichle dino ki Yaad hi to meri zindagi ka Asssasa hai Mere Pass kuch dair mere Mazi ki Kitaab Rehne do Zindagi ki Bhag dorr ne cheen liya mujhse bachpan Bus kuch dino k liye Mera Ahed e Shabab rehne do Waqkt Rukhsat us ne aik Aakhri Nishani jo di thi Mere Sarhane per para yeh SOkha Gulab rehne do

Agar koi wada koi Ahed koi Iqrar nahi karta

Agar koi wada koi Ahed koi Iqrar nahi karta To Yeh Maat sumjho k tum se pyar nahi karta Meri Wafa k liye Chahie tum ko Oroon ki Gawahi Kya khaon Mera Mehboob mera aitbaar nahi karta Mere Maazi k Safhe Palat deta to hai wo lekin Khud ko Haal main Dhalne k liye tayar nahi karta Yun to Ginta hi rehta hai Mere Assase roz hi wo Magar khud ko meri Dolat hi Shumaar nahi karta Wajood ki Talab to pehle bhi na thi mujhe us k Pighal jaon wo Lab o lehja bhi ikhtiyar nahi karta Izhar Mohabbat ko Tal deta hai hamesha hi kal per Haan magar Dil Torne main wo Udhar nahi karta Main Palat kar nahi aaon ga wo aik Baar hi Sahi Mujhe keh de k wo bhi meri tarah pyar nahi karta  

Ankheen Jab Num hoon to Log Dikhayi nahi dete

Ankheen Jab Num hoon to Log Dikhayi nahi dete Ansu Girne ki Awaz nahi hoti ye Sunayi nahi dete Aagahyi mohabbat ki jin ko di jati hai na A Dil Un k Dilon per to yun Dagh e Judaai nahi dete Zakhom ko Naseehat nahi Marham ki zaroorat hai Jin k DIl Tot jayen unko Sabaq e Parsayi nahi dete Khush Guman keh lo ya Na sumjh jaan lo hum ko Hum Bhool jane walon ko Tana e Bewafai nahi dete Ranjhe ka Qasoor nahi tha k Qismat aisi mili thi us ko Jab Naseeb main bhatkna ho to Raste sumjayi nahi dete Fursat mile to Sath beth kar Sab Sawalon k Jawab mangna Pal do Pal ka sath dene walon ko Hum Safayi nahi dete Mutabar nahi Rehne diya Tumhare sheher k Logoon ne Humare Haq main Humare Dost bhi Gawahi nahi dete Ibtida e Ishq main hi Chor jana tha itna DUkh na hota Shaam ho jane k Baad to Parindon ko Rihaei nahi dete

Jab se Bichre mujh se Tumhare Khayal k Din

Jab se Bichre mujh se Tumhare Khayal k Din shoro ho gayi Hijer ki Raateen or Wisal k Din Tumhare Jane k Baad to Log Pehchante hi nahi Urooj Guzar Gaya aa jaye Mujh per Zawal k Din Haath main Haath liye Aik Dosre ki Baateen Sunte the Yaad bohat aate hain Mujhe woh Kamal k Din Khushioon ki Tamana ab bhi Baqi hai is Dil main Kash Jaldi se Gzuer Jaye yeh Ranj O Malal k din Ab to Awaz Azan Sun kar bhi nahi Ate teri Taraf A Khuda Lota de Hum ko woh Azan e Bilal k Din

Ye na socha tha kebhi tu befawa hoga,

Ye na socha tha kebhi tu befawa hoga, JO dil ma rehta tha kebhi mujh say juda hoga, Jo kebhi subh o sham mujh ko manata tha, Ye na socha tha k woh mujh say khafa hoga, Ek wekt tha k teri nasheen lehjay say men ko qerar ata tha, Ye na shocha tha k woh aj merey ronay ki waja hoga, Aj teri yad main buht roya hu main, Log semjhain gay k sawan bersa hoga, Tum aj ghairon ki mehfil ma chiraghan kertay ho, Ye b daikhna k her diya merey khoon e jigr say jala hoga, Yun b mumkin he nai k koi aur mujh say berh ker chahay tujhe, Shaid tuhje ishq ka mani hi na pata hoga, Ma jo chahoon to tujhe phir say hasil kerlu, Meger istarah say mera derd bayweja hoga, Tujhe beri mushkil say paya tha ma nay, Ab tujhe mujh ko hasil kerna hoga, Log kehtay thay ishq na kerna "Gulfam".. Ye na socha tha k ishq aesi saza hoga....

Kabhi aisa lagta hai

Kabhi aisa lagta hai , dil mein ik raaz hai Jise kehna chahoon , par main keh paaoo na Aankhon hi aankhon mein keh jaati hai jo ye Khamoshiyon ki ye kaisi zuba Maine suna jo na usne kaha .. Kya aisa hi hota hai pyar Mere khuda mujhe itna bata Kya aisa hi hota hai pyar.... Kabhi aisa lagta hai , anjaani pyaas hai Par simti hoton mein vo reh paaye na Kaisa ehsaas hai , koi to paas hai Ye dooriyan hain phir kaisi yahan Mehki lage ye saari fiza Kya aisa hi hota hai pyar Mere khuda mujhe itna bata Kya aisa hi hota hai pyar Ye sach hai chahat pe kabhi kisi ka bhi zor nahin Dilbar ki yaadon ko bandhe aisi koi dor nahin Sab kuch vohi par lagta naya Kya aisa hi hota hai pyar Mere khuda mujhe itna bata Kya aisa bhi hota hai pyar Kabhi aisa lagta hai , dil mein ik raaz hai Jise kehna chahoon par main keh paaoo na Aanhon hi aankhon mein keh jaati hai jo ye Khamoshiyon ki ye kaisi zuba ...

Janey Kyon Shikast Ka Azab liye Phirta hoon

Janey Kyon Shikast Ka Azab liye Phirta hoon Main Kia hn aur kia Khuwab Liye Phirta Hoon Usne Aik Baar kiya tha Sawal-e-Mohabbat Mai Her Lamha Wafa ka Jawab Liye Phirta Hoon Uss ne poocha Kub se nahi Soye Mai tub se Raat Jagnay Ka Hisab Liye Phirta Hoon Uss Ki Khwahish thi k meri ankhon mai pani dekhay mai uss waqt se ansuoon ka Sailaab Liye Phirta Hoon Afsos k phir be wo mera na hua Faraz Mai Jiss ki aarzoo ki kitaab Liye Phirta hoon

Na mila karo sar-e-sham mujhe

Na mila karo sar-e-sham mujhe Main tanha tanha he theek hoon Mujhe chahton se dar lagta hai Main nafraton mein he theek hoon Mujhe raston mein chor do Mujhe justajoo-e-manzil nahi Na dikhao mujh ko rasta Main bhatka hua he theek hoon Mere dosto mujhe chor do Na suljhao meri uljhanein Mujhe adaavtein he pasand hain Main dushmano mein he theek hoon Mujhe khushi ki koi talab nahi Mujhe apna gham bhi nawaz do Mujhe ansoo peena pasand hain Main ansuon mein he theek hoon

Dard kia hota hai btayein gein kisi roz

Dard kia hota hai btayein gein kisi roz Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz Thi unki zid k mai jaun unko manane Mujko yeh veham tha vo bulayein gein kisi roz kabi b maine to socha b nahi tha Vo itna mere dil ko dukhaein gein kisi roz Har roz aieene sey yehi poochti hun mae Kia rukh pe tabassum sajayein gein kisi roz? Urney do in parindon ko azaad fizaon mein Tumhare hon agar to lout ayein gein kisi roz Apne sitam ka dekh lena khud hi Mirza tum Zakham e jigar tamaam log dekhein gein kisi roz

USSY KEHNA

USSY KEHNA Mohabbat Hum Se KARNI Hai To Phir Wada Nahi KaRNa Ye Wady Hum Ne Deky Hain K Aksar Toot Jaty Hain Mohabbat Hum Se KARNI Hai To Phir zid Bi Nahi KARNI Ye Zid Bi Hum Ne Deki Hai K Saathi Choot Jaty Hain Mohabbat Hum Se KARNI Hai To Phir Tohfa Nahi Dena Ye Tohfy Hum Ne Deky Hain Bahut majboor Karty Hain Mohabbat Hum Se KARNI Hai To Phir Shikwa Nahi KaRNa Ye Shikwy Hum Ne Deky Hain DiLon Ko Door Karty hain

Bohat umeed rakhna aur phir be aas hona bhi

Bohat umeed rakhna aur phir be aas hona bhi Bashar ko maar deta hai bohat hassas hona bhi Suno ik kaan se aur doosre se phaink do bahir Bohat takleef de hai sahib-e-ahsaas hona bhi Yuhin to abr-e-rehmat ki talab karta nahi koi Zaroori hai muqadar me zara si payas hona bhi……

Chalo Kuch Dair Hastay Hain

Chalo Kuch Dair Hastay Hain … Muhabbat par Inayat par … K be-bunyad baten hain … Sabhi rishtay Sabhi Natay … Zarurat ki Hain Eejaaden … Kahin Koi nahi merta Ksi k Wastay jana … K sub hai Phair lafzoon ka … Hai sara Khail herfon ka … Nahi hai mehboob koi b … Jumlay say kastay hain … Chalo Kuch dair Hastay hain … Usi ko Yaad kertay Hian … Jisay hum Zeest Kehtay hain .. K lena Sans Bin jis k … Humain Ik Jurm Lagta Tha … Bala ka taiz Lagta Tha … Jo Saya Bun k Rehta Tha … Juda Ab Us k rastay hain … Chalo kuch Dair Hastay hain

Tujh Se Bichar K Hum Bhi Muqaddar K Ho Gaye,

Tujh Se Bichar K Hum Bhi Muqaddar K Ho Gaye, Phir Jo B Dar Mila Usi Dar K Ho Gaye, Ae Yaad-E-Yaar Tujh Se Karen Kya Shikayaten, Ae Dard-E-Hijar Hum B To Pathar K Ho Gaye, Rotay Ho Ek Jazeera-E-Jaan Ko “Faraz” Tum, Dekho To Kitne Shehr Samandar K Ho Gaye

Us Mohabbat Ne Hum Ko Kia Na Dia ?

Us Mohabbat Ne Hum Ko Kia Na Dia ? Rooth Jaanay Ka Honsla Na Dia Zindagi ! Tujh Se Ye Shikaayat Hai Khaak Mein Kiun Hamain Mila Na Dia ? Be-Wafai Pe Gar Sazaa Na Mili Tou Wafaa Ka Bhi Kuch Silaa Na Dia Hum Chalay Khwaab Baichnay Ke Lye Os Ne Acha Kia Lia Na Dia Teergi Phelti Gayi Har-Suu Os Ne Mitti Ka Ik Diya Na Dia Os Ka Dar Door Tou Nahi Tha Batool ! Hum Ko Qismat Ne Raasta Na Dia

Koi kaanta mere dil mein chubho jaye to acha hai,

Koi kaanta mere dil mein chubho jaye to acha hai, Hamesha ke liye woh mujhse kho jaye to acha hai, Rakhen ge is tarah dhoke se kab tak khawab ankhon mein, Jo hona kal hai woh sab aaj ho jaye to acha hai, Kabhi sheher-e-tamana ne kabhi kisi ne phool paaye kya, Yeh titlee soch kar kaanton per so jaye to acha hai, Kayi din se mere ghar ke dar-o-deewar hain viraan, Kisi ke wasl ki baarish jo ho jaye to acha hai, Jahan par phool khilte they wahan ab khaak urrti hai, Mere seeney pe jugnu beej bo jaye to acha hai, Mein pathar ho gaya hoon gham se aesa reh nahin sakta, Agar barish mera chehera bhigo jaye to acha hai, Yeh maana hijrtain is gaaon se zaroori hain, Meri basti mere andar samo’o jaye to acha hai, Mein ab ke chahta hoon yeh ke is saawan jo barish ho, Puraney mausmon ke rang dho jaye to acha hai, Bhanwar se bheek mangey ga? Teri fitrat nahin Sahir, Tu kashti aap hi apni dabo’o jaye to acha hai…

Ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise

Ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise shahar ka shahar hi aseb zada ho jaise   Raat ke pichle pahar ati hain avazain si dur shahara main koi chiKh raha ho jaise Dar-o-divar pe chai hai udasi aisi aj har ghar se janaza sa utha ho jaise Muskurata hun pa-e-Khatir-e-ahabab magar dukh to chehre ki lakiron pe saja ho jaise Ab agar dub gaya bhi to marunga na Kamal bahte pani pe mera nam likha ho jaise

Kia Nazara Bazm e Ghair ka mei Us Hoor Tal’at ka.

Kia Nazara Bazm e Ghair ka mei Us Hoor Tal’at ka. Ye kya Maloom tha Dozakh mei Jannat aisi hoti hai. . Abhi to Khail Samjhy ho magar ik Din dikha deinge. Qayamat isko kehte hain, Qayamat aisi hoti hai. . Hamari Shakal tere gham mei pehchani nhi jati. Bigar jati hai Soorat b, Museebat aisi hoti hai. . Wo detay hain Tassali or phr Taskee’n nhi hoti. Kabhi bechain ye Kafir tabiyat aisi hoti hai. . Ghazab mei Jan hai, Barson k shikwe bhool jata hu. Kabhi do chaar din Unki Inayat aisi hoti hai. . Zra c baat pr ay DaaGh Tum Unsy bigartay ho. Issi ka Naam Ulfat hai, Muhabat aisi hoti hai.

Be’dard hain jo Dard kisi ka nhi rakhte.

Be’dard hain jo Dard kisi ka nhi rakhte. Aisy b hain Ya’Rab k Tamanna nhi rakhte. . Ghairat yehi kehti hai na ho Ishq mei Shirkat. Hum Hazrat e Dil ka b Sahara nhi rakhte. . Tum Zinda Hamen chhor k Ghar jao na Shab ko. Murday ko b Insan k Tanha nhi rakhte. . Parwana O Bulbul ko to Sab kehty hain Aashiq. Kya Qehar hai Tum Naam Hamara nhi rakhte. . Sach hai k Yunhi Doob gyin apni Wafaen. Hum Tumpe kisi tarah ka Daawa nhi rakhte. . Be’Baak ho, Safaak ho Jo aaj ho Tum ho. Banday ho magar Khof Khuda ka nhi rakhte. . Acha ho to Kya janay kare kya ye Burai. Hum jaan k Dil ko kabhi acha nhi rakhte. . Jis Lutf o Karam pr Mujy Umeed bandhi kuch. Ikhlaas Wo ghairon se b aisa nhi rakhtay. . Ay DaaGh ye kis kaam ki Masti O Jawani. Tum Is mei Jo Andesha e Farda nhi rakhte.

Roog Aisay B Ghamm-e-Yaar Say Lag Jate Hain...!!

Roog Aisay B Ghamm-e-Yaar Say Lag Jate Hain...!! Darr Say Uth'te Hain To Deewar Say Lag Jate Hain...!! Ishq Aghaaz Main Hal'ki See Khalish Rakhta Hai..!! Baad Main Saink'roon Azaar Say Lag Jate Hain..... Pehlay Pehlay Hawas Ak Aah Dukaan Khulte Hai...!! Phir TO Bazar K Bazar Lag Jate Hain....... Bai'basee B Kabi Qurbat K Sabab Banti Hai..... Roo Na Paa'ein To Galay Yaar Say Lag Jate Hain....!! Qutar'ne Ghaam Ki Galiyoon Main Jo Oree Phirtee Hen...!! Ghar Main Lai Aoo To Ambaar Say Lag Jate Hain...! Daagh Daman K Hon' Dil K Hon' Ya Chahre' K FARAZ Kuch Nishaan Umer Ki Raftaar Say Lag Jate Hain..!

Mohabbaton Main Kuch Aise Bhi Haal Hote Hain

Mohabbaton Main Kuch Aise Bhi Haal Hote Hain Khafa Hoon Jin Se Unhi K Khayal Hote Hain. Machalte Rehte Hain Zehnon Main Waswason Ki Tarhan Haseen Loog Bhi Jaan Ka Wabaal Hote Hain Main Dil K Zakhm Chupaon Teri Tarhan Kaise K Tere Paas To Lafzon K Jaal Hote Hain Bas Ek Tu Hi Sabab To Nahin Udaasi Ka Tarhan Tarhan K Dilon Ko Malaal Hote Hain Siyah Raat Main Jalte Hain Jugnuon Ki Tarhan Dilon K Zakham Bhi Kitne Kamaal Hote Hain.

Dil Mere Tu Kiske Liye Dhadakta Hai

Dil Mere Tu Kiske Liye Dhadakta Hai Tere Ehsaaso Ko Kaun Yaha Samajhta Hai Tu Kyun Kisipe U Marta Hai Har Koi Is Matlabi Duniya Me Jeeta Hai Khusi K Liye Kyun Har Pal Tarasta Hai Yaha Toh Gamh Hi Khubsurat Lagta Hai Armaano Ko Liye Kyun Machalta Hai Unko Adhura Rehte Dekh Jeeya Jalta Hai Tuth Kar Bhi Kyun Tu Sambhalta Hai Yaha Tuje Phir Bikharna Padhta Hai Bharosa Kyu Itna Karta Hai Yaha Har Ghadi Insan Chehra Badalta Hai Tu Kyun Jaan U Chidakta Hai Woh To Tera Katil Bana Phirta Hai Pagal Dil,Tu Kyun Nahi Samajhta Hai Teri Halat Dekh Har Koi Hasta Hai Tere Liye Kisika Nafrat Hi Acha Hai Yaha Toh Pyar Bhi Bahot Sasta Hai..

Be-faiz rafaqat mein samar kis ke liye tha

Be-faiz rafaqat mein samar kis ke liye tha jab dhoop thi qismat tu shajar kis ke liye tha Pardes mein suna tha, tu chhat kis liye daali baher hi nikalna tha tu ghar kis ke liye tha Jiss khak se phoota hai ussi khak ki khushboo pehchaan na paya tu huner kis ke liye tha Aaye madar-e-geeti! teri hayrat bhi baja hai tere hi na kaam aya tu sar kis ke liye tha.. Youn shaam ki dehshat se sar-e-dasht-e-irada rukhna tha, tu phir sara safar kis ke liye tha

Aag k shehr mein tinke ki haqiqat kya thi

Aag k shehr mein tinke ki haqiqat kya thi Dasht par phool ka saya tha Mohabat kya thi. Zakhm thy dard tha tanhai thi Veerani thi Kya bataon ke tere ishq mein rahat kya thi. Tujko chaha hi nahi teri Ibadt ki hai.. Ek pathar ko magar us ki zarurat kya thi. Aik muddat huwi Izhar-e-Mohabat kar ke Aaj tak soch rahi hun k himaqat kya thi. Kya bataon k yahan pooch rahe hain sab log Wo jo guzri hai mere Dil pe Qayamt kya thi.

Ishq k ilaqay mein

Ishq k ilaqay mein Hukm-e-yar chalta hai Zaabtay nahi chaltay Husn ki adalat mein aajzi toe chalti hei Mertabay nahi chaltay Dosti k Rishton ki Perwerish Zroori hei Silsley ta'aluq k khud say bun toe jatay hein Lekin in shagoofon ko Tootnay bikhernay say Rokna bhee perrta hei Chahaton ki matti ko Aarzu k poday ko seenchna bhi parta hai ranjishon ki baaton ko bhoolna bhee parta hai kyoon k ishq k ilaqay main hukm-e-yaar chalta hai zaabtay nahi chaltay!!

Mohabbat Mein Tamanna Kufr Hai Esa Nahi Karte,

Mohabbat Mein Tamanna Kufr Hai Esa Nahi Karte, Kisi Tajir Ki Tarha Ishq Mein Sauda Nahi Karte. Sawal Uthne Lage Hain Phir Maseehai Ke Bare Mein, Agar Ho Charagar To Kyon Hume Achcha Nahi Karte. Naqab e Rukh Ulat Do Aeene Se Yun Na Sharmao, Ke Mehram Se Kabhi Mehram Kaheen Parda Nahi Karte. Na Ho Mayoos Ae Zoq e Junoon Too Bo’ud e Manzil Se, Mohabbat Karne Wale Rah Mein Thera Nahi Karte. Duhai De Rha Hai Kyon Faqeeh e Shaher Azmat Ki, Nasab Wale Kaheen Kya Ishq Farmaya Nahi Karte. Misaal e Mahi e Be Aab Meri Jaan Nikal Jaati, Are Itna Taghaaful Aap Yeh Achcha Nahi Karte. Hua Jo So Hua Manzar Miyan Khak Bhi Dalo, Gae Waqton Ki Baten Hain Unhe Socha Nahi Karte.

Hain aabaad laakhon jahan mere dil mein

Hain aabaad laakhon jahan mere dil mein Kabhi aao daaman-kusha mere dil mein Utarti hai dheere se raaton ki chup mein Tere roop ki kehkashaan mere dil mein Ubharti hai raahon se kirnon ki lehrein Sisakti hai parchaiyan mere dil mein Zamane ke lab par zamane ki baatein Meri dukh bhari daastan mere dil mein Koi kya rahega jahan-e-fana mein Raho to raho jaavidaan mere dil mein

Meray aas pass rehna

Meray aas pass rehna mujhe chorr k na jana Mujhe dar lgta he Shehar ki tanhaion se Jawani ki ruswaion se Muhabbat ki judaion se Mann ki bewafaion se Mujhe dar lagta he Her udas sham se wafa k ilzam se Apne hi naam se Mere aas pass rehna Mujhe chorr kr na jana Mujhe dar lagta he Waqat ki chaal se Bicharnay k khayal se halaat k jaal se apnay hi ik sawal se mere ass pass rehna Mujhe chorr kr na jana!!!!

Mera Wajood Sirf Meri Mohabbat Se Hai..

    Mera Wajood Sirf Meri Mohabbat Se Hai.. Mujhe Ghuroor Bohat Apni Mohabbat Pe Hai.. Ki Hai Tujh Se Mohabbat Mene Bepanah.. Or Meri Zindagi Ka Sukoon Sirf Meri Mohabbat Se Hai.. Mujhe Chahate Honge Or Bhi Log Bohat.. Magar Mujh Ko Mohabbat Sirf Apni Mohabbat Se Hai.

Shaam se pehle ik diya jalana chahta hoon,

    Shaam se pehle ik diya jalana chahta hoon, Main aaj apni mohabbat ko aazmana chahta hoon, Yeh anaa-parast log hain andar se tootay huye, Mein yeh baat dunya walon ko batana chahta hoon, Teri zaat ki mehroomiyan, Tere man ki yeh udaasiyan, Mujhe moka to de, mein inhe mitaana chahta hoon, Tere hath mein mere rehber, Tere naksh-e-paa meri manzil ke, Tujhe mein chilchilati dhoop mein aanchal banana chahta hon, Cheen lo saharey mujhse, apne paraaye sarey mujhse, Bas do hosla mujhe, mein khud ko manwaana chahta hoon, Poocha jo yaaron ne muskurahat ka sabab to kehne laga Waqas, Mein hansi ke pardey mein dard apna chupana chahta hoon..