Skip to main content

Kaisa Qad Aawar Hai Gham

Kaisa Qad Aawar Hai Gham
Zindagi Se Bara Hai Gham

Aaine Mein Dekha To
Samne Khara Tha Gham

Khushyon Ke Lamhat Sameto
Khud Ba Khud Tale Ga Gham

Lamha Lamha Karwat Karwat
Har Dam Naghma Sara Hai Gham

Khushyun ke Samandar Mein
Seepya'n Chunta Hai Gham

Kaun hai Jo Pehchane
Ik Shanasa Bacha Hai Gham

Chahe Saari Dunya Dekho
Har Manzil Ka Nisha'n hai Gham

Pyaar Ke Naam Qurban Hue
Ik Mata'a bachi Hai Gham

Aadmi Bhoosa Ho Jaata Hai
Deemak ka Bawa Hai Gham

Tishna Tujh Ko Kaise Pukaru'n
Naam Tera Lagta Hai Gham

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.