Showing posts with label Jagannath Azad. Show all posts
Showing posts with label Jagannath Azad. Show all posts

* Mumkin nahiin ki bazm-e-tarab phir sajaa sakuun *

Mumkin nahiin ki bazm-e-tarab phir sajaa sakuun
ab ye bhii hai bahut ki tumhen yaad aa sakuun

ye kyaa tilism hai ki terii jalvaagaah se
nazadiik aa sakuun na kahiin duur jaa sakuun

zauq-e-nigaah aur bahaaron ke darmiyaan
parde gire hain vo ki na jin ko uthaa sakuun

kis tarah kar sako bahaaron ko mutamain
ahal-e-chaman jo main bhii chaman men na saakuun

terii hasiin fizaa men mere ai naye vatan
aisaa bhii hai koii jise apnaa banaa sakuun

'Azad' saaz-e-dil pe hain raqsaan ke zam-zame
Khud sun sakuun magar na kisii ko sunaa sakuun

* Khvaab kii tarah se hai yaad ke tum aaye the *

Khvaab kii tarah se hai yaad ke tum aaye the,
jis tarah daaman-e-mashriq me.n sahar hotii hai,

zarre zarre ko tajallii kii Khabar hotii hai,
aur jab nuur kaa sailaab guzar jaataa hai,

raat bhar ek andhere me.n basar hotii hai,
kuchh isii tarah se hai yaad ke tum aaye the,

jaise gulashan me.n dabe paao.n bahaar aatii hai,
pattii pattii ke liye leke nikhaar aatii hai,

aur phir vaqt vo aataa hai ke har mauj-e-sabaa,
apane daaman me.n liye gard-o-Gubaar aatii hai,

kuchh isii tarah se hai yaad ke tum aaye the ,
jis tarah mahv-e-safar ho ko_ii viiraane me.n,

aur raste me.n kahii.n ko_ii Khiyaabaa.N aa jaaye,
chand lamho.n me.n Khiyaabaa.N ke guzar jaane par,

saamane phir vohii duniyaa-e-biyaabaa.N aa jaaye,
kuchh isii tarah se hai yaad ke tum aaye the.