Skip to main content

Sehera ki sookhi Pyaas mein Aas ka Darya hai tu

Sehera ki sookhi Pyaas mein Aas ka Darya hai tu
Khuwaabo'n k Tanha safar mai Nend ka Zarya hai tu

Ik baar nazar to aa mujhe saath khuwa ho Raqeeb tere
Zamee'n ki Banjar Lash per barsat ka Qatra hai tu

chaak Daama'n Pa Bajola'n Chalte Raho Rukna Nahin
Na La Lab Pe Harf e Shikayat Barso'n ka Ruswa Hai Tu

Patwaar Kar Bazoo Apne Azm Apna Kashti Kar
Ye Jaan le k ishq k Dariya mai Utra hai tu

Aa tujhe Bataun ke tu Kya hai Mere Liye
Mein Saaz Tera or Meri Ghazal ka Misra hai tu

Is Weeran Dil ko Hiqaraat se Na dekh Nadaa'n
Ik bar hi sahi is Bayaban se Magar Guzra hai tu

Umer to Guzar Gayee Magar Waqt Tham gaya Tishna
Wohin Jama Betha Hun Jahan mujhse Bichra hai tu

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.