Showing posts with label Khushbir Singh Shaad. Show all posts
Showing posts with label Khushbir Singh Shaad. Show all posts

aur yuN mirey urooj pe pahuncha diya mujhey


aur yuN mirey urooj pe pahuncha diya mujhey
pamaal kar kay bheirh nay rasta diya mujhey

kya soch kar ghubaar sa phirta hooN dar ba dar
aisa bhi kya hawaaoN ney samjha diya mujhey?

maangey thhey chand khwab to be-khwabiaN miliN
darya ki aarzuoN nay sehra diya mujhey

maazi har eik baar mujhey lay gaya wahiN
ujrhhey sey ik makaan meiN thhehra diya mujhey

aisa to koi shakhs mila hi na tha kabhi
yeh kis ney apney aap sey milwa diya mujhey?

aksar meiN apney aap pe karta raha yaqeeN
aksar merey yaqeen nay dhoka diya mujhey

aye;Shaad; merey ghar ki sadaaoN ko kya hua?
khaamoshioN nay aaj to chaunka diya mujhey

Parhha hai dasht mein pehla parhhao humsafaro


Parhha hai dasht mein pehla parhhao humsafaro
yeh raat kaisey kateigi..bataao humsafaro ?

yahan to shab ki khamoshi sey dil larazta hai
zara qareeb hi kheimey lagao humsafaro

kahaN ka azm e safar hai, kahaN sey aaye haiN?
na poochho hum sey,tum apni sunao humsafaro

hai iintezar mein Suraj naye safar kay liye
hisar e khwab sey baahar to aao humsafaro

ab aur seh na sakoonga azaab e humsafri
bharey nahiN abhi mazi kay ghao humsafro

chalo ik aur tamashey ka ikhtTaam hu
aik aur raat ka parda girao humsafro

shikan sey kaisey bachaogey Shaad chehroN ko?
safar mein rehta nahin rakh-rakhao humsafaro

wahshateiN hazaaroN haiN Aagahi kay paikar meiN


wahshateiN hazaaroN haiN Aagahi kay paikar meiN
jal raha hai Suraj bhi roshni kay paikar meiN

Raat meri aankhoN meiN kuchh ajeeb chehrey they
aur kuchh SadaaeiN theiN khaamshi kay paikar meiN

har taraf saraaboN kay kuchh haseen manzar they
aur meiN bhi haairaN tha tashnagi kay paikar meiN

meney to tassawur meiN aur Aks dekha tha
fikr mukhtalif kyuN hai Shayari kay paikar meiN

roop-rang milta hai,khadd o khaal miltey haiN
Aadmi nahiN milta aadmi kay paikar meiN

kya bataeiN hum Dil par ;Shaad; kya guzarti hai
gham chhupana parhta hai jab khushi kay paikar meiN

Apney gird uthhai haiN jo deewareiN, mismaar karooN


Apney gird uthhai haiN jo deewareiN, mismaar karooN
tujh tak bhi pahunchoonga pehley apni had to paar karooN


aisey to naMumkin hai paimaish apney paikar ki
apney qad meiN saaya jorhooN ya saaya hamwaar karooN


shab bhar meiN jagooN aur uska khamyaaza Suraj bhugtey?
din kay hanstey gaatey manzar dekhney sey inkaar karooN


apni maujoN aur bhaNwar par mera bas chalta hi nahiN
warna meiN to phool ki soorat har kashti ko paar karooN


naSamajhi meiN apney haathoN qatl bhi to ho sakta hoon
pehley sipar to koi dhoondooN phir apni Ana par waar karoon


us ko hai maloom har ik rasta mujh meiN dar aaney ka
itney darwaazey haiN mujh meiN kis kis ko deewar karooN?


seedha sada maslehatoN ka eik taAluq hai us sey
kyuN jazbaat ki rau meiN beh kar Aasani dushwaar karooN?


;Shaad; isi kawish meiN khud ko sarf kiya ab tak meney
jin rangoN meiN sochooN khud ko ,un meiN hi izhaar karoon