Showing posts with label Kalim Ajiz. Show all posts
Showing posts with label Kalim Ajiz. Show all posts

Kalim haal to apnaa sunaao kaisa hai ???

Kalim haal to apnaa sunaao kaisa hai ???
Hai dard kam k bahut dil ka ghaao kaisa hai

Bachi k toot k kashtii E dil bhi doob gayi
Ab aaNsuoN ki nadi ka bahaao kaisa hai

Dayaar E husn me ab is ki maang hai k nahi
Wafaa ka in dinoN baazaar bhaao kaisa  hai

Hai waza kaisi naye qatl karne waaloN ki
Puraane qaatiloN ka rakh-rakhaao kaisa hai

Ye der  der se yaa jald jald milte hiaN
Gale ke saath chhuri ka lagaao kaisa hai

Is naaz is andaaz se tum haaye chalo ho


Is naaz is andaaz se tum haaye chalo ho
Roz ek Ghazal ham se kahalavaaye chalo ho

Rakhnaa hai kahiN paaNv to rak_kho ho kahiN paaNv
Chalnaa zaraa aayaa hai to itaraaye chalo ho

Diivaana-E-gul qaidii-E-zanjiir hai, aur tum
Kyaa THaa_TH se gulshan kii havaa khaaye chalo ho

MaE meN koi Khaami hai na saaGhar meN koi khoT
Piinaa nahiN aaye hai to chhalkaaye chalo ho

Ham kuchh nahiN kahate haiN koi kuchh nahiN kahtaa
Tum kyaa ho tumhiN sab se kahalavaaye chalo ho

ZulfoN kii hai fitrat yahi, lekin mere pyaare
zulfoN se bhii zyaadaa tumhiN bal khaaye chalo ho

Vo shokh sitam_gar to sitam Dhaaye chale hai
Tum ho ke Kaleem apanii Ghazal gaaye chalo ho

Mere hii lahuu par guzar auqaat karo ho

Mere hii lahuu par guzar auqaat karo ho
Mujh se hii amiiroN ki tarah baat karo ho

Din ek sitam,  ek sitam raat karo ho
Vo dost ho dushman ko biii jo maat karo ho

Ham khaak_nashiN tum suKhan aara ho sar-E-baam
Paas aake milo duur se kyaa baat karo ho

Ham ko jo milaa hai vo tumhiiN se to milaa hai
Ham aur bhulaa deN tumheN kyaa baat karo ho

YuuN to hameN muNh pher ke dekho bhi nahiN ho
Jab vaqt paRe hai to madaaraat karo ho

Daaman pe koii chiiNt na Khanjar pe koi daaGh
Tum qatl karo ho ke karaamaat karo ho

Bakne bhi do Aajiz ko jo bole hai bake hai
Diivaanaa hai diivaane se kyaa baat karo ho

Zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhii bahut thii

Zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhii bahut thii
Majabuur the ham us se muhabbat bhii bahut thii

Us but ke sitam sah ke dikhaa hii diyaa ham ne
Go apnii tabiyat meN baGhaavat bhii bahut thii

Vaaqif hii na thaa ramz-e-muhabbat se vo varnaa
Dil ke liye thoRii sii inaayat bhii bahut thii

YuN hii nahiiN mashhuur E zamaanaa meraa qaatil
Us shaKhs ko is fan meN mahaarat bhii bahut thii

Kyaa daur-e-Ghazab thaa k lahuu dil meN bahut thaa
Aur dil ko lahuu karane kii fursat bhii bahut thii

Har shaam sunaate the hasiinoN ko Ghazal ham
Jab maal bahut thaa to saKhaavat bhii bahut thii

Bulavaa ke ham Ajiz ko pashemaaN bhii bahut haiN
Kyaa kiijiye kam_baKht kii shohrat bhii bahut thii

Yeh samundar hai! kinaare hi kinaare jaao

Yeh samundar hai!  kinaare hi kinaare jaao
Ishq har shakhs ke bas ka nahi pyaare jaao


YuN to maqtal mein tamashaayi bahut aate hain
Aaao us waqt, K jis waqt  pukaare jaao


Dil ki baazi lage phir jaan ki bazi lag jaye
Ishq mein haar ke abiTho nahi, haare jaao


Kaam ban jaye agar zulf junuN ban jaaye
Is liye us ko saNvaaro K saNvare jaao


Koi rastaa koi manzil use dushwaar nahi
Jis jagah jaao muhabbat ke sahaare jaao


Hum to mitti se ugaayeNge muhabbat ke gulab
Tum agar toRne jaate ho sitaare, jaao


Doobna hoga agar doobna taqdeer mein hai
Chaahe kashti pe raho chaahe kinare jaao


Tum hi socho bhal yeh shouq koi shouq hua
Aaj ooNchayi pe baiTho kal utaare jaao



Maut se khel ke karte ho muhabbat ‘Ajiz’
Mujh ko Dar hai kahiN be-maut na maare jaao