Skip to main content

ashk apna ke tumhara nahi dekha jata

 
 
ashk apna ke tumhara nahi dekha jata
abr ki zad mein sitara nahi dekha jata

terey chehrey ki kashish thi ke palat ker dekha
warna soraj to dobara nahi dekha jata
...

mouj dar mouj ulajhney ki hawas be mani
dobna ho to sahara nahi dekha jata

apni sheh rag ka lahoo tan mein rawan hey jab tak
zer e khanjar koi peyara nahi dekha jata

zakhm ankhon ke bhi shetey they kabhi dil waley
ab to abroo ka ishara nahi dekha jata

kiya qayamat hai ke dil jis ka nagar hai mohsin
dil pe us ka bhi ijara nahi dikha jata......!

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng