Showing posts with label : GHAZALS. Show all posts
Showing posts with label : GHAZALS. Show all posts

Yaad karna har ghari us yaar ka

Yaad karna har ghari us yaar ka
Hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka.


Aarzoo-e-chasma-e-kausar nahin
Tishna-lab hun sharbat-e-didaar ka.


Aakbat kya howega maalum nahin
Dil hua hai mubtla dildaar ka.


Kya kahe tarif dil, hai be nazir,
Harf harf us makhzan-e-israar ka.


Gar hua hai taalib-e-aazadgi,
Band mat ho subba-o-zunnaar ka.


Masnad-e-gul manzil-e-shabanam hui,
Dekh rutba dida-e-bedaar ka.


Ai Wali hona srijan par nisaar,
Mudda hai chashm-e-gohar baar ka.

Ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise


Ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise
shahar ka shahar hi aseb zada ho jaise
 
Raat ke pichle pahar ati hain avazain si
dur shahara main koi chiKh raha ho jaise

Dar-o-divar pe chai hai udasi aisi
aj har ghar se janaza sa utha ho jaise

Muskurata hun pa-e-Khatir-e-ahabab magar
dukh to chehre ki lakiron pe saja ho jaise

Ab agar dub gaya bhi to marunga na Kamal
bahte pani pe mera nam likha ho jaise

Kamaal-E-Ishq Hai Deewana Ho Gaya Hoon Main,

 
 
Kamaal-E-Ishq Hai Deewana Ho Gaya Hoon Main,
Ye Kis Ke Haath Se Daaman Chhuda Raha Hoon Main,

Tumhi To Ho Jise Kehti Hai Naakhuda Duniya
Bacha Sako To Bacha Lo Ke Dubta Hoon Main,

Ye Mere Ishq Ki Majburiyan Maaz-Allah,
Tumhara Raaz Tumhi Se Chupa Raha Hoon Main,

Is Ek Hijaab Pe Sau Be Hijaabiyan Sadke,
Jahan Se Chahta Hoon Tumko Dekhta Hoon Main,

Batane Wale Wahin Par Batate Hia Manzil,
Hazaar Baar Jahanse Guzar Chuka Hoon Main,

Kabhi Ye Zom Ki Tu Mujshe Chhup Nahi Sakta,
Kabhi Ye Wahem Ki Khud Bhi Chhupa Hua Hoon Main,

Mujhe Sune Na Koi Mast-E-Baada-E-Isharat,
"Majaz" Tute Hue Dil Ki Ek Sada Hoon Main...

Muhabbat Ka Meri Mujh Say Hisab Mangta Hai


Muhabbat Ka Meri Mujh Say Hisab Mangta Hai
Tamam Umer Ka Mujh Say Nisab Mangta Hai

Jin Logoon Ko Main Janta Nahin
Un Logoon Kay Mujh Say Alqaab Mangta Hai

Us Kay Qadmoon Main Khushioon Ko Dhair Ker Diya
Pagal Un Cheezon Ka Jawaz Mangta Hai

Hazar Bar Kaha Sirf Tum Say Pyar Hai
Meray Pyar Ka Mujh Say Iqrar Mangta Hai

Hur Sawal Kay Jawab Ko Jantay Huay Bhi
Apnay Hur Sawal Ka Jawab Mangta Hai

Ajeeb Shaks Hay Khusioon Ko Daman Main Lay Ker
Khushioon Ki Bheeg Sir-E-Bazar Mangta Hai

Hum Mout Ki Dehleez Per Hain Janta Hai Jana Hai Hamain
Pagal Hay Hamaray Ruknay Ki Dua Mangta Hai

Kay jissay dil chahay uss pay mar janay ko dil chahta hai


Kay jissay dil chahay uss pay mar janay ko dil chahta hai
Kay uss kay ansoo pi janay ko dil chahta hai

Kay uss kay har gham ko mitta daynay ko dil chahta hai
Kay uss ko har paal muskurata hua dekhnay ko dil chahta hai

Kay uss par zindagani lutta daynay ko dil chahta hai
Kay uss ka hath pakar kar ura lay janay ko dil chahta hai

Kay uss ki ankhon mein kho janay ko dil chahta hai
Kay uss ki pyari pyari baton ko har paal sun nay ko dil chahta hai

Kay uss ko har khushi daynay ko dil chahta hai
Kay uss ko har chot se mehfooz rakhne ko dil chahta hai

Kay uss kay rastay mein giray huay har kantay ko utha dayna ko dil chahta hai
Kay uss ko dil mein chupa laynay ko dil chahta hai

hum ko to gardish-e-halaat pe rona aaya


hum ko to gardish-e-halaat pe rona aaya
rone vaale tujhe kis baat pe rona aaya

kaise mar-mar ke guzaari hai tumhein kya malum
raat bhar taaron bhari raat pe rona aaya

kitane betaab the rim_jhim mein piyenge lekin
aai barsaat to barsaat pe rona aaya

kaun rotaa hai kisi aur ke Gham kii Khatir
sab ko apani hi kisi baat pe rona aaya

ye din to qayamat kii tarah guzara hai
jaane kyaa baat thi har baat pe rona aaya