Skip to main content

Sochta Hoon K Mohabbat Sey Kinara Kar Loon

Sochta Hoon K Mohabbat Sey Kinara Kar Loon
Dill Ko Begana-E Targeeb-O Tammanna Kar Loon

Sochta Hoon K Mohabbat Hay Junoo.N -E Ruswa
Chand Be-Kaar Sey Be-Hooda Khayaloo.N Ka Hojoom
Aik Aazad Ko Paband Banan?ey Ki Hawis
Aik Begaaney Ko Apnaney Ki Sa?ai-E Mohoom

Sochta Hoon K Mohabbat Hay Sar?R-E Masti
Is Ki Tanweer Main Roshan Hay Fizaa-E Hasti

Sochta Hon K Mohabbat Hay Bashar Ki Fitrat
Iska Mit Jana, Mita Dena Bohat Mushkil Hay
Sochta Hoon K Mohabbat Sey Hay Tabindah Hayyat
Aap Ye Shama Bujha Dena Bohat Mushkil Hay

Sochta Hoon K Mohabbat Pe Kari Shartain Hain
Ik Tamad?dun Main Mussarrat Pe Kari Shartain Hain

Sochta Hoon K Mohabbat Hay Ik Afsurda Si Laash
Chadaar-E Izzat-O Namoos Main Kafnaai Hoii
Door-E Sarmaya Ki Rondhi Hoi Ruswa Husti
Dargaah-E Mazhub-O Ikhlaaq Sey Thukraai Hoi

Sochta Hoon K Bash?r Aur Mohabbat Ka Junoo.N
Aisi Boseeda Tamaddun Sey Hay Ik Kaar-E Zaboo.N

Sochta Hoon K Mohabbat Na Bachey Gi Zinda
Paish Az Waqt Ki Sar Jaay Gi Galti Hoi Laash
Yehi Behter Hay K Begana-E Ulfat Ho Kar
Apney Seeney Main Karoo.N Jazba-E Nafrat Ki Talaash

Aur Soda-E Mohabbat Sey Kinara Kar Loon
Dill Ko Begaana-E Targeeb-O Tammanna Kar Loon

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.