Showing posts with label Nawaz Deobandi. Show all posts
Showing posts with label Nawaz Deobandi. Show all posts

Sitam-aaraa’ii baRhtii jaa rahii hai,


Sitam-aaraa’ii baRhtii jaa rahii hai,
karam-farmaa’ii baRhtii jaa rahii hai,

kalaam-ullah jab se paRh rahaa huuN,
merii biinaa’ii baRhtii jaa rahii hai,

mazluum kii aahoN kii nishaane nahiiN baiThe,
zaalim ke abhii hosh Thikaane nahiiN baiThe,

go vaqt ne aise bhii mavaaqe hameN baKhshe,
ham phir bhii buzurgoN ke sarhaane nahiiN baiThe,
(mavaaqe : oppotunities; sarhaane : near)

Vo rulaa kar haNs na paayaa der tak,


Vo rulaa kar haNs na paayaa der tak,
jab maiN ro kar muskuraayaa der tak,

bhuulnaa chaahaa kabhii us ko agar,
aur bhii vo yaad aayaa der tak

Khud ba Khud, be-saaKhtaa maiN haNs paRaa
usne is darjaa rulaayaa der tak,
(Khud ba Khud : by oneself; be-saaKhtaa : spontaneously)

bhuukhe bachchoN kii tasallii ke liye,
maaN ne phir paanii pakaayaa der tak,

gun-gunaataa jaa rahaa thaa ik faqiir,
dhuup rahtii hai naa saayaa der tak,

kal andherii raat meN merii tarah,
ek jugnuu jagmagaayaa der tak.

Saqiya Tera Israr Apni Jagah,


Saqiya Tera Israr Apni Jagah, 
tere maikash ka inkar apni jagah,

tegh apni jagah dar apni jagah, 
aur haqiqat ka izhar apni jagah,

ab khandahar hai khandar hi kaho dosto, 
shish mahalo'n ke asar apni jagah,

tuur par lakh musa se ho guftagu, 
arsh-e-aazam pe diidar apni jagah,

avalan haq ne takhliq jis ko kiya, 
sab ke bad us ka izhar apni jagah,

mukhtasar ye bata sar ba-kaf kaun tha, 
jeet apni jagah har apni jagah,

bhai se bhai ke kuch taqaze bhi hai'n ,
sahan ki biich ki divar apni jagah.

Leke maazi ko jo haal aaya to dil kanp gaya,


Leke maazi ko jo haal aaya to dil kanp gaya, 
jab kabhi unka Khayal aaya to dil kanp gaya,


Aisa torha tha muhabbat me'n kisi ne dil ko ,
jab kisi shishe me'n baal aaya to dil kanp gaya,


Sar balandi pe to maghrur the ham bhi lekin, 
charhte suraj pe zaval aaya to dil kanp gaya,


Bad nazar uthane hi vali thi kisi ki janib, 
apne beti ka Khayal aaya to dil kanp gaya.

Jo safar ikhtiyar karte hein


Jo safar ikhtiyar karte hein
Voh hi darya ko paar karte hein

Sach to yeh hai ke khud musafir ka
Raaste intezaar karte hein

Un se bichde to phir huya mahsoos
Voh hamen kitna pyaar karte hein

Ham to apnon se kha gaye dhokha
Aap ko hoshiyar karte hein

Jhoothe vaadeh kiya na kar ham se
Ham tera aitbaar karte hein

Ham to us dil Nawaz dushman ko
Doston mein shumaar karte hein

Jashn-e-gham-hayat manane nahi diya


Jashn-e-gham-hayat manane nahi diya
Is muflisi ne zahar bhi khaane nahi diya

Ham ne jo sada lohi mein khaya koi fareb
Phir voh fareb auron ko khaane nahi diya

Aandhi ne roshni ki himayat to ki bahut
Lekin koi chiraagh jalaane nahi diya

Ek adh ghar to jal gaya par shahr bach gaya
Ab ke diye ka saath hawaa ne nahi diya

Raazi tha main bhi aur mera dushman bhi sulah par
Kuch doston ne haath milaane nahi diya

Maani na aql ki dil-e-nadaan ke saamne


Maani na aql ki dil-e-nadaan ke saamne
Ek ghar bana liya dar-e-janaan ke saamne

Voh sirf rahzaanon hi pe ilzaam kyon rakhe
Jo lut gaya ho apne nigehbaan ke saamne

To mubtala ho ishq mein to phir pata chale
Khushiyan haqeer hai gham-e-janaan ke saamne

Rehne ko ghar na khaane ko roti na koi dost
Itni bhi mushkilen na ho insaan ke saamne

Faqa kashi mein khush hoon magar itna to de mujhe
Sharmindgi na ho kisi mehmaan ke saamne

Yeh baar-e-falak ham ne zameen par nahi rakha


Yeh baar-e-falak ham ne zameen par nahi rakha
Thak kar kisi kandhe pe kabhi sar nahi rakha

Is ne bhi hawaaon ke abhi rukh nahi badle
Main ne bhi chiraaghon ko bujha kar nahi rakha

Main ne bhi ise khar se tasbeeh nahi di
Is ne bhi mera naam gul-e-tarr nahi rakha

Kyun thokre lagti hai ke jab ham ne kabhi bhi
Raaste mein kisi ke koi patthar nahi rakha

Tareekh se vaaqif hai jo, bete ka inhone
Rakha hai Ali naam, Sikandar nahi rakha

tere aane ki jab Khabar mahke


tere aane ki jab Khabar mahke
tere Khushbu se sara ghar mahke

shaam mahke tere tasavvur se
shaam ke baad phir sahar mahke

raat bhar sochtaa raha tujh ko
zahan-o-dil mere raat bhar mahke

yaad aaye to dil munavvar ho
deed ho jaaye to nazar mahke

vo ghaDi do ghaDi jahaaN baiThe
vo zamin mahke vo shajar mahke