Garmi-e-hasrat-e-nakaam say jal jaatey hain
Hum charaghon ki tarhan shaam say jal jaatey hain
Bach nikaltey hain agar aatish-e-sayyad say hum
Sholaa-e-aatish-e-gulfaam say jal jaatey hain
Khudnumaai toh nahi shewa-e-arbaab-e-wafa
Jin ko jalna ho woh araam say jal jaatey hain
Shamma jis aag mai jalti hai numaish kay liyee
Hum usi aag mai gumnaam say jal jaatey hain
Jab bhi aata hai tera naam meray naam kay saath
Jaaney kyon log meray naam say jal jaatey hain
Rabtaa behem pay humein kia na kahaingai dushman
Aashna jab teray paighaam say jal jaatey hain