Urdu Shayari world 786 is such a website which provide you all kinds of poetry new and old in Indian and Pakistani Collections of poets are available. The Poetry is in every sense enough to suit every occasion like romantic poetry Attitude Poetry sad poetry Faiz Ahmed Faiz Poetry Ahmed Faraj Poetry Mirza Ghalib Poetry Parveen Shakir poetry, John Elia Poetry we hope that you will like our little effort.
Showing posts with label Qateel Shifai. Show all posts
Showing posts with label Qateel Shifai. Show all posts
Nigaahon mein khumaar aata hua mehsoos hota hai,
Nigaahon mein khumaar aata hua mehsoos hota hai,
tasawwur jaam chhalakaata hua mehsoos hota hai.
Khiraam-e-naaz aur un ka khiraam-e-naaz kya kehna,
zamana thokaren khaata hua mehsoos hota hai.
Tasawwur ek zehni justujoo ka naam hai shayad,
dil un ko dhoond kar laata hua mehsoos hota hai.
Kisi ki nuqrai paazeb ki jhankaar ke sadqe,
mujhe saara jahaan gaata hua mehsoos hota hai.
Qateel’ab dil ki dhadkan ban gayi hai chaap qadmon ki,
koi meri taraf aata hua mehsoos hota hai. !!

Ghum-e-hijr se na dil ko kabhi hum-kinaar karna,
Ghum-e-hijr se na dil ko kabhi hum-kinaar karna,
main phir aaunga palat kar mera intezaar karna.
Mujhe dar hai mere aansoo teri aankh se na jhalken,
zara soch kar samajh kar mujhe sogwaar karna.
Usey dhoond sab se pehle jo mila nahin hai tujh ko,
ye sitaare aasmaan ke kabhi phir shumaar karna.
Mere shehar ki fiza mein koi zehar bhar gaya hai,
tere husn par hai laazim usey khushgawaar karna.
Main uthaaungaa na ehsaan tere baad na-khuda ka,
mujhe tu ne hi duboya mujhe tu hi paar karna.
Mere badnaseeb saathi teri zindagi hi kya hai,
na kisi se dil lagaana na kisi se pyaar karna.
Kabhi iqtidaar bakhshe jo khuda ‘qateel tujh ko,
jo rawish hai qaatilon ki woh na ikhtiyaar karna. !!

Sham ke sanwale chehre ko nikhara jaye,
Sham ke sanwale chehre ko nikhara jaye,
kyo'n na sagar se koi chand ubhara jaye,
Raas aya nahi taskin ka sahil koi,
phir mujhe pyas ke dariya may utara jaye,
Meharaban teri nazar, teri adaye'n qatil,
tujhko kis naam se ai dost pukara jaye,
Mujhko dar hai tere wade pe bharosa karke,
muft may ye dil e khush faham na mara jaye,
Jiske dam se tere din rat darakhshan the "qateel",
kaise ab us ke bina waqt guzara jaye.

Tuune ye phuul jo zulfoN meN sajaa rakhaa hai,
Tuune ye phuul jo zulfoN meN sajaa rakhaa hai,
ek diyaa hai jo andheroN meN jalaa rakhaa hai,
(zulf : tresses; jalaa : lighted)
jiit le jaaye koii mujhko nasiiboN vaalaa,
zindagii ne mujhe daaNv pe lagaa rakhaa hai,
(nasiib : destiny; daaNv : at stake)
jaane kab aaye koii dil meN jhaaNkne vaalaa,
is liye maiN ne girebaan khulaa rakhaa hai,
(girebaan : collar)
imtehaaN aur mere zabt kaa tum kyaa loge,
maiN ne dhaRkan ko bhii siine meN chhupaa rakhaa hai,
( zabt : restrain; dhaRkan : heart-beat)
dil tha ek sholaa magar biit gaye din vo Qateel,
ab kuredo na ise raakh meN kyaa rakha hai.
(sholaa : ball of fire; kurednaa : to scratch or scrape; raakh : ashes)
Haath diyaa usne mere haath meiN,
Haath diyaa usne mere haath meiN,
maiN to valii ban gayaa ek raat meiN,
(valii : master)
ishq karoge to kamaaoge naam,
tuhmateN baNTtii nahiiN Khairaat meiN,
(tuhmateN : blemishes)
ishq burii shai sahii par dostoN,
daKhl na do tum merii har baat meiN,
mujh pe tajavvoh hai sab aafaat kii,
koii kashish to hai merii zaat meiN,
rabt baRhaayaa na Qateel is liye,
farq thaa donoN ke Khayaalaat meiN.
(rabt : contact, relationship
Hijr kii pahalii shaam ke saaye duur ufaq tak chhaaye the
Hijr kii pahalii shaam ke saaye duur ufaq tak chhaaye the
ham jab us ke shahar se nikale sab raaste sanvalaaye the
jaane vo kyaa soch rahaa thaa apane dil men saarii raat
pyaar kii baaten karate karate us ke nain bhar aaye the
mere andar chalii thii aandhii Thiik usii din patajhad kii
jis din apane juude men usane kuchh phool sajaaye the
usane kitane pyaar se apanaa kufr diyaa nazaraane men
ham apane iimaan kaa saudaa jis se karane aaye the
kaise jaatii mere badan se biite lamhon kii Khushbuu
Khvaabon kii us bastii men kuchh phuul mere ham-saaye the
kaisaa pyaaraa manzar thaa jab dekh ke apane saathii ko
ped pe baithii ik chidiyaa ne apane par phailaaye the
rukhsat ke din bhiigii aankhon us kaa vo kahanaa haae "Qateel"
tum ko laut hii jaanaa thaa to is nagarii kyuun aaye the
Zindagii men to sabhii pyaar kiyaa karate hain

Zindagii men to sabhii pyaar kiyaa karate hain
main to mar kar bhii merii jaan tujhe chaahuuNgaa
tuu milaa hai to ye ehasaas huaa hai mujhako
ye merii umr mohabbat ke liye thoDii hai
ik zaraa saa Gham-e-dauraan kaa bhii haq hai jis par
main ne wo saans bhii tere liye rakh chhodii hai
tujh pe ho jaauungaa qurabaan tujhe chaahuungaa
apane jazbaat men naghmaat rachaane ke liye
main ne dhadakan kii tarah dil men basaayaa hai tujhe
main tasavvur bhii judaaii kaa bhalaa kaise karuuN
main ne qismat kii lakiiron se churaayaa hai tujhe
pyaar kaa ban ke nigehabaan tujhe chaahuungaa
terii har chaap se jalate hain Khayaalon men chiraagh
jab bhii tuu aaye jagaataa huaa jaaduu aaye
tujhako chhuu luun to phir ae jaan-e-tamannaa mujhako
der tak apane badan se terii Khushbuu aaye
tuu bahaaron kaa hai unawaan tujhe chaahuungaa
Ye mojazaa bhii muhabbat kabhii dikhaaye mujhe
Ye mojazaa bhii muhabbat kabhii dikhaaye mujhe
ki sang tujhape gire aur zakhm aaye mujhe
vo maharabaan hai top iqaraar kyuun nahiin karataa
vo badagumaan hai to sau baar aazamaaye mujhe
main apane paanv tale raundataa huun saaye ko
badan meraa hii sahii dopahar na bhaaye mujhe
main ghar se terii tamannaa pahan ke jab nikaluun
barahanaa shahar men koii nazar na aaye mujhe
vo meraa dost hai saare jahaan ko hai maaluum
daGaa kare vo kisii se to sharm aaye mujhe
main apanii zaat men niilaam ho rahaa huun 'Qateel'
Gham-e-hayaat se kah do Khariid laaye mujhe
Pareshaan raat saarii hai sitaaron tum to so jaao

Pareshaan raat saarii hai sitaaron tum to so jaao
sukuut-e-marg taarii hai sitaaron tum to so jaao
hanson aur hansate-hansate Duubate jaao Khalaaon men
hamen ye raat bhaarii hai sitaaron tum to so jaao
tumhen kyaa aaj bhii koii agar milane nahiin aayaa
ye baazii ham ne haarii hai sitaaron tum to so jaao
kahe jaate ho ro-roke hamaaraa haal duniyaa se
ye kaisii raazadaarii hai sitaaron tum to so jaa
hamen to aaj kii shab pau phate tak jaaganaa hogaa
yahii qismat hamaarii hai sitaaron tum to so jaao
hamen bhii niind aa jaayegii ham bhii so hii jaayenge
abhii kuchh beqaraarii hai sitaaron tum to so jaao
Youn lage dost teraa mujh se Khafaa ho jaanaa
Youn lage dost teraa mujhase Khafaa ho jaanaa
jis tarah phool se Khushbuu kaa judaa ho jaanaa
ahal-e-dil se ye teraa tark-e-ta'alluq
vaqt se pahale asiiron kaa rihaa ho jaanaa
yon agar ho to jahaan men koii kaafir na rahe
mo'ajuzaa tere vaade kaa vafaa ho jaanaa
zindagii main bhii chaluungaa tere piichhe-piichhe
tuu mere dost kaa naqsh-e-kaf-e-paa ho jaanaa
jaane vo kaun sii kaifiyat-e-GhamKhvaarii hai
mere piite hii "Qateel" us ko nashaa ho jaanaa
Vafaa ke shiish mahal men sajaa liyaa main ne
Vafaa ke shiish mahal men sajaa liyaa main ne
vo ek dil jise patthar banaa liyaa main ne
ye soch kar ki na ho taak men Khushii koii
Ghamon ki ot men Khud ko chhupaa liyaa main ne
kabhii na Khatm kiyaa main ne roshanii kaa muhaaz
agar chiraagh bujhaa, dil jalaa liyaa main ne
kamaal ye hai ki jo dushman pe chalaanaa thaa
vo tiir apane kaleje pe khaa liyaa main ne
'Qateel' jisakii adaavat men ek pyaar bhii thaa
us aadamii ko gale se lagaa liyaa main ne
Kiyaa hai pyaar jise hamane zindagii kii tarah,
Kiyaa hai pyaar jise hamane zindagii kii tarah,
vo aashanaa bhii milaa hamase ajanabii kii tarah ,
baDaa ke pyaas merii us ne haath chhod diyaa,
vo kar rahaa thaa muravvat bhii dillagii kii tarah ,
kise Khabar thii baDegii kuchh aur taariikii chhupegaa,
vo kisii badalii men chaandanii kii tarah ,
kabhii na sochaa thaa hamane "Qateel" us ke liye ,
karegaa ham pe sitam vo bhii har kisii kii tarah.
Pahale to apane dil kii razaa jaan jaaiye
Pahale to apane dil kii razaa jaan jaaiye
phir jo nigaah-e-yaar kahe maan jaaiye
pahale mizaaj-e-raahaguzar jaan jaaiye
phir gard-e-raah jo bhii kahe maan jaaiye
kuchh kah rahii hai aap ke siine kii dhaDakane
merii sunen to dil kaa kahaa maan jaaiye
ik dhuup sii jamii hai nigaahon ke aas paas
ye aap hain to aap pe qurbaan jaaiye
shaayad huzuur se koii nisbat hamen bhii ho
aaNkhon men jhaank kar hamen pahachaan jaaiye
Kya ishq tha jo baaas e ruswaayi ban gaya
Kya ishq tha jo baaas e ruswaayi ban gaya
Yaaro tamaam shahr tamaashaayi ban gaya
Bin mange mil gaye meri aankhoN ko rat jaggay
MaiN jab say aik chand ka shaidaayi ban gaya
Dekha jo uska dast-e-hinaaee qareeb se
Ehsas goonjti hooyi shahnaayi ban gaya
Barham huaa tha meri kisi baat par koyi
Woh haadsa hi wajh-e-shanasayi ban gaya
Karta raha jo roz mujhay us say bad gumaan
Woh shakhs bhi ab usska tamannayi ban gaya
Woh teri bhi to pahli muhabbat na thi Qateel
Phir kya hoowa agar koyi harjaayi ban gaya
***
Kab talak shama jali, yaad naheeN
Kab talak shama jali, yaad naheeN
Sham-e-gham kaise dhali, yaad naheeN
Is qadar yaad hai apne the sabhi
Kisne kya chaal chali, yaad naheeN
Hum zamane mein kuch aise bhatkay
Ab to unki bhi gali yaad naheen
Abr tha, jaam tha, per aap na thay
Woh ghaRi kaise tali yaad naheeN
Kat gayi umr kisi tarh Qateel
Woh buri thee k bhali yaad naheeN
***
Sham-e-gham kaise dhali, yaad naheeN
Is qadar yaad hai apne the sabhi
Kisne kya chaal chali, yaad naheeN
Hum zamane mein kuch aise bhatkay
Ab to unki bhi gali yaad naheen
Abr tha, jaam tha, per aap na thay
Woh ghaRi kaise tali yaad naheeN
Kat gayi umr kisi tarh Qateel
Woh buri thee k bhali yaad naheeN
***
Pehlay To Wohi Dushman, Phir Uski Ada Dushman

Pehlay To Wohi Dushman, Phir Uski Ada Dushman
Darkar Nahi Hm Ko, Ab KOi Naya Dushman
Har Shakhs Mukhalif Tha, Jb Uss Sy Marasim Thay
Ab Uss K Bichartay He, KOi Na Raha Dushman
Tauba To Nahi Mushkil, Mushkil Hay To Bus Ye Hay
Hum Jaam Agar TOrain,Ban Jayai Ghata Dushman
Kiya Husn-e-Zan Apna Tha, Uss Shakhs K Baray Main
Js Doost Nay Samjaya , WO Hm Ko Laga Dushman
KOi B Qateel Un Ki Pehchan Na Kar Paayai
Kiya Rang Badaltay Hain, Ye Doost Numa Duhman
(Qateel Shifai)
Raqs karne kaa milaa hukm jo dariyaaoN meiN
Raqs karne kaa milaa hukm jo dariyaaoN meiN
Ham ne Khush hoke bhaNvar baaNdh liye paaoN meiN
Un ko bhi hai kisi bhige hue manzar ki talaash
Boond tak bo na sake jo kabhii saharaaoN meiN
Ae mere ham-safaro tum bhii thaake-haare ho
Dhuup ki tum to milaavaT na karo chaaoN meiN
Jo bhi aataa hai bataataa hai nayaa koi ilaaj
Bat na jaaye teraa biimaar masiihaaoN meiN
Hausalaa kis meN hai Yusuf ki Kharidaari kaa
Ab to mahNgaayi ke charche haiN zuleKhaaN meiN
Jis barahman ne kaha hai k ye saal achchha hai
Us ko dafnaao mere haath ki rekhaaoN meiN
Woh khuda hai kisi tootay hue dil me hoga
MasjidoN me use dhoondho na kalissaaoN meiN
Hum ko aapas me muhabbat nahi karne dete
Ik yahi aib hai is shehr k daanaaoN meiN
Mujh se karte haiN Qateel is liye Kuch log hasad
KyuN mere sher hain maqbool haseenaaoN meiN

Subscribe to:
Posts (Atom)