Showing posts with label Aansoo Shayari. Show all posts
Showing posts with label Aansoo Shayari. Show all posts

jis taraf manzilon ne millna ho

jis taraf manzilon ne millna ho
rasty ab wahaan nahin hoty

pyar badta rahe to bahter hai
silsalay raegan  nahin hoty

khawab jalnay ki rakh palkon per
rat jagay benishan nahin hoty

toot jaye bharam to tab kahna
aainay kirchyan nahin hoty

un ko taktay hein mond kar aankhein
fasalay darmiyan nahin hoty

ab Khushii hai na ko_ii Gam rulaane vaalaa

ab Khushii hai na ko_ii Gam rulaane vaalaa
hamane apanaa liyaa har rang zamaane vaalaa


us ko ruKhsat to kiyaa thaa mujhe maaluum na thaa
saaraa ghar le gayaa, ghar chho.D ke jaane vaalaa


  ik musaafir ke safar jaisii hai sab kii duniyaa
ko_ii jaldii me.n ko_ii der se jaane vaalaa


  ek be-cheharaa sii ummiid hai cheharaa-cheharaa
jis taraf dekhiye aane ko hai aane vaalaa

Rone se aur ishq mein be_baak ho gaye

Rone se aur ishq mein be_baak ho gaye
dhoye gaye ham 'eise ki bas paak ho gaye.

Kehta hai Kaun naala-e-bulbul ko be_asar
parde mein gul ke laakh jigar chaak ho gaye.

Pooche hai kya
Wujood-o-adam 'ehl-e-shauq ka
aap apnee aag se KHas-o-khaashaak ho gaye.


Karne gaye the; unse taghaaful ka ham gila
kee ek hee nigaah ki bas khaak ho gaye.


Is dhang se uthaayee kal usne 'Asad' ki laash
dushman bhee jisko dekhke ghamnaak ho gaye .

Bas Ek Tamasha Ye Zeest Thehri..

Bas Ek Tamasha Ye Zeest Thehri..
 Wajood Apna,Na Rooh Apni...!!!

Na Dil Lagi Mein Sakoon Payaa..
 Na Aashiqe Mein Qaraar Payaa...!!!

Na Wasl Lamhey Hi Raas Aaye..
 Na Firaaq Hi Hum Guzaar Paaye...!!!

Ajab Ye Chahat K Marhaley Hein..
 Na Jeet Paaye,Na Haar Paaye...!!!

Na Hi Yaadon Ki Dhund Utri..
 Na Dil K Daaman Koo Jhaar Paaye...!!!

Na Aankhen Khawaabon Ko Dhund Paaeen..
 Na Khawaab Aankhon Ko Dhund Paaye...!!!

 

Ab Jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko

Ab Jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko

Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
 Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain
 Ab Jo bichray ko ehsaas hua hai hum ko

Koi lamha ho tere yaad mai kho jatay hain
 Ab toh khud ko bhe muyassar nahi Aa patay hain
 Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain

Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
 Ab Jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko

Who Jo ghum aye usay dil pay saha kertey thay
 Aik saith hum mil ker raha kertey thay
 Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hain

Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
 Ab Jo bichray toh ehsaas hua hai hum ko

Hum Nay khud apni rahon mai bichaye kantay
 Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay
 Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain

Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai
 Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai
 Rastah rok Kay har aik say yehi kehtay hain

Ab Jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
 Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
 Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain
 Ab Jo bichray ko ehsaas hua hai hum ko
 

thee wasl me bhee fikr-e-judayee tamam shab

thee wasl me bhee fikr-e-judayee tamam shab
woh aaye bhee toh nind naa aayee tamam shab

yak bar dekhate hee mujhe gash jo aa gaya
bhule the woh bhee hosh-rubayee tamam shab

mar jate kyun naa subaho ke hote hee hijr me
takalif kaisee kaisee uthayee tamam shab

garm-e-jawab-e-shikawa-e-jaur-e-udu raha
us shola-bu ne jan jalayee tamam shab

momin mai apne nalo ke sadake ke kahate hain
unako bhee aaj nind naa aayee tamam shab

ranj kee jab guftagu hone lagee

ranj kee jab guftagu hone lagee
aap se tum tum se too hone lagee

chahiye paigam bar dono taraf
lutf kya jab dubadu hone lagee

meree ruswayee kee naubat aa gayee
unaki shoharat kubaku hone lagee

naumidee badh gayee hai iss kadar
aaraju kee aaraju hone lagee

abake mil kar dekhiye kya rang ho
phir hamaree justaju hone lagee

dag  itaraye huye phirate hain aaj
shayad unakee aabaru hone lagee

 

abra barsa naa, hawa tej chalee hai abb ke

abra barsa naa, hawa tej chalee hai abb ke
kitanee wiran teree yado kee galee hai abb ke

kya kahu kitane bahano se bhulaya hai use
yeh kayamat badee mushkil se talee hai abb ke

ya meree aankh ke kashkol me aansu chamaka
ya andhere me koyee shamma jalee hai abb ke

kisko fursat hai dhuwan dekhane jaye mohasin
jhopadee shahar se kuchh dur jalee hai abb ke

Tumhe Dekh Ker Ahen Kyun Bharen

Tumhe Dekh Ker Ahen Kyun Bharen
 Din Raat Yeh Socha Kyun Karen

Jis Shaks Ne Tujko Chaha Tha
 Ab Uska Hawala Kyun Karen

Jo Rasta Teri Gali Jata Hi Na Ho
 Hum Us Raste Se Guzra Kyun Karen

Jo Nazar Ki Baat Hi Na Samjh Sake
 Usko Koi Ishara Kyun Karen

Yeh Dil To Sada Ka Sarkish Hai
 Phir Isko Samjhaya Kyun Karen

Kya Teri Ana Hi Sab Kuch Hai?
 Hamesha Hum Hi Manaya Kyun Karen

Jo Chaha Woh Paya Na Kabhi
 Phir Nayi Tamanna Kyun Karen

Jo Saza Mili Woh Gunah Ki Mili
 To Ankhen Apni Num Kyun Karen

Jis Yad Se Dil Ko Dard Hi Mile
 Us Yad Ko Duhraya Kyun Karen

Ab Bas Kar Fahadd Or Had Main Reh
 Itni Ghamgin Shairy Kyun Karee..

milkar juda huye tho na soya karenge hum

  milkar juda huye tho na soya karenge hum
     ek doosre ke yaad meiN roya karenge hum




     aaNsoo chalak chalak ke sathaayenge raath bhar
     moti palak palak meiN piroyaa karenge hum




     jab dooriyoN ki yaad diloN ko jalaayegi
     jismoN ko chaandni meiN bhigoya karenge hum




     gar de gaya daga hameN toofan bhi 'qateel'
     sahil pe kashtiyoN ko doobOya karenge hum

ye hum jo tujh se tujey baar baar maangte hain

ye hum jo tujh se tujey baar baar maangte hain
saleeqa-e-talb-o-ikhtyar maangte hain


hmara shauq to daikho k paer ki manind
Hum aik phool badast-e-hazar maangte hain


kisi se keh nhi daina k ishq ho gya hay
k lafz maani nhi aitbaar maangte hain


chiragh hota hay sahab chiragh se roshan
so hum bhi aap se manage ka pyar maangte hain


agar wo tu hay to us may hmara dosh nhi
k hum to rehmat-e-parwardigar maangte hain!

gul ko mahbub mein qayas kiya

gul ko mahbub mein qayas kiya
farq nikala bahot jo bas kiya


dil ne hum ko misal-e-aina
ek aalam se ru-shinas kiya


kuch nahi sujhata hamen us bin
shauq ne hum ko be-havas kiya


subah tak shama sar ko dhundhati rahi
kya patange ne iltemas kiya


aise vahashi kahan hain ae khuban
‘meer’ ko tum ne abas udas kiya

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay
Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko Yaad Aate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon Magar Junhi
Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain

Her Ek Muflis K Maathe Per Alum Ki Daastanen Hain
Koi Chehra Bhi Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaate Hain

Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko
Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tere Kooche Se Ab Mera Ta’alluq Wajbi Sa Hay
Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hay Mere Dil Per
Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

yahii haalaat ibtadaa se rahe

yahii haalaat ibtadaa se rahe
loog hamase Khafaa Khafaa se rahe


bevafaa tum kabhii na the lekin
ye bhii sach hai ki bevafaa se rahe


in chiraaGo.n me.n tel hii kam thaa
kyo.n gilaa phir hame.n havaa se rahe


bahas, shatra.nj sher mausiiqii
tum nahii.n rahe to ye dilaase rahe


usake ba.ndo.n ko dekhakar kahiye
hamako ummiid kyaa Khudaa se rahe


zindagii kii sharaab maa.Ngate ho
ham ko dekho ki pii ke pyaase rahe
    

Jaate jaate vo mujhe achii nishanii de gayaa

Jaate jaate vo mujhe achii nishanii de gayaa
umr bhar doharaauu.Ngaa aisii kahanii de gayaa


us se mai.n kuchh paa sakuu.N aisii kahaa.N ummiid thii
Gam bhii vo shaayad baraa-e-meharabaanii de gayaa


sab havaaye.N le gayaa mere sama.ndar kii ko_ii
aur mujh ko ek karatii baadabaanii de gayaa


Khair mai.n pyaasaa rahaa par us ne itanaa to kiyaa
merii palako.n kii kataaro.n ko vo paanii de gayaa

Tere daman ke hawa mangate hain

Tere daman ke hawa mangate hain
hum bhi jine ke dua mangate hain


mutribo koi achuta nagma
saz aahang-o-sada mangate hain


mah-o-anjum ke jharoke aksar
kisi ke aariz ke dua mangate hain


phir patangon mein khudai jagi
shole hashr-numa mangate hain


banda-paravar koi khairat nahi
hum vafaon ka sila mangate hain


maikada ho ke kalisa “sagar”
sari duniya ka bhala mangate hain

Bheegi hui aankho ka ye manzar na mille ga




Bheegi hui aankho ka ye manzar na mille ga
Ghar chor kay mat jao kahin ghar na mille ga



Phir yaad bohut aaye gi zulfo ki ghani shaam
Jab dhoop may saaya koi sar par na mille ga



Aansoo ko kabhi aus ka qatra na samajhna
Aisa tumhe chahat ka samandar na mille ga



Is khwaab kay maahol may be khwab hayaankhe
Jab neend bohut aaye gi bistar na mille ga



Ye soch lo ab aakhri saaya hay mohabbat
Is dar say utho gay tho koi dar na mille ga.

Ab ke yoon dil ko saza di hum ne,




Ab ke yoon dil ko saza di hum ne,
uski har baat bhullaa di humne.



Ek-ek phool yaad aayaa,
shaakhn-e-gul jab woh jala di humne.



Aaj talk jis pe woh sharmaate rahe,
baat woh kab ki bhulla di humne.



Aaj phir yaad bahut aaya woh,
aaj phir usko duaa di humne.



Koi to baat hai unmein,
har khushi jis pe lutaa di humne

Kaise kahain k jaan se pyara nahi raha

Kaise kahain k jaan se pyara nahi raha
Ye aur baat ab woh hamara nahi raha

 Ansoo tere bhi  khushk hoye aur mere bhi
Nam ab kisi nadi ka kinara nahi raha

 Kuch din tumhare laot k ane ki aas thi
Ab us umeed ka bhi  sahara nahi raha

 Reste Meh-o-Najoom k tabdeel hogye
In khidkiyon main aik bhi  tara nahi raha

 Samjhe the dosron se bohat mukhtlaf tujhe
Kya maan lain k  tu bhi hamara nahi raha


 Hathon pe bujh gai hai muqaddar ki kehkshan
Ya rakh ho gya woh sitara nahi raha

 Tum aitbar is k  lye kyon udaas ho
Ik shakhs jo kabi bhi tumhara nahi raha