Skip to main content

mere Qadam Namaloom Simat ki Taraf Barhte Chale gaye

mere Qadam Namaloom Simat ki Taraf Barhte Chale gaye
Or Yun hi Log apna Qafiloon se Bicherte Chale gaye

Who log jin k chehrey they Dagdar bht Nazaroon main
Who log apni Wafa se dil main Uterte Chale gaye


Masoom sa Bacha Betha hai Sadak k kinarey Haath phelaye
Or Musafir us dekh dekh kar Guzerte Chale gaye

Humare Nseeb main Jese Sanwarna Tha hi nahi or
Jin k Naseeb they who her din sanwarte Chale gaye

Main Sath Rahon ga to kabhi Tumhara na Ban Sakon ga
Yeh Soch kar hi Hum Tum apna Raste Badalte Chale gaye

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng