Showing posts with label Intazaar Shayari. Show all posts
Showing posts with label Intazaar Shayari. Show all posts

tum aaye ho na shab-e-intazaar guzarii hai

tum aaye ho na shab-e-intazaar guzarii hai
talaash me.n hai sahar baar baar guzarii hai


junuu.N me.n jitanii bhii guzarii bakaar guzarii hai
agarche dil pe Kharaabii hazaar guzarii hai
 huii hai hazarat-e-naaseh se guftaguu jis shab
wo shab zaruur sar-e-kuu-e-yaar guzarii hai
  wo baat saare fasaane me.n jisakaa zikr na thaa
wo baat unako bahot naa-gavaar guzarii hai
  na gul khile hai.n, na unase mile, na mai pii hai
ajiib rang me.n ab ke bahaar guzarii hai
 chaman me.n Gaarat-e-gulachii.N se jaane kyaa guzarii
qafas se aaj sabaa beqaraar guzarii hai
[Gaarat=pillage, plunder; gulachii.N=flower-plucker; qafas=cage]

Hua karega har ek lafz mushkbaar apna

Hua karega  har ek lafz mushkbaar  apna
 Abhi  sakooN se kiye jaao!  Intezaar  apna


Utha liya hai bhalay  half jaaN – nisaari ka
 Mujhe sanbhaal, ke hota huN bar bar apna


Udaas aankhoN ko hai intezar fasl E muraad
 Kabhi to mausam e jaN hoga saazgaar apna


Tumhaare dar se uThaye gaye, malaal nahi
 WahaN to chhoR ke aaye hain hum ghubaar apna


Sabhi chiraaGh kamar-bastaa haiN hawa k khilaf
 Bechaari le ke kahaaN jaye inteshaar apna


Bahut buland hui jaati hai anaa ki faseel
 So hum bhi tang kiye jaate haiN hisaar apna

Teri ummid, tera intezar jab se hai

Teri  ummid,       tera   intezar   jab   se   hai

Na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai

Kisi ka dard ho karte haiN tere naam raqam

Gilaa hai jo bhi kisi se, tere sabab se hai

Hua hai jab se dil E na – saboor be – qaboo

Kalam tujh se nazar ko baRe adab se hai

Agar sharar hai to bhaRke, jo phool hai to khile

Tarah tarah ki talab, tere rang e lab se hai

KahaaN gaye shab E furqat ke jaagne wale

Sitaara e sehari hum-kalaam kab se hai

Phir Usi Raah Guzar Par Shayad

Phir Usi Raah Guzar Par Shayad

Hum Kabhi Mil SakeiN Magar, Shayad


Jinke Hum Muntazar Rahe Unko

Mil gaye Aur Humsafar Shayad


Jaan Pahchaan Se Bhi Kya Hoga

Phir Bhi Ae Dost, Ghaur Kar Shayad


Ajnabeeyat ki Dhund Chhat Jaye

Chamak Utthe Teri Nazar Shayad


Zindagi Bhar Lahu Rulaayegi

Yaad-e-Yaaran-e-Bekhabar Shayad


Jo Bhi BichhRe Wo Kab Mile haiN ‘FARAZ’

Phir Bhi Tu Intezaar kar Shayad..!!!
 

Kabhi gumaan, kabhi aetebaar ban ke raha

Kabhi gumaan,  kabhi aetebaar ban ke raha

Dayaar e chashm mein wo intezaar ban ke raha


Hazaar khaab meri milkiyat mein shamil the

MaiN tere ishq mein sarmaya daar ban ke raha


Tamaam umr  use chaahnaa na tha  mumkin

Kabhi kabhi to wo is dil pe baar ban ke raha


Usi ke naam karuN maiN tamaam ahd e khyal

Daroon e jaaN jo mere sog-waar ban ke raha


Agarche shahr meiN mamnu’ thi himaayat e khab

Magar yeh dil sabab e inteshaar ban ke raha

Ye dil mera jo bohat beqaraar rehta hai

Ye dil mera jo bohat beqaraar rehta hai
na jaane kiska isay intezaar rehta hai

Wo duur ho ke bhi rehta hai saat-saat meray
meray khayal ke rath par sawar rehta hai

Kaha tha ishq na karna kisi se dil mairay
junoo mein khud pay kaha ikhteyaar rehta hai

Udaasi jeel sii ankhon say jab tapakti hai
kinaray aab kohi sogwar rehta hai

Ye dil darakta hai bas teri chaap ke sadqay
mareez-e-shab ko tera intezaar rehta hai

Kabhi to khul kay baras ja meri zameenon pay
ke dasht-e-hijr mein haar suu ghubaar rehta hai

Tu mujh Ebad ko izn-e-beyaan ataa kar day
Ke baat karnay ko dil beqaraar rehta hai

tum hi kahoo… yeh kaisa qissa hua

tum hi kahoo… yeh kaisa qissa hua
main kaise rangoon ki…pholoon ki batein karoon
woh raang sarey jo ujaar gaye hain
manoo mitti main soo gaey hain
phool sarey gulshaan ke roo gaey hain
zameen ki chaadar urhay soo gaey hain
tum hi kahoo… yeh kaisa qissa hua
main kaise khushboo aur titliyon ki batein karoon
woh baba ki piyariyaan…bhaiya ki ladliyaan
woh maam ki dulaariyaan
jaa kar kahan hain woh soo gaien
andhere rastoon main kahan woh khoo gaein
zameen ki chadaar urhay woh soo gaein
yeh kaisa manzur mayri ankhoon ne dekha
jin mathoon pe hoti thi maa ke bosoon ki khushbo
woh mathey aub zakhmon se choor hain
woh maan hai kahaan??…uske boosay kahaan??
ankhein jaamid rahein…..dil bhi roota tha
tum hi kahoo…. yeh kaisa qissa hua
main kaise baharoon ki…kaliyon ki batein karoon
yeh kaisa shikaasta sa aik baap hai
uskay bazoo na’tawaan…zakhmoon se chor hai
uskay bachay…uskey bazoo hain us se juda ho gaey
bohot hairaat main woh… bohot wehshaat main woh
ankhein be’khabar hain…..hoosh se na’peed hain
tum hi kahoo… yeh kaisa qissa hua
main kaise jugno’un ki… ab’sharon ki batein karoon
woh maoon ke anchaal hain kahan khoo gaey
narm bahoon ke haalay hain kahan reh gaey
manno mitti main daab ke hain kiun soo gaye
tum hi kahoo… yeh kaisa qissa hua
main kaise rangoon ki… pholoon ki batein karoon

Pagal Ankhon Wali Larki

Pagal Ankhon Wali Larki
Itne Mengay khawab Na Dekhoo
Thak jahoo gi
Kanch se Nazuk Khwab Tumhare
Toot Gaye Toh Pastao Gi
Tum Kia Jano
Khwab….Safar Ki Doop Ke Teshay
Khwab….Adohri Raat Ka Dozakh
Khwab….Khayaloon Ka Patchtawa
Khwabo Ka Hasil Tanhi
Mengey Khwab Kareedna Ho toh
Ankhain Betchna Parti Hain
Rishty Bholna Partay Hain
Andeshoon Ke Rath Na Phenko
Khwabon Ke Oat Saraab Na Dekho
Pyaas Na Dekho
Itne Mangey Khwab Na Dekho
Thak Jahoo Gayee

Aj Phir Shaam Dhalay

Aj Phir Shaam Dhalay
Phir Wohi Dard Jaga Hay RaGoO’n May mEri
Phir Wohi Aah Si Nikli Hay Mere SeeNy Say
Phir Wohi KhwaB Say Tootay Hain Meri AankhOon MaY
Phir Wohi Dard ki Talkhi hay Meri BaatOon May
PhiR Wohi Ashk Say ThaRay Hain Meri PalkOon pay
Phir Wohi RaaT si Jewan mAy Utar i Hay
Phir Wohi Aakhri Manzer Hay Meri AankhOon May
Aj Phir Shaam Dhalay Tum Mujhy YaaD I Ho !!!

Kisi Kamzoor Lamhey Main

Kisi Kamzoor Lamhey Main,
Agar Main Tum Say Ye Keh Doon,
Mujhey Tum Say “MUHABAAT“ Hai,
Tum Ye Mat Samaj Lena,
Kay………….!!!!!!!!!
Mein Nay Sach Kaha Ho Ga,
Aisi Dil-Nasheen Baatoon Ko,
Aise dilbar Aadaoon Main Kehna,
Mujhey Bachpan Say Aata Hai,
Meri Aankhein Mera Chehra,
Mera Ye Bey Sakhtaa Lehja,
ye Sab Kuch Jhoot Kehta Hai Mager,
Iss Jhoot Main Bhi Ek Sach Hai,
Kay……………..!!!!!!!!!!!!!!,
Mujhey Tum Say “MUHABBAT“ Hai

abaad raheNge veeraane, shaadaab raheNgi zanjeereN

abaad raheNge veeraane, shaadaab raheNgi zanjeereN
jab tak deewaane zindaah hai.n, phuuleNgi phaleNgi zanjeereN

aazaadi kaa darwaazaa bhii Khud hi kholeNgi zanzeeren
tukRe tukRe ho jaayeNgi jab hadd se baRheNgi zanzeereN

jab sabke lab sil jaayeNge, haathoN se kalam chhin jaayeNge
baatil se lohaa lene kaa, ailaan kareiNgi zanjeereN

andhoN behroN ki nagrii me.n yuuN kaun tawajjoh kartaa hai
maahaul sunegaa, dekhegaa, jis waqt bajeNgi zanjeereN

jo zanjeeron se baahar haiN, aazaad unheN bhi mat samjho
jab haath kaTenge zaalim ke, us waqt kaTengii zanzeereN

ye taur bhi haiN sayyaadi ke, ye dhang bhi haiN jallaadi ke
Gar aisaa hi maahul rahaa,phaileiNgi badheiNgi zanjeereN

majbooroN ko tarsaayengi, yuuN aur hameN taRpaayeNgi
zulfoN ki yaad dilaayeiNgi, jab lehraayeNgi zanjeereN

zanjeereN to haT jayeNgi, haaN, inke nishaaN rah jayeNge
meraa kyaa hai, zaalim, tujhko badnaam kareNgi zanjeereN

le, de k Hafeez in se thii.n, ummiid-e-wafaa deewaanoN ko
kyaa hogaa jab deewaanoN se naataa toReNgi zanjeereN

Poochnay Walay Tujhey Kaisay Bataaein Akhir

Poochnay Walay Tujhey Kaisay Bataaein Akhir
Dukh Ibarat To Nahi Jo Tujhey Likh Ker Bhaijein
Ye Kahani Bhi Nahi Hai K Sunaein Tujh Ko
Na Koi Baat Hi Aisee K Bataein Tujh Ko
Zakham Gar Ho To Teray Naakhun K Hawalay Ker Dein
Aaina Bhi To Nahi K Dikhaein Tujh Ko
Tu Ne Poocha Hai Magar Kaisay Bataein Tujh Ko
Ye Koi Raaz Nahi Jis Ko Chupaen To Wo Raaz
Kabhi Chehray Kabhi Aankhon Se Chalak Jata Hai
Jaisay Aanchal Ko Sambhalay Koi Aur Teiz Hawa
Jab Bhi Chalti Hai To Shaano Se Dhalak Jata Hai
Ab Tujhey Kaisay Bataein K Humein Kia Dukh Hai
Jism Mai Reengti Rehti Hai Musafat Ki Thakan
Phir Bhi Kaandhon Pe Uthayae Huwe Halat Ka Bojh
Apnay Qadmon Se Hatatay Huwe Saya Apna
Jis Ko Bhi Dekhiye Chup Chap Chala Jata Hai
Kabhi Khud Se Kabhi Raston Se Ulajhta Hai Magar
Janay Wala Kisi Awaz Pe Rukta Hi Nahi
Dhoondna Hai Naya Peraya-E-Izhar Humein
Istiaron Ki Zaban Koi Samajhta Hi Nahi
Dil Grifta Hain Talismat-E-Gham-E-Hasti Se
Saans Lenay Se Fusoon Kariy-E-Jaan Tootti Hai
Ik Taghayyur Pas-E-Her Shay Hai Magar Zulm Ki Dor
Abhi Maloom Nahi Hai K Kahan Tooti Hai
Tu Samajhta Hai K Khushboo Se Moattar Hai Hayat
Tu Ne Chakha Hi Nahi Zeher Kisi Mausam Ka
Tujh Pe Guzra Hi Nahi Raqs-E-Junoon Ka Aalam
Aisa Aalam Jahan Sadiyoun K Tahhayur Ka Nasha
Her Bicharti Huwi Sa’at Se Galay Milta Hai
Is Tamashay Ka Bazahir To Nahi Koi Sabab
Sirf Mehsoos Kero Gay To Pata Chalta Hai
Aik Dhun Hai Jo Sunayee Nahi Deti Phir Bhi
Lay Ba Lay Berhata Chala Jata Hai Hungam-E-Sitam
Koo Ba Koo Phailta Jata Hai Gubaar-E-Man-O-Tu
Rooh Se Khali Huwe Jatay Hai Jimson K Haram
Waqt Be Rehm Hai,Hum Raqs-E-Barehna Hain Sabhi
Ab To Paband-E-Salasil Nahi Koi Phir Bhi
Dasht-E-Mishghaan Mai Bhatakta Huwa Taron Ka Hujoom
Safha-E-Lab Pe Sisiskti Huwi Awaz Ki Lo
Dekh To Kaisay Rehayee Ki Khabar Kerti Hai
Rozan-E-Waqt Se Aghaaz-E-Safer Kerti Hai
Be Khabar Rehna Kisi Baat Se Acha Hi Nahi
Tu Kabhi Waqt Ki Dehleez Pe Tehra Hi Nahi
Tu Ne Dekhay Hi Nahi Halqa-E-Amroz K Rang
Garmiye Wada-E-Ferda Se Pighaltay Huwe Log
Apnay Hi Khuwab Ki Tabeer Mai Jaltay Huwe Log
Bhook Aur Piyas Ki Mari Huwi Faslon Ki Terah
Barr-E-Azam Ki Lakeeron Se Ubhartay Huwe Log
Amn K Naam Per Barood Bhari Dunniya Mai
Khas-O-Khashak Ki Manind Bhikertay Huwe Log
Roz Jeetay Huwe Aur Roz Hi Mertay Huwe Log
Zindagi FILM Nahi Hai K Dikhaen Tujh Ko
Tu Ne Poocha Hai Magar Kaisay Bataein Tujh Ko
Koi Mehfooz Nahi Ahl-E-Tahafuz Se Yahan
Raat Bhari Hai Kahin Aur Kahin Din Bhari
Saari Dunniya Koi Medan Sa Lagti Hai Humein
Jis Mai Ik Maarka-E-Sood-O-Ziyan Jari Hai
Paon Rakhay Huwe Barood Per Sab Log Jahan
Apnay Hathon Mai Uthaye Huwe Perwana-E-Shab
Aasteenon Mai Chupaey Huwe Mehtaab Koi
Apni Gerdan Mai Liay Apnay Gareeban Ka Tauq
Neend Mai Chaltay Huwe Dekhtay Hai Khawab Koi
Aur Ye Sochtay Rehtay Hai K Deewaron Se
Shab K Aasaar Dhalay,Subh Ka Sooraj Ubhra
Door Ufaq Paar Paharon Pe Chamakti Huwi Berf
Naye Sooraj Ki Tamazat Se Pighal Jaey Gi
Aur Kisi Waqfa-E-Imakaan-E-Sehar Mai Ab K
Roshni Saaray Anndheron Ko Nigal Jaey Gi
Dekhiye Kaisay Pohanchti Hai Thikanay Pe Kahin
Door Ik Faakhta Urti Hai Nishanay Pe Kahin
Aa Ke Ye Manzir-E- Khoon Basta Dikhayen Tujh Ko
Tu Ne Poocha Hai Magar Kaisay Baataein Tujh Ko
Koi Gaahak Hi Nahi Johar-E-Aainda Ka
Chashm Kholay Huwe Baithi Hai Dukan-E-Girya
Aur Isi Manzar-E-Khoon Basta Ka Goshay Mai Kahin
Ser Pe Dalay Huwe Ik Lamha-E-Maujood Ki Dhool
Teray Usshaq Bohat Khaak Basar Phirtay Hain
Waqt Kab Khainch Ley Maqtal Mai Gawahi K Liay
Dast-E-Khali Mai Liay Kasa-E-Sir Phirtay Hain
Poochnay Walay Tujhey Kaisay Bataaein Akhir
Dukh Ibarat To Nahi Jo Tujhey Likh Ker Bhaijen
Dukh To Mehsoos Huwa Kerta Hai
Chahay Tera Ho Ya Mera Dukh Ho
Admi Wo Hai Jisay Jeetay Jee
Sirf Apna Nahi Sab Ka Dukh Ho
Chak Ho Jaey Jo Ik Baar Hawas K Hathon
Jama-E-Ishq Doobara To Nahi Silta Hai
Asman Meri Zameenon Per Jhuka Hai Lakin
Tera Aur Mera Sitara Hi Nahi Milta Hai

Usay Poojne Ki Hai Aarzu

Usay Poojne Ki Hai Aarzu
Jise Chahna B Muhaal Hai
Wo Meri Duaon Mein Bas Gya
Jise Mangna B Muhaal Hai
Teri Baat Krti Hai Khamoshi
Teri Raah Takti Hai Raah B
Meri Zindgi Ka Tu Khwab Hai
Jise Bhoolna B Muhaal Hai
Kbi Weham, Kbi Waswasy
Kbi Khwab Aur Kbhi Ratjage
Meri Neend Hony Lagi Saza
Mera Jagna B Muhaal Hai.

*”KAHIN TUM”*

*”KAHIN TUM”*
*”BHI NAZAR AAO”*
Subha se Sham tak Hum ko,
Bohat se Log milte hain,
Koi Andaz Tum jaisa,
Koi Libas Tum jaisa,
Nigahon se Guzrate hain
Mgr,
Tum hi nahi milte
Ye wohi Raaste hain,
Par
In’hi Raaston mein Jane Jaan
Bohat Be-chain Phirte hain,
Bare Be-taab rehte hain,
Dua ko Hath uthte hain,
Dua mein ye b kehte hain,
Lagi hai Bheer Logon ki,
Mgr
is Bheer mein
Jana,
Kabi Tum b Nazar Aao,
*”KAHIN TUM”*
*”BHI NAZAR AAO”*

Zahanaton Ko Kahan Karb Se Farar Mila

Zahanaton Ko Kahan Karb Se Farar Mila
Jise Nigaah Milii Usako Intazaar Mila

Vo Koii Raah Kaa Patthar Ho Yaa Hasiin Manzar
Jahan Se Raastaa Thaharaa Vahiin Mazaar Mila

Koii Pukaar Rahaa Thaa Khulii Fizaaon Se
Nazar Uthaaii To Chaaro Taraf Hisaar Milaa

Har Ek Saans Na Jaane Thii Justajuu Kis Kii
Har Ek Dayaar Musaafir Ko Bedayaar Milaa

Ye Shahar Hai Ki Numaish Lagii Huii Hai Koii
Jo Aadamii Bhii Milaa Banake Ishtahar Milaa

Tere Firak Ke Lamhe Shumar Kerte Howe

Tere Firak Ke Lamhe Shumar Kerte Howe
Bekhar Gaye Tera Intazar Kerte Howe

To Main Bhi Khush Hoon Koi Us Say Jake Keh Day
Agar Woh Khush Hai Mujhe Bekarar Kerte Howe

Main Muskarata Howa Ainay Main Ubher Aonga
Woh Roo Paregi Achanak Singhar Kerte Howe

Tumhe Khaber Hi Nahi Koi Toot Gaya
Mohabbaton Ko Bohat Paidar Kerte Howe

Woh Keh Rahi Thi Samander Nahi Hain Ankhain Hain
Main Un Main Doob Gaya Aitebar Kerte Howe

Mujhe Khaber Thi Ke Abh Loot Ker Na Aooga
Tujh Ko Yaad Kiya Der Paar Kerte Howe

Doob Rahi Hain Saansain Magar Ye Gumaan Baaqi Hai

Doob Rahi Hain Saansain Magar Ye Gumaan Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai

Muddat Hoee Ek Shakhs Ko Bichrhey Lekin
Aaj Tak Merey Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hai

Wo Saayibaan Chin Gaya To Koi Gham Nahee
Abhi To Merey Sir Pe Ye Aasmaan Baaqi Hai

Kashti Zara Kinaarey Ke Qareeb He Rakhna
Biphri Hoee Lehron Mein Abhi Toofaan Baaqi Hai

Tumharey He Ashkon Ne Lab Si Diye Warna
Abhi To Merey Dukhoon Ki Bohut Daastan Baaqi Hai

Ghamon Se Keh Do Ke Abhi Na Rakht-e-Safar Baandhain
Ke Abhi To Merey Jism Mein Kuch Aur Jaan Baaqi Hai

Ja Chukey Hain Sab Log Khamosh Parhi Hai Basti
Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-e-Makaan Baaqi Hai

Tu Paas Bhi Ho Tu Dil Beqaraar Apna Hai

Tu Paas Bhi Ho Tu Dil Beqaraar Apna Hai
K Ham Ko Tera Nahi Intezar Aapna Hai

Woh Dur Ho Tu Baja Terk-E-Dosti Ka Khiyal
Woh Saamnay Ho Tu Kab Ikhtiyaar Apna Hai

Zamanay Bher K Dukhon Ko Laga Liya Dil Se
Is Aasray Pe K Aik Ghamgusaar Apna Hai

Milay Koi Bhi Tera Ziker Chair Daitay Hain
K Jaisay Saara Jahan Raazdaar Apna Hai