Showing posts with label Noshi gilani. Show all posts
Showing posts with label Noshi gilani. Show all posts

Ye naam mumkin nahin rahega, muqaam mumkin nahin rahega,

Ye naam mumkin nahin rahega, muqaam mumkin nahin rahega,
ghuroor lehje mein aa gaya toh kalaam mumkin nahin rahega.

Ye barf mausam jo shehar-e jaan mein kuchh aur lamhe thehar gaya toh,
lahoo ka dil ki kisi gali mein muqaam mumkin nahin rahega.

Tum apni saanson se meri saansein alag toh karne lage ho lekin,
jo kaam aasaan samajh rahe ho woh kaam mumkin nahin rahega.

Wafa ka kaaghaz toh bheeg jaayega badgumaani ki baarishon mein,
khaton ki baaten toh khwaab hongi payaam mumkin nahin rahega.

Main jaanti hun mujhe yaqeen hai agar kabhi tu mujhe bhula de,
toh teri aanhkon mein roshni ka qayaam mumkin nahin rahega.

Ye hum mohabbat mein la’taalluq se ho rahe hain toh dekh lena,
duaayen toh khair kaun dega salaam mumkin nahin rahega . !!

Ishq karo toh ye bhi socho arz-e sawaal se pehle,

Ishq karo toh ye bhi socho arz-e sawaal se pehle,
hijr ki poori raat aati hai subah-e wisaal se pehle.

Dil ka kya hai dil ne kitne manzar dekhe lekin,
aankhein paagal ho jaati hain ek khyaal se pehle.

Kis ne reit udaati shab mein aankhein khol ke rakhin,
koi ek misaal toh do na uss ki misaal se pehle.

Kaar-e mohabbat ek safar hai iss mein aa jaata hai,
ek zawaal aasaar sa raasta baab-e kamaal se pehle.

Ishq mein resham jaise waade aur khwaabon ka raasta,
jitna mumkin ho tayy kar lein gard-e malaal se pehle .!!

Woh baat baat mein itna badalta jaata hai,

Woh baat baat mein itna badalta jaata hai,
ki jis tarah koi lehja badalta jaata hai.

Ye aarzoo thi ki hum uss ke saath saath chalen,
magar woh shakhs toh raasta badalta jaata hai.

Ruttein wisaal ki ab khwaab hone waali hain,
ki uss ki baat ka lehja badalta jaata hai.

Reha jo dhoop mein sar par mere wahi aanchal,
hawa chali hai toh kitna badalta jaata hai.

Woh baat kar jise duniya bhi mo’tabar samjhe,
tujhe khabar hai zamaana badalta jaata hai. !!

Dil tha ki khush khyaal tujhe dekh kar hua,

Dil tha ki khush khyaal tujhe dekh kar hua,
ye shehar be-misaal tujhe dekh kar hua.

Apne khilaaf shehar ke andhe huzoom mein,
dil ko bahut malaal tujhe dekh kar hua.

Tool-e shab-e firaaq teri khair ho ki dil,
amaada-e visaal tujhe dekh kar hua.

Ye hum hu jaante hain judaai ke mod par,
iss dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua.

Aayi na thi kabhi mere lafzon mein roshani,
aur mujh se ye kamaal tujhe dekh kar hua.

Bichhde toh jaise zehan muattal sa ho gaya,
shehar-e sukhan bahaal tujhe dekh kar hua.

Phir log aa gaye mera maazi kuredne,
phir mujh se ek sawaal tujhe dekh kar hua. !!

Wo Beirada Hi Sahi, Titlioon Mein Rehta Hai

Wo Beirada Hi Sahi, Titlioon Mein Rehta Hai
Ke Mera Dil To Meri Muthioon Mein Rehta Hai

Mein Apne Hath Se Dil Ka Ghala Daba Doon Gi
Mere Khilaaf Yahi Shazishoon Mein Rehta Hai

Bacha Ke Khud Ko Ghuzrna Mahaal Lagta Hai
Tamam Shehar Mere Rastoon Mein Rehta Hai

Meri Kitaab-E-Mohabbat Mein Uska Ziker Nahi
Wo Khush Khayal Ghalat Fehmioon Mein Rehta Hai

Muujhko Ruswa Sar E Baazar Na Karwaya Karay

Muujhko Ruswa Sar E Baazar Na Karwaya Karay
Kash Aansoo Meri Aankho'n Mai Hi Reh Jaya Karay

Ai Hawa Mainay To Bas Uska Pata Puchha Tha
Ab Kahani To Na Harr Baat Ki Ban Jaya Karay

Bas Bohot Daikh Liye Khwaab Suhanay Din K
Ab Wo Bato'n Ki Rifaqat Se Na Behlaya Karay

Ikk Museebat To Nahi Tooti So Ab Iss Dil Se
Jiss Musibat Ne Guzarna Hai Guzar Jaya Karay

Jiss K Khaabo'n Ko Mai Aankho'n Mai Saja Kar Rakkhoo'n
Usski Khushboo Kabhi Mujhko Bhi To Mehkaya Karay

Kuch Bhi Kar Guzarny Mein Dair Kitni Lagti Hy?

Kuch Bhi Kar Guzarny Mein Dair Kitni Lagti Hy?
Barf Ky Pighalny Mein Dair Kitni Lagti Hy?

Uss Ny Hans Kar Dekha To Muskura Diye Hum Bhi
Zaat Sy Nikalny Mein Dair Kitni Lagti Hy?

Hijar Ki Tamazat Sy Wasl Ky Alaao Tak
Larkiyon Ky Jalny Mein Dair Kitni Lagti Hy?

Baat Jaisi Be-Ma'ani Baat Aur Kia Ho Gi?
Baat Ky Mukarny Mein Dair Kitni Lagti Hy?

Za'am Kitna Karty Ho Ik Charagh Per Apny
Aur Hawa Ky Chalny Mein Dair Kitni Lagti Hy?

Jab Yaqeen Ki Banhon Per Shak Ky Paon Parr Jaen
Choriyan Bikharny Mein Dair Kitni Lagti Hy?

Humein yeh rooz-o-shub ka silsil acha nahi lugta


Humein yeh rooz-o-shub ka silsil acha nahi lugta
Kisi se baat kerna ho’ koyi bhi zakhm bhurna ho

Kabhi beyhaal hoker koey jana se guzarna ho
Tumhari yaad mein rehna ho keh khud se mukurna ho

Kisi harf-e-tasali se yeh dil ka zakhm bhurna ho
Mohababt ki dowa honton pe rukh ke muskurana ho

Darakhtun pe tumahra naam likh ker bhool jana ho
Kisi beykhawaab shub mein chashm-e-weraan ko sulana ho

Tumhari kushboowon se kheema-e-jaaa’n ko sajana ho
Ya phir shehur-e-sakoot-e-shaam-e-ghum mein geet gana ho

Yunhi beywajha keefiyut mein ashkon ko bahana ho
Kisi jazbey ka bhi chehra humein sacha nahi lugta

KEH UB TAO ROOZ-O-SHUB KA SILSILA ACHA NAHI LUGTA