Skip to main content

Is Haal Mein Kaise Zinda Hun Haira'n Hun Mein

Is Haal Mein Kaise Zinda Hun Haira'n Hun Mein
Kabhi To Hans Kar Mujh Se Bolo Insa'n Hun Mein

Parat Dar Parat Nahin Hun Gehra Pyaaz Ki Manind
Hole Hole Girhein Kholo Aasa'n Hun Mein

Har Soo Mere Naam Ka Charcha Kesa Ye Ilzaam laga Hai
Us Lab par Bhi Ye Machla Hoga Shada'n Hun Mein

Khud Uthun Ga Mehfil Se Teri Jatan Na Kar Halkaan Na Ho
G Bhar Ke Dekh Le Shaam e Gham Mehmaa'n Hun Mein

Jis Naam Se Chahe Dunya Pukare Apne Apne Zarf Hai
Sairab Nahin Tishna Keh Lo Takmeel Nahin Arma'n hun Mein

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng