Showing posts with label Ali Hassan Sherazi. Show all posts
Showing posts with label Ali Hassan Sherazi. Show all posts

Manzil qareeb aye koi rasta milay


Manzil qareeb aye koi rasta milay
Dashte jono main sath agar ap ka milay

Hum ne to kher aap ko manga hai aap se
Logo jo milay ho bay namay Khuda milay

Is baar wasal e yaar bhi marnay k baad ho
Is baar hum ko jurm se pahlay saza milay

Kese smait patay wafao k boj ko
Sad shukar hum ko dost sabhi bay wafa milay

Khamoshion ki zad main hai alham ki urhan
Wo lab hilain to mere hunar ko sada milay

Wo hussan e bay misa agar sath ho Hassan
Phir chahay umer bhar na koi dosra milay

Sakote marg k saye bich k lehje main


Sakote marg k saye bich k lehje main
Phir is ne hum ko pukara Khuda k lehje main

Main tuj ko mang raha hun bari aqeedat se
Magar wo dard nahi hai doya k lehje main

Mere shaor k awaz phir se jaag uthi
Tumhare naam ki kirnein saja k lehje main

Kahan se sekh liye ahal e dard k andaz
Sadayen day rahay ho qaza k lehje main

Ghamo ki bheer main hum kho gaye hain our hassan
Koi bolata nahi dilruba k lehje main

Jinay k hunar kaha se laon


Jinay k hunar kaha se laon
Wo kocha wo ghar kaha se laon

Jo teri nazar ko jhel paye
Main aysi nazar kaha se laon

Chehro k hajoom se chura ker
Main aik bashar kaha se laon

Sajday to talash ker laytay hain
Lakin tera ddar kaha se laon

Kuch lafz hain mere pass lakin
Lahjay main asar kaha se alon

Jo aap ki qurbato main guzray
Wo shaam o sehar kaha se laon

Ik roz mujay kaha ye dil ne
Main apni khabar kaha se laon

Wo sahil keray her ik manzil
Wo azm e safar kaha se laon

Sed shukar k Hassan nind a gai
Ik khawab magar kaha se laon

Shawor e zaat se jab hamkalam hotay hain


Shawor e zaat se jab hamkalam hotay hain
Fana k boj ko hum anson se dhondtay hain

Khushi phol bus ik pal main sokh jayen gay
Chalo hayat main kuch talkhiyan parotay hain

Hamari nind hamesha ki nind hoti hai
Hum ahal e dard ko sirf aik baar sotay hain

Zara c dair main malk e adam k sanatay
Rdaye waqat k saray nishan dhotay hain

Wafa ki rah main chalta nahi hai sath koi
K ronay walay hamesha akelay rotay hain

Wo ja choka hai to kaya gham k sub ko jana hai
Hassan hum is liye daman ko kiyn bighotay hain

Talkhion ka zehar dil main bhar gaye bewafa sorj ki harjai kirn


Talkhion ka zehar dil main bhar gaye bewafa sorj ki harjai kirn
Mere angan main andhera ker gai bewafa sorj ki harjai kirn

Jinay marnay ka irad yaad tha us ko to her aik wada yaad tha
Han magar ruswaion se dar gai bewafa sorj ki harjai kirn

Khud se akasar pochta rahta hun main her ghari ye sochta rahta hun
Muj ko cho ker janay kis k ghar gai bay bewafa sorj ki harjai kirn

Dar badr ho ker jidar bhi jayen zindgi se hum kaha mil payen gay
Ay hassan apnay liye to mar gai  bay bewafa sorj ki harjai kirn

Talohe subha ka manzar kabi to aye ga


Talohe subha ka manzar kabi to aye ga
Wo shakas roshni lay ker kabi to aye ga

Hum is umeed pay maho safar hain mudat se
K rastay main ter ghar kabi to aye ga

Khumare bandgi urhay hoye koi jazba
Tumhari roh ko cho ker kabi to aye ga

Kabhi to sekhay ga wo khud supardgi ka hunar
Wo apni zaat se bahir kabhi to aye ga

Abhi to us se hazaro sawal kernain hain
Jo ja choka palat ker kabhi to aye ga

Main moj moj use roh main utarun ag
Wo khusbuo ka samandar kabhi to aye ga

Hamara naam bhi shamil tere jawab main hai
Sawal e qisa mahshar kabhi to aye ga

Hassan bikhrnay ko bay taab hai ye shisha dil
Kisi ki yaad ka pathar kabhi to aye ga

Ye kab kaha hai k marne ki bat yar na kar


Ye kab kaha hai k marne ki bat yar na kar
Magar ye tazkara hijar bar bar na kar

Wo ik karm se sabhi kuch tujay bhula day ga
Tu is liye sitam is k shumar na kar

Nazar ko rok kisi arzo k sahil par
Ab is k hussan k dariya ko ayse paar na kar

Koi umeed na rakh ab kisi k anay ki
Jo waqat beet gaya us ka intzar na kar

Sokun bohat hai yahan doriyo k sehra main
Qareen a k hamain phir se be qarar na kar

Smaj ly is ko bhi hiqmat koi Khuda ki Hassan
Wo ja chuka hai to yun khud ko sogawr na kar