Hans Hans Ke Zindagi Ki Dua De Gaya Mujhe……….
Wo Shaks Bhee Ajeeb Saza De Gaya Mujhe…………
Sookhay Howay SHajar Ki Barhana Si SHaakh Par….
Do PanchioN ka Raqs Maza De Gaya Mujhe…………
Dam Ghut Raha Tha Zehen Ki Jalti FizaaoN Mein..
Jhonka Tere Nafs Ka Hawa De Gaya Mujhe………..
Lamhon Ke Is Hajoom Mein Maqtal Ke Morr Par…
Mein Sochta Hun Kon Sada De Gaya Mujhe ……..
Mein Jaagtay DinoN Mein CHupaata Kahan Badan..
Wo BHeegti ShaboN Ki Ridaa De Gaya Mujhe……….
Ik Barg-e-Zard Khusk Si Tehni Se Toot Kar…………..
Awaara ManziloN Ka Pata De Gaya Mujhe………..
Mere Badan Pe Kitna Puraana Libaas Tha………….
Tera Mizaaj Rang Naya De Gaya Mujhe…………….!