Skip to main content

Ye na socha tha kebhi tu befawa hoga,

Ye na socha tha kebhi tu befawa hoga,

JO dil ma rehta tha kebhi mujh say juda hoga,

Jo kebhi subh o sham mujh ko manata tha,

Ye na socha tha k woh mujh say khafa hoga,

Ek wekt tha k teri nasheen lehjay say men ko qerar ata tha,

Ye na shocha tha k woh aj merey ronay ki waja hoga,



Aj teri yad main buht roya hu main,

Log semjhain gay k sawan bersa hoga,

Tum aj ghairon ki mehfil ma chiraghan kertay ho,

Ye b daikhna k her diya merey khoon e jigr say jala hoga,

Yun b mumkin he nai k koi aur mujh say berh ker chahay tujhe,

Shaid tuhje ishq ka mani hi na pata hoga,



Ma jo chahoon to tujhe phir say hasil kerlu,

Meger istarah say mera derd bayweja hoga,

Tujhe beri mushkil say paya tha ma nay,

Ab tujhe mujh ko hasil kerna hoga,

Log kehtay thay ishq na kerna "Gulfam"..

Ye na socha tha k ishq aesi saza hoga....

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.