Skip to main content

Mere DIl Pe Haath Rakho




Mere DIl Pe Haath Rakho
Agar Dharkanein Gawahi Dein
Ke Wo Tumhare Lye Hein
To Saath Chalna

Mere Shane Pe Sir Rakho
Agar Nendein Gawahi Dein
Ke Sukonn Bohat Hai
To Saath Chalna

Meri Aankhon Mein Tum Jhanko
Agar Samadar Gawahi Dein
Ke Gehraee Bohat Hai
To Saath Chalna

Mujhe Shareek e Safar Kar Lo
Agar Rahein Gawahi Dein
Ke Manzil Yehi Hai
To Saath Chalna

Apne Dard Mujhe De Do
Agar Har Zakhm Gawahi De
Ke Marham Yehin Hai
To Saath Chalna

Apna Har Raaz Aya'n Kar Do
Agar Amanat Gawahi De
Ke Wafa Yehin Hai
To Saath Chalna

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng