Skip to main content

Lazzat e Ruswaee Se Dil Shaad Hua Hai

Lazzat e Ruswaee Se Dil Shaad Hua Hai
Khana e Dil Sunsaan Tha Aabaad Hua Hai

Ik Zarb e Musalsal Ka Nishana Hai Zindagi
Har Roz Ik Sitam Naya Ijaad Hua Hai

Manind e Marham Tha Jo Har Zakhm Ki khatir
Namak Pashi Ke Maidan mein Bhi Taaq Hua Hai

Wo Aaina Jo Deta Tha Dars e Halawat
Toota To Por Por Ka Aazaar Hua Hai

Kaise The Aur Kitne Wo The Sang Na Poocho
Jo Dildaar Tha Tashna Wohi Sang Baar Hua Hai

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng