Skip to main content

Tum Chand Asman k or Main Zameen ka Patthar

Tum Chand Asman k or Main Zameen ka Patthar
Kabhi bhi na Mile Shayad humare Muqadar
Magar Dil main Hamesha Tumhari Chahat Rahe gi
Haan Mujhe Hamesha Tum se Mohabbat Rahe gi

Tum Hunsti ho to Lab mere Muskurate hain
Tumhari Ankhoon main bhi Amsoo mere aate hain
Mere Zindagi main tumhare Jazboon ki Milawat Rahe gi
Haan Mujhe Hamesha Tum se Mohabbat Rahe gi

Tum ko Itna Chaha kissi or Ko Cahane ki fursat na mili
Itni Mohabbat k Bawajood Teri Qurbat na Mili
Mere Sanatoon main bhi Tumhari Ahat Rahe gi
Haan Mujhe Hamesha Tum se Mohabbat Rahe gi

Qismat Ki Berehem Sooli per Jhool jaon ga
Agar mujh se ho saka to Tujhe bhool jaon ga
To Phir mere saath Umer bhar yeh Nadamat Rahe gi
K Haan Mujhe Hamesha Tum se Mohabaat rahe gi
 

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng