Showing posts with label Ghalib Ayaz. Show all posts
Showing posts with label Ghalib Ayaz. Show all posts

Bahte darya men utar jana tha.

Bahte darya men utar jana tha. 
Khak the aur bikhar jana tha. 

Us se bichhre to zamana beeta 
Ab talak zakhm ko bhar jana tha. 

Man leta hun tujhe hi manzil!! 
Ab kahaan yaad kidhar jana tha. 

Hausle ham ne bachakar rakkhe 
Jab hamen had se guzar jana tha. 

Jaan! is hijr pe rona kaisa!!! 
Ek din yun bhi to mar jana tha.

Lag raha tha wo kahin dekha hua tha

Lag raha tha wo kahin dekha hua tha
Kya mujhe pahchaan ka dhoka hua tha

Az sar -e- nau zindagi tarteeb pati
Us se pahle dil mera murdaa hua tha

Jaan lewaa  thi  hamari  pahredaari
Muhtasib kuchh roz ka jaagaa hua tha

Aaj – un peroN ke saaye yaad aaye!!
Jin ko eendhan k liye kaataa hua tha

Aaj kaise tere lab pe geet aaye??
Kal to chhup k roraha tha kya hua tha

Paas aayi thi magar jald hi wo kho bhi gayi

Paas aayi thi magar jald hi wo kho bhi gayi
Zindagi tujh se mulaaqaat thi jo ho bhi gayi

Ab  talak  aas teri dil men liye   phirtaa   hoon
Khush gumaani ko mere teri hansi ro bhi gayi

Ain mumkin hai ke aelaan e sahat yaabi ho
Dard ki tees jo uththi thi abhi,  so bhi  gayi

Hum to maasoom the bekar dara karte the
Zindagi tujh se juda rahke basar ho bhi gayi

Phir wohi aas ta’aaqub men lagi  hai  mere
Biti baaton ke sabhi daagh mui dho bhi gayi

Saahil pe akeli shaam hun main

Saahil pe akeli shaam hun main
Aur aaj tere naam  hun  main !!

Ab shahr me kyun na ho chiraghan
Jab   aaj  zer  e  daam  hun  main

Bikhraao mujh men hai numayan
Is mulk ka intezaam hun main

Ab  kaun  kare  mujhe  mukammal
Ek naqsh e naa  tamaam hun main

Mujh ko sazaa e wasl mat do !!
Seemab sifat nezaam hun main

Husn ke zer e baar ho ke na ho!!

Husn ke zer e baar ho ke na ho!!
Ab mere dil me pyar ho ke na ho 

Marg e amboh dekh aate hain!!!!
Aankh phir ashkbaar ho ke na ho 

Karb e paiham se hogaya pat_thar
Ab ye seenaa figaar ho ke na ho 

Phir yahi rut ho ain mumkin hai
Par tera intezaar ho ke na ho 

Shakh e zatoon ke amiN hum hain
Shahr me ishtehaar ho ke na ho 

Daagh e dil hum dikhaye jate hain
Us pe hai _ Sharmsaar ho ke na ho 

She’r mere sanbhal kar rakhna!
Ab ghazal mushkbar ho ke na ho

Gham hai ya izteraar sa kuch hai

Gham hai ya izteraar sa kuch hai
Yaa mujhe intezaar sa kuchh hai

Be sabab aur kaun bhatke ga??
Dil hai,  aur be qaraar sa kuch hai

Jab bhi chaahuN udaas hojauN!
Khud pe ab ikhteyaar sa kuch hai

Zindagi itni badnumaa to nahi!!
Aayeene pe ghubaar sa kuch hai

Ab gumaN ho raha hai manzil ka
Saamne reg zaar sa kuch hai

Hauslon ko abhi pata na chale
Raste me hisaar sa kuch hai !

Mere andar ki rut khezaN jaisii
Wo sarapa bahaar sa kuchh hai

ChaNd meN jo pariyaaN rahti haiN

ChaNd meN jo pariyaaN rahti haiN
Hum  ko  milte dekh chuki   haiN

In aankhoN me kyuN rahti ho ??
Jo har   dam  roti  rahti    haiN

Laakh  nikaaluN  dil  se  lekin
Khaab  nigoRe sab ziddi  haiN

Us malakooti  husn ke,  logo
Jitne Dhab haiN, aafaaqui haiN

Aaj  jise  sun  kar tum  roye
Wo baateN mujh per beeti haiN

Khush numa lafz ki sawari bas

Khush numa lafz ki sawari bas
Shahr walon ko ek madari bas
Ishq me aur kya hua hum se
Dhang se ki hai ashk bari bas
Ek nauras kali ka gul banna
Zindagi!! teri payedaari bas
Fasl e gul kaynat ki, mujh ko
Teri chahat ki aik kiyari bas
Manzilen ghair ke liye makhsus
Apne hisse me khabkari bas
Ek bejaan muskurahat hai !!!!
Oonche logon ki inkesaari bas
Aur kiyaa seekhte zamaane se
Hogaye hum bhi kaar o baari bas

Jis se milna tha mil nahi paayaa !!

Jis se milna tha mil nahi paayaa !!
Chaak daaman ka sil nahi paayaa

Kaisi barsaat hogayi abke !!!
Ek bhi phool khil nahi paayaa

Raaz afshaa karun, are tauba
Itna kam zarf dil nahi paayaa

Chaand be daagh hai ! daleel is ki
Us ke ‘aariz pe til nahi paayaa

Saath khushiyon ka sirf pal do pal
Dard bhi mustaqil nahi paayaa

Log hairaan horahe the bahut
Jab mujhe muzmahil nahi paayaa

Yeh raat koi chal chal gayi hai

Yeh raat koi chal chal gayi hai
Jo nind bachi thi, jal gayi hai

Aankhon ka bahao hai musalsal
Chhoti si nadee ubal gayi hai !!

Mal’oon khezaan ki shar pasandi
Phoolon ka badan masal gayi hai

Jis men teri aas jaagti thi !!!!
Wo shaam rupahli dhal gayi hai

Tu jab se bani hai dil ki zeenat
Haalat hi meri badal gayi hai

Ash’aar tapak rahe hain paiham
Ek shaakh junun ki phal gayi hai

Jane kyuN pairahan pe dhool na thi

Jane kyuN pairahan pe dhool na thi
Yeh musafat to be husool na thi

Jazba E dil ko kab pata tha use
Itni waraftagi qubool na thi

Meri chahat meN sard waQfe the
Bewafaayi teri fazool na thi

Dukh hua, jab wo meri haalat par
Dil giraftaa na thi, malool na thi

Maut dhoke se le gayi jaaN ko
Zindagi bhi to ba usool na thi

Us ne haNs kar hameN pukaaraa kya

Us ne haNs kar hameN pukaaraa kya
Ho gayaa phir se woh hamaaraa kya?

Jashn sa shahr e jaaN me kaisa hai
Aa raha hai wo maah paaraa kya?

Aarzoo, khaab, aas, mahroomii !!
Hausla phir bhi hum ne haaraa kya

Meri aankheN udaas rahti haiN
Ab na aaye ga wo dobaaraa kya?

AsmaaN par nazar nahi aataa
Khogaya hai mera sitaaraa kya

Dard  ki  saltanat pe baithaa hai
Koi  farma-N-rawaa dobaaraa kya

Ae dil e beqarar -  rahne de!!!
Shahr e taskeen me hamaaraa kya

Chaar aansu bahake sab chup hain
RayegaaN qatl hai hamaaraa kya