Showing posts with label khalil ullah farooqi. Show all posts
Showing posts with label khalil ullah farooqi. Show all posts

Sham-e-ghum muskuranay lagi


Tumhe Mujhse Muhabbat Hai


phool chuntay hoye khawab bunty hoye


Muhabbat k charaghon ko hawa kesay bujhaye gi


Bazm-e-tarb mein essay bhi kuch loog mill gaye


Magar abhi tak koi kami hai


Sabhi kuch chor aaya hoon


Meri khushi pe woh hansta tha,ghum pe rota tha


Tark e talluq khel nahi hai pehlay pehal ghabraey bohat


woh kaun mahjabeen thi



Bari pur sakoon thi yeh zindagi,niya dard kis nay jaga diya

Bari pur sakoon thi yeh zindagi,niya dard kis nay jaga diya
kisi be-niyaz nay meri wahshatoon ko bhara diya,

meray kam sukhan ka yeh hukum tha,ke kalam is say main kam karoon
mere hont aisay silay ke phir meri chup nay usay rola diya,

mujhe apne ishq pe naaz tha,magar iske qwol ka pas tha
mere chara saaz bhi roh paday woh kamaal-e-zabt dekha diya 

usay sher sunanay ka shuaq tha,mujhe arz-e-haal ka zauq tha
isi zauq-o-shauq main ek din, usay haal dil ka suna diya,

wo nigha kaisi nigha thi,yeh guraiz kaisa guriaz hai
mujhe dekh kar bhi na dekha,is ada nay haal suna diya,

kisi naam say kisi yaad say,mere dil ke bazam saji rahay
kabhi yeh charagh jala diya, kabhi woo charagh bhuja diya.