chehre per abhi apne yeh Hijaab rehne do
Duniya main abhi Roshni e Aftaab rehne do
Maat Rakho mere Zakham per Marham abhi
is per abhi to narsayi ka azab rehne do
bohat se such bht taqleef dene lagte hain
ZIndagi k chehre per jhoot ka naqaab rehne do
Sukoon ki Talash main Bhatakne ki Addat hai
abhi Kuch dino tak mujh main yeh iztarab rehne do
Pichle dino ki Yaad hi to meri zindagi ka Asssasa hai
Mere Pass kuch dair mere Mazi ki Kitaab Rehne do
Zindagi ki Bhag dorr ne cheen liya mujhse bachpan
Bus kuch dino k liye Mera Ahed e Shabab rehne do
Waqkt Rukhsat us ne aik Aakhri Nishani jo di thi
Mere Sarhane per para yeh SOkha Gulab rehne do