Mout se Pehle Lagta hai Yeh Azmaiyisheen Kam na hon gi
Hum dono k Darmiyaan Faslon ki Pemaiyisheen kam na hon gi
Lafz hoe Khutum mere or Khayalat munjamid ho gaye hain
Magar Janta hoon Ghazal k liye Farmaiysheen kam na hon gi
Who zameen hai yeh Jahan Bhook or Aflas ka Raj hai ab bhi
Magar Yahan k Raeesoon ki Asaiyisheen kam na hon gi
Apna Jazbaat ko Beach don main who Insaan nahi hoon
Warna Is bazar mai to Jazbaat ki Numaiyisheen kam na hon gi
Who Shakhs Kahan hai to Kare Saaf Gandagi is Sheher ki
Warna to in Rastoon ki Alaiyisheen Kam na hon gi