Skip to main content

Ankheen Jab Num hoon to Log Dikhayi nahi dete

Ankheen Jab Num hoon to Log Dikhayi nahi dete
Ansu Girne ki Awaz nahi hoti ye Sunayi nahi dete

Aagahyi mohabbat ki jin ko di jati hai na A Dil
Un k Dilon per to yun Dagh e Judaai nahi dete

Zakhom ko Naseehat nahi Marham ki zaroorat hai
Jin k DIl Tot jayen unko Sabaq e Parsayi nahi dete

Khush Guman keh lo ya Na sumjh jaan lo hum ko
Hum Bhool jane walon ko Tana e Bewafai nahi dete

Ranjhe ka Qasoor nahi tha k Qismat aisi mili thi us ko
Jab Naseeb main bhatkna ho to Raste sumjayi nahi dete

Fursat mile to Sath beth kar Sab Sawalon k Jawab mangna
Pal do Pal ka sath dene walon ko Hum Safayi nahi dete

Mutabar nahi Rehne diya Tumhare sheher k Logoon ne
Humare Haq main Humare Dost bhi Gawahi nahi dete

Ibtida e Ishq main hi Chor jana tha itna DUkh na hota
Shaam ho jane k Baad to Parindon ko Rihaei nahi dete

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng