Skip to main content

Har Roz Ik Naya Roop Dikhati Hai Zindagi

Har Roz Ik Naya Roop Dikhati Hai Zindagi
Mujh Ko Meri Zaat Se Milwati Hai Zindagi

Thakan Se Choor Nidhal Betha Hun Jab Kabhi
Dil Mein Ik Taaza Khwab Jagaati Hai Zindagi

Nisaab Bhi Mumtahin Bhi Ustaad bhi Hai Khud
Kuch Aisa Hi Kamra E Imtihan Hai Zindagi

Kal Thi, Aaj Hai, Jaane Kal Kahan Hogi
Kitaab e Zaat Ke Har Baab Ka Unwan hai Zindagi

Dekho To Ranga Rang Shandaar o Ba Kamaal
Socho To Dewane Ka Ik Khwab Hai Zindagi

Hoti Hai Tuloo Waqt e Sahar Aab o Taab Se
Ik Lambe Safar Ka Nuqta e Aaghaz Hai Zindagi

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.