Skip to main content

Aag k shehr mein tinke ki haqiqat kya thi

Aag k shehr mein tinke ki haqiqat kya thi
Dasht par phool ka saya tha Mohabat kya thi.

Zakhm thy dard tha tanhai thi Veerani thi
Kya bataon ke tere ishq mein rahat kya thi.

Tujko chaha hi nahi teri Ibadt ki hai..
Ek pathar ko magar us ki zarurat kya thi.

Aik muddat huwi Izhar-e-Mohabat kar ke
Aaj tak soch rahi hun k himaqat kya thi.

Kya bataon k yahan pooch rahe hain sab log
Wo jo guzri hai mere Dil pe Qayamt kya thi.

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng