Showing posts with label Hussani Shayari. Show all posts
Showing posts with label Hussani Shayari. Show all posts

A Tribute to Hazrat Imam Hussain

Oh !  the son of Prophet, the saviour of  men,
The sultry noon of  the horrid summer,
When long back this day, your pious blood,
Fell to the soil in a ruthless way,
Haunts me like a frightening dream.


The arrow, so cruel that pierced the throat,
Of a thirsty babe who could not shriek,
The devilish hands  that severed the head,
From your body, the holiest then,
Make me tearful  night and day.


One could foresee through your pains,
We would learn a moral so high,
In chain would spring the countless heads,
To follow your spirit  in the righteous cause,
Alas! Craven we are, could not do.
We lament your sorrow and  cry so hoarse,
You might think, a creed has come,
To hold your banner in the benighted world,
To trim the evils as you did,
Alas! We are a smirch on your name.


Our talks are bold, our hearts are weak,
Our tongues are sharp, our minds are meek,
Our hands and legs are shivery all,
Make us  man and give us a call,
Our hopes are shimmering in your grave.


Pangs of conscience ask me oft,
Why the flame  of virtue is  soft?
Why the sun of evil has its reign,?
Why our blood is cold when vice is hot,?
Are we on the brink of death,?


Summon the courage ,you all the men !
Tread on the path of martyrs, the great,
Else, the Last Day will see your awful fate,
Your abode will be the dreaded Hell,
With your bones and flesh  as its food.
" Mujy Hussain as k Rony sy Takleef Hoti Hy "
Rasool E Khuda sawws!!
Nuqush e Azmat pg 324

Mery Hussain

●● Mery Hussain as Ka Jo Bi Ghulam Ho Jye ●●
●● Wo Hurr Ki Tarha Sy Aali Makaam Ho Jye ●●

Hussain Kabay Say Jatay Hain Karbala K Liyay

Hussain Kabay Say Jatay Hain Karbala K Liyay
Khuda K Ghar Say Hain Jaatay MagaR Khuda K Liyay
 

Sajday Tu Sab Nay Kiye Tera Naya Andaaz Hy

Sajday Tu Sab Nay Kiye Tera Naya Andaaz Hy
Tu Nay Woh Sajda Kia Jis Per Khuda Ko Naaz Hy

Din Roye Gi Raat Roye Gi

Din Roye Gi Raat Roye Gi
Had Yeh Hy K Kul Kainat Roye Gi

Jab Bi Muhram Ka Chand Nazar Aye Ga
Har Fidayan e Hussaini Ki Zat Raye Gi

Jab Bhi Kabhi Zameer Ka Soda Ho




Jab Bhi Kabhi Zameer Ka Soda Ho
Dat Jao Tum Hussain (as) Ky Inkar Ki Thara

Tapti Hui Zameen Hai, Aur Karbala Ka Bann Hai


 

Tapti Hui Zameen Hai, Aur Karbala Ka Bann Hai
 Maqtal Main Shai Ka Laasha, Be-Gor-o-Be Kafan Hai

Ieeman Ki Raushni Sai, Honton Pe Hai Tabassum
 Marnay Ki Aarzu Main, Pyaason Ki Anjuman Hai

Paidal Chala Rahay Hain, Beemar-e-Karbala Ko
 Aadaa Main Sar Barahna, Shabbir Ki Bahan Hai

Gham Un Ka Karaa Rahay Hain, Hum Un Ko Ro rahay Hain
 Jin Ke Lahu Se Taza, Islam Ka Chaman Hai

Jin Bibiyon Ka Saaya, Khursheed Ne Na Dekha
 Aaj Un Ke Bazuon Main, Jakrhi Hui Rasan Hai

Door aao Ab Na Ghudai, Lillah Raham Khaao
 Zakhmon Se Tukrhay Tukrhay, Shabbir Ka Badan Hai
 

Jab laasha-e-farzand-e-nabi ho gaya paamaal

Jab laasha-e-farzand-e-nabi ho gaya paamaal
 Us waqt ajab haal mein thi Fatima ki aal
 Tareeq ne kuchh is tarha likha hai wo ebaal
 Sab bibiyon mein ek tha bibi ka bura haal
 Bechaini se aati thhi dar-e-khaime se har baar
 Bachchon ko samete hue kehti thhi dilabgaar -

Ay jari diler-e-baawafaa
 Baazu-e-shaheed-e-Karbala
 Jaan-e-Fatima-o-Murtuza
 Tashnalab Sakina ke chacha
 Kisko de sadaa Zainab, kisko de sadaa Zainab
 Fauj ab qareeb aayi, ay Hussain ke bhai

Aap ko nahin hai ye khabar
 Lut gaya hai Fatima ka ghar
 So rahey ho jaake nehr par
 Naize pe rakha hai Shah ka sar
 Kisko de sadaa Zainab, kisko de sadaa Zainab
 Fauj ab qareeb aayi, ay Hussain ke bhai

Akbar-e-jawaan nahin raha
 Bezubaan bhi qatl ho gaya
 Qasim-e-hazeen bhi chal basa
 Khaatma hua sipah ka
 Kisko de sadaa Zainab, kisko de sadaa Zainab
 Fauj ab qareeb aayi, ay Hussain ke bhai

Kis tarha bataoon rann ka haal
 Laash ko karengey paayemaal
 Bhai ka karo to kuchh khayaal
 Shah-e-lafatah ke laal
 Kisko de sadaa Zainab, kisko de sadaa Zainab
 Fauj ab qareeb aayi, ay Hussain ke bhai

Karti hai Rabab ye fughaan
 Ho-ney ko hai raat ab ayaan
 Rann mein hai hamaara bezubaan
 Le ke aayein usko bhaijaan
 Kisko de sadaa Zainab, kisko de sadaa Zainab
 Fauj ab qareeb aayi, ay Hussain ke bhai

Fauj-e-Shaam baani-e-jafaa
 Jaan ke akela benavaa
 Kar de zulm ki na intehaa
 Chhen le na aake ye ridaa
 Kisko de sadaa Zainab, kisko de sadaa Zainab
 Fauj ab qareeb aayi, ay Hussain ke bhai

Kin jafaaon ka ho taskira
 Shaam-e-gham mein aal-e-Mustafa
 Ho gayi ghamon mein mubtila
 Lab pe hai Anees ye buka
 Kisko de sadaa Zainab, kisko de sadaa Zainab
 Fauj ab qareeb aayi, ay Hussain ke bhai

Rauze Pe Mustafa Ke Udaasi Si Chhaayi Hai

Rauze Pe Mustafa Ke Udaasi Si Chhaayi Hai
 Kunbay Ko Kho ke Zainab-e-Naashaad Aayi Hai
 Rokar Pukaari Nana Ye Faryaad Laayi Hoon
 Mai Chhorh Kar Hussain Ko Jangal Main Aayi Hoon

Nana Ajeeb Saanahai Ham Par Guzar Gaya
 Ranj-o-Alam Ne Gher Liyaa Hum Jidhar Gaye
 Nana Khudaa Kai Ghar Mein Na Hum Ko Amaan Mili
 Bhaai Ne Sheher Chorh Ke Jangal Ki Raah Li

Nana Hamain Na Chain Mayassar Kahin Huwa
 Paani Bhi Bandh Hum Pai Layeenon Nai Kar diya
 Nana Tumhari Aal Pai Kya Kya Sitam Huwai
 Bachai Tarap Kai Mar Gaye Paani Kai Waastai

Nana Shaheed Ho Gaye Bhaai Kai JaanNisar
 Ek Ek Kar Kai Mar Gaye As'haab-e-Zeewaqar
 Nana Bala Kai Ban Main Qayamat Ka Runn Parha
 Bhaai Sai Bhaai Baap Sai Beta Bichharh Gaya

Nana Zameen-e-Karbobala Laal Ho gayi
 Qasim Ki Laash Ghodhon Se Paamaal Hogayi
 Nana Kataa Ke Shanon Ko Abbas Mar gaye
 Ghurbat Mein Bhaaijaan Ko Be Aas Kar gaye

Nana Tumhari Shakl Ka Farzand Ek Jo Tha
 Khaa Kar Sina Jigar Mein Wo Mehruh Bhi Chal Basa
 Nana Shaqi Ki Teer Se Asghar Huwa Shaheed
 Aisa Huwa Na Hoga Jahaan Main Sitam Shadeed

Nana Hussain Baikas-e-Beyaar Ho Gaye
 Aamada Qatl Karnai Ku Kuffar Ho Gaye
 Tarpay Jo Zeer Khanjare Bai Aab Shahai Deen
 Shimr-e-Layeen Kai Zulm Sai Tharra Gayi Zameen

Nana Hamare Ghar Ka Sab Asbaab Lut Gaya
 Nana Hamare Sar Pe Na Baqi Rahi Rida
 Nana Hazaar Tarha Jafa Ki La'eenon Ne
 Khaimon Mein Aag Lagaa di La'eenon Ne

Nana Huwi Aseer Tumhaari Nawasiyaan
 Kaun-o-Makaan Mein Chhaa Gayi Gham Ki Udaasiyaan
 Nana Haram Hussain Kai Bazaar Mein Gaye
 Hum Sar Barehna Kufe Ke Darbar Mein Gaye

Nana Tumhaari Aal Gayi Mulk-e-Shaam Mein
 Pahunchi Ali Ki Betiyaan Darbaar-e-Aam Mein
 Nana Haqeer Saheb-e-Tatheer Ho Gaye
 Ham Log Shehr Shaam Mein Tash-Heer Hogaye

Nana Aseer Bara Thai Hum Ek Thi Rasan
 Baandhe Gaye Thai Misle Gunaahgaar-e-Khasta-tann
 Nana Hum Apne Haal Pe Rote Thai Zaar Zaar
 Nana Hamaare Ronay Pe Haste Thai Badshiaar

Nana Ajeeb Haal Hamaaraa Tha Us Ghadi
 Ek Bibi Peechhe Doosri Bibi Kai Chhupti Thi
 Us Wakt Thar Thari Si Merai Tann Mein Parh Gayi
 Sad Haif Hai Zameen Mein Zainab Na Garh Gayi

Itne Mein Ek Shaami Nai Nana Ghazab Kiya
 Saidaani Ko Kaneezi Mein Apni Talab Kiya
 Hoti Thi Laakh Zillatain Hum Dekhte Rahe
 Hans Hans Ke Taaziyaane Sitam Jhelte Rahe

Nanaa Tabaah Ho Ke Hum Aaye Hain Shaam Se
 Ek Daagh-e-Nau Sakina Ka Laaye Hain Shaam Se
 Nana Hamare Tann Pe Nishaanon Ko Dekh Lo
 Ab Tak Hai Neel Rassi Ke Shaanon Ko Dekh Lo

Zainab Dekha Kai Shanoon Ko Jab Kar rahi Thi Bayaan
 Tharraa Rahaa Tha Rouza-e-Sultan-e-Mashraqain
 Bas Khatm Kar Nashar Ye Ghamnaak Daastaan
 Rotai Hain Is Aalam Main Zameen Aur Aasmaan

Lo alamdaar chalaa




Dil Sakina mein, nazar fauj pe
 Hoton pe dua
 Lo alamdaar chalaa

Mashq kaandhe pe rakhi
 Pyaar kuchh aur badhhi
 Aa gayi wo bhi gharhi
 Jaanib-e-nehr chali leke pharere ki hawa
 Lo alamdaar alamdaar alamdaar chalaa

Shor maujon se utha
 Marhaba salla alaa
 Boli ghazi se wafa
 Peshwaai ko badhha sar ko jhukaaye dariya
 Lo alamdaar alamdaar alamdaar chalaa

Paani chullu mein liya
 Dil pe ek teer lagaa
 Di Sakina ko sadaa
 Paani laata hai meri jaan tera saqqa
 Lo alamdaar alamdaar alamdaar chalaa

Mashq bharna thhi bhari
 Go ke pyaasa thha jari
 Tashnagi kehti rahi
 Paani peele ay alamdaar jo mauqa hai mila
 Lo alamdaar alamdaar alamdaar chalaa

Phir bhi paani na piya
 Pyaas ko bhool gaya
 Saani-e-sher-e-Khuda
 Apne ghodey ko su-e-khaima jari leke badhha
 Lo alamdaar alamdaar alamdaar chalaa

Sirf koshish thhi yahi
 Paani pahunchaaye abhi
 Poori hasrat na hui
 Naagahaan mashq-e-Sakina pe laga teer-e-jafa
 Lo alamdaar alamdaar alamdaar chalaa

Teer par teer chaley
 Shaane ghazi ke katey
 Rann mein Abbas girey
 Kehte thhe aao madad ko meri ibne Zahra
 Lo alamdaar alamdaar alamdaar chalaa

Aake laashe pe girey
 Shah-e-deen rotey huey
 Phir ye farmaane lagey
 Chhod gaye tum bhi humein dasht-e-balaa mein tanha
 Lo alamdaar alamdaar alamdaar chalaa

Jangal mein bharey ghar ko lutaa aayi hai Zainab

Jangal mein bharey ghar ko lutaa aayi hai Zainab
 Ay shehr-e-madeena
 Aabid ko kisi tarha bachaa laayi hai Zainab
 Ay shehr-e-madeena

Bandhwaa ke rasan haathon mein aur khutbey sunaa ke
 Gharbaar lutaa ke
 Deewar badhey kufr ke dhaa aayi hai Zainab
 Ay shehr-e-madeena

Jis shehr mein shahzaadiyon ki tarha rahi thhi
 Naazon ki palee thhi
 Sar nangey usi shehr mein ho aayi hai Zainab
 Ay shehr-e-madeena

Jo hijr-e-pidar mein rahey har waqt pareshaan
 Soyi nahin ek aan
 Us bachchi ko zindaan mein sula aayi hai Zainab
 Ay shehr-e-madeena

Thha pyaar bohot bhai ko jis bhaai ke damm se
 Dil phhat-ta hai gham se
 Saahil pe akela usey chhod aayi hai Zainab
 Ay shehr-e-madeena

Chhe maah ke Asghar ko bhi jhoole ke bajhaaye
 Dukh dard chhupaaye
 Aaghosh mein turbat ke sulaa aayi hai Zainab
 Ay shehr-e-madeena

Thhe Aun-o-Mohammad jo mere aankhon ke taare
 Maamu ke dulaare
 Qurbaan unhein bhaai pe kar aayi hai Zainab
 Ay shehr-e-Madeena

Thhaa Akbar-e-naashaad jo us ghar ka ujaala
 Wo gesuwon waala
 Marqad mein akela usey chhod aayi hai Zainab
 Ay shehr-e-Madeena

Naadim hai bohot laa saki Qasim ko na humraah
 Wa hasrat-o-dardaa
 Kubraa ko magar saath le aayi hai Zainab
 Ay shehr-e-Madeena

Paani jo piye ahle watan pyaas na bhoolein
 Muh ashqon se dho le
 Kehne ko ye bhaai ka payaam laayi hai Zainab
 Ay shehr-e-Madeena

Manzar ko bhula sakti nahin taa damm-e-aakhir
 Kehne se qaasir
 Jo shaam ke darbaar mein dekh aai hai Zainab
 Ay shehr-e-Madeena

Jis waqt Khuda jaanta thha nikley thhe ghar se
 Chaadar chhini sar se
 Ab tak na masaaib se nikal paayi hai Zainab
 Ay shehr-e-Madeena

Shabbir ko royega taa hashr zamaana
 Hai gham ka fasaana
 Majlis ke bina shaam se laut aayi hai Zainab
 Ay shehr-e-Madeena
 

Hai karbala ke bann mein ghareebon ka arba'een

Hai karbala ke bann mein ghareebon ka arba'een

Shabbir ke mazaar pe Zainab ki hai jabeen
 Aansoon bahaa rahey hain khadey Abid-e-hazeen
 Aabaad thi Hussain ke khadmon se ye zameen
 Ab haal ye hai sar pe koyi saayebaan nahin

Hai karbala ke bann mein ghareebon ka arba'een

Bhaiya hamare waade ki takmeel ho gayi
 Aisa safar hua hai ke sar par rida na thi
 Darbar-e-shaam mein thi khayamath ki bebasi
 Rudaad-e-gham sunaane ki taakhath bhi ab nahi

Hai karbala ke bann mein ghareebon ka arba'een

Maa jaye pehle aag lagi khaimagaah mein
 Har gaam ek taaza qayamath thi raah mein
 Bachi ki hichkiyon ka hai manzar nigaah mein
 Zindaan-e-shaam mein hai Sakina yahaan nahin

Hai karbala ke bann mein ghareebon ka arba'een

Laila tadap rahi hai ke dilbar nahin raha
 Lakhthe jigar shabeeh-e-payamber nahin raha
 Roney ko ma tho reh gayi Akbar nahin raha
 Chehlum jawaan bete ka aur aur maadar-e-hazeen

Hai karbala ke bann mein ghareebon ka arba'een

Abbas-e-naamwar jo harum ka tha paasbaan
 Rothi thi yaad karke jise saari bibiyaan
 Be aas jiski laash pe the shah-e-do jahan
 Laasha kahin tha haath kahin aur alam kahin

Hai karbala ke bann mein ghareebon ka arba'een

Pardh Kai Mahzar, Jab Madine Sai Chalaa Wo Khafela

Pardh Kai Mahzar, Jab Madine Sai Chalaa Wo Khafela
 Qasim O Abbas O Akbar Aur Sibt-e-Mustafa
 Saath Mein Zainab, Sakina Aur Ruh-e-Fatema
 Sayyed-e-Sajjad Asghar, Saath Sughra Ki Dua
 Khafela Tha Ek, Lekin Do Thay Ruh-e-Khafela
 Ek Ali Ki Laadli Thi, Ek Ali Ka Laal Tha

Aaye Ho Kis Shaan Sai, Nikle Thay Su-e-Karbala
 Saath Abbas-e-Jari, Khabze Main Tegh-e-Murtaza
 Markaz-e-Taazeem Theen, Do Hastiyan Har Ek Ka
 Ek Ali Ki Laadli Thi, Ek Ali Ka Laal Tha

Apne Bayton Ko Fida, Bhai Pe Zainab Ne Kiya
 Bhai Mar Ke Bhi Na Zainab, Sai Huwa Ek Pal Juda
 Sar Barehna Wo Chali, Wo Bar Sar-e-Neza Chalaa
 Ek Ali Ki Laadli Thi, Ek Ali Ka Laal Tha

Sar Diya Bhai Nai Chaadar Di Bahen Nai Deen Ko
 Na Bahen Aisi, Na Aisa Bhai Hoga Mominon
 Jis Nai Sar Unchaa Kiya Hai, Baani-e-Islam Ka
 Ek Ali Ki Laadli Thi, Ek Ali Ka Laal Tha

Sar Barehna Thi Bahen To Bhai Bhi Tha Bai Kafan
 Bhai Kai Baazu Juda, Bahnaa Kai Baazu Mein Rasan
 Sar Kiya Donon Nai, Mil Kar Karbala Ka Maarka
 Ek Ali Ki Laadli Thi, Ek Ali Ka Laal Tha

Bhai Nai Chhay Maah Kai Bache Ki Mayyat Gaarh Kar
 Ek Nayi Tareekh Likhi Karbala Ke Khaak Par
 Shukar Ka Sajda Jawaan Baite Ke Mayyat Par Kiya
 Ek Ali Ki Laadli Thi, Ek Ali Ka Laal Tha

Thi Rasan Basta Bahen Laykin Jalaalat Al-Amaan
 Khutba-e-Zainab Sai Larzaan Thai Zameen-o-Aasmaan
 Rakh Diya Takhta Palat Kar, Jis Nai Mulk-e-Shaam Ka
 Ek Ali Ki Laadli Thi, Ek Ali Ka Laal Tha

Bhai Khaak-o-Khoon Main Ghaltaan Aur Zindaan Mein Behan
 Aabru-e-Mustafa Ek, Aabrou-e-Panjatan
 Daudta Tha Jism Main Donon Kai Sheer-e-Sayyada
 Ek Ali Ki Laadli Thi, Ek Ali Ka Laal Tha

Tasht Main Bhai Ka Sar, Zainab Bharay Darbar Main
 Koi Bhi Insaan Nahin Tha Lashkar-e-Kuffar Main
 Khaak Madfan Main, Urtai Thai Nabi-e-Dosra
 Ek Ali Ki Laadli Thi, Ek Ali Ka Laal Tha

Ay mominon payam-e-Sarwar ko yaad rakhna

Ay mominon payam-e-Sarwar ko yaad rakhna
 Ujda jo ek din mein us ghar ko yaad rakhna

Aaghosh mein tumhari masoom koyi aye
 Aur pyar se koyi maa jhoola usey jhulaye
 Banu ki bebasi ko Asghar ko yaad rakhna

Ujda jo ek din mein us ghar ko yaad rakhna

Tumko Khuda dikhaye khushiyon ka har sawera
 Qismath se jab bhi baandho apne pisar ka sehra
 Qasim ko yaad rakhna Akbar ko yaad rakhna

Ujda jo ek din mein us ghar ko yaad rakhna

Dekho na zindagi mein marna jawaan pisar ka
 Bete ka daagh dil par hotha hai umr bhar ka
 Laila ki hasrathon ko Akbar ko yaad rakhna

Ujda jo ek din mein us ghar ko yaad rakhna

Behenon ko betiyon ko jab bhi rida udhana
 Ham bekason ko hargiz dil se nahin bhulana
 Meri bahen ke sar ki chadar ko yaad rakhna

Ujda jo ek din mein us ghar ko yaad rakhna

Beton ko jo na royi khurbaan karke mujhe par
 Aur sar nahin uthaya ehsaan karke mujh par
 Us jaan nisaar meri khaher ko yaad rakhna

Ay mominon payam-e-Sarwar ko yaad rakhna
 Ujda jo ek din mein us ghar ko yaad rakhna

Aseer ho ke chali hoon salam lo baba

Aseer ho ke chali hoon salam lo baba

Hai sar pe khaak bhi gham bhi hai aur buka bhi hai
 Hai kamsani bhi museebath bhi aur jafa bhi hai
 Phupi ke saath rasan mein mera gala bhi hai
 In aafathon se guzarne ka hausla bhi hai

Aseer ho ke chali hoon salam lo baba

Suna hai shaam ka darbaar jab bhara hoga
 Yazeed ka sare darbaar saamna hoga
 Mera tho bhai bhi zanjeer mein bhanda hoga
 Phupi jo pahunchegi darbaar mein tho kya hoga

Aseer ho ke chali hoon salam lo baba

Suna Sakina se gham ka payaam aye baba
 Hamare jai gaye sare khayam aye baba
 Kahan kahan ho na jane khayam aye baba
 Ho saari zeesth tumhara hi naam aye baba

Aseer ho ke chali hoon salam lo baba