Skip to main content

Tanhaiyon Mein Shor Tha Aadat Si ho Gaee



Tanhaiyon Mein Shor Tha Aadat Si ho Gaee
Ruswaiyon Ka Shauq Tha Ulfat Si Ho Gaee

Jo Chup Raha Jungle Mein Nacha Na Mor Bhi
Juz Lab Hile To Sheher Mein Shohrat Si Ho Gaee

Aate Hi Us Ne Pyaar Se Dekha Tha Subh-ho Dam
Din Bhar Ke Har Ik Kaam Mein Sahulat Si Ho Gaee

Karna Ishq Mahaal Hua Tab'e Nazuk Par
Masoom Si Ik Larki Thi Tohmat Si Ho Gaee

Do Chaar Din Rifaqat Mayassar Hui Kya Tashna
Paida Sadgyon Mein Ra'oonat Si Ho Gaee

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng