Showing posts with label Prem Warbartoni. Show all posts
Showing posts with label Prem Warbartoni. Show all posts

Merii tanhaa_iiyaa.N tum hii lagaa lo mujh ko siine se


Merii tanhaa_iiyaa.N tum hii lagaa lo mujh ko siine se ,
ke mai.n ghabaraa gayaa huu.N is tarah ro-ro ke jiine se ,

ye aadhii raat ko phir chuu.Diyo.n sii kyaa khanakatii hai 
ko_ii aataa hai ke merii zanjiire.n chhanakatii hai.n ,
ye baate.n kis tarah mai.n puuchhuu.N saavan ke mahiine se 
ke mai.n ghabaraa gayaa huu.N is tarah ro ro ke jiine se ,

bahut lambii hai.n raahe.n pyaar kii aur zindagii kam hai, 
ghaTaa bhii ghir aa_ii hai diye kii lau bhii maddham hai, 
kinaraa duur hotaa jaa rahaa hai phir safiine se, 
ke mai.n ghabaraa gayaa huu.N is tarah ro ro ke jiine se 

mujhe piine do apane hii lahuu kaa jaam piine do ,
na siine do kisii ko bhii meraa daaman na siine do 
merii vahashat na ba.D jaaye kahii.n daaman ke siine se ,
ke mai.n ghabaraa gayaa huu.N is tarah ro ro ke jiine se .

Kabhii to khul ke baras abr-e-meharabaa.N kii tarah



Kabhii to khul ke baras abr-e-meharabaa.N kii tarah ,
meraa vajuud hai jalate hue makaa.N kii tarah ,

bharii bahaar kaa siinaa hai zaKhm zaKhm magar ,
sabaa ne gaaye hai.n lorii shafiiq man kii tarah ,

vo kaun thaa jo barahanaa badan chaTTaano.n se, 
lipaT gayaa thaa kabhii bahr-e-bekaraa.N kii tarah ,

sakuut-e-dil to jaziiraa hai barf kaa lekin,
teraa Khuluus hai suuraj ke saayebaa.N kii tarah, 

mai.n ik Khvaab sahii aap kii amaanat huu.N, 
mujhe sambhaal ke rakhiyegaa jism-o-jaa.N kii tarah, 

kabhii to soch ke vo shaKhs kis qadar thaa bula.nd, 
jo bichh gayaa tere qadmo.n me.n aasmaa.N kii tarah ,

bulaa rahaa hai mujhe phir kisii badan kaa basa.nt, 
guzar na jaaye ye rut bhii kahii.n Khizaa.N kii tarah 

lahuu hai nisf sadii kaa jis ke aabagiine me.n, 
na dekh "Prem" use chashm-e-arGavaa.N kii tarah .

Dil jalegaa to zamaa.ne me.n ujaalaa hogaa


Dil jalegaa to zamaa.ne me.n ujaalaa hogaa ,
husn zarro.n kaa sitaaro.n se niraalaa hogaa ,


kaun jaane ye mohabbat kii sazaa hai ke silaa ,
ham kinaare pe bhii pahu.Nche to kinaaraa na milaa 
bujh gayaa chaa.Nd kisii dard bhare dil kii tarah, 
raat kaa rang abhii aur bhii kaalaa hogaa 


dekhanaa royegii fariyaad karegii duniyaa 
ham na ho.nge to hame.n yaad karegii duniyaa 
apane jiine kii adaa bhii anokhii sab se 
apane marane kaa bhii andaaz niraalaa hogaa .

Aj kya dekha Khalaon ke sunehare Khawab mein


Aj kya dekha Khalaon ke sunehare Khawab mein
Regzaron ke siwa kuch bhi nahi mahtab mein

Jab se pahana hai naye mausam ne zakhmon ka libas
Phul se khilane lage hain dida e Khunab mein

Nisfshab ko nind may chalata hua paikar koi
Naqsh e pa kyon chor jata hai dayar e Khwab mein

Wo to Khud apane tajassus may bhatak kar rah gaye
Tazakara tha jin ki azamat ka bahut ehabab mein

Cherata hai saz e shab ko yun samandar ka sukut
Dub jati hai faza sangit ke sailab mein

Tum nay Likha hay meray Khat mujay wapis kar do,


Tum nay Likha hay meray Khat mujay wapis kar do,
Dar Gayen husn e dil awaiz ki ruswaie se,

Main na kehta tha tum muj say muhabbat na karo,
yun nakhelo meray jazbaat ki ranaye se,

Sab Samjhat thay hamisha mujay jan e mehfil,
Aab mera haal tu pocho meri tanhaye se,,,