Dard kia hota hai
btayein gein kisi roz
Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz

Thi unki zid k
mai jaun unko manane
Mujko yeh veham tha vo bulayein gein kisi roz

kabi b maine to
socha b nahi tha
Vo itna mere dil ko dukhaein gein kisi roz

Har roz aieene
sey yehi poochti hun mae
Kia rukh pe tabassum sajayein gein kisi roz?

Urney do in
parindon ko azaad fizaon mein
Tumhare hon agar to lout ayein gein kisi roz

Apne sitam ka
dekh lena khud hi Mirza tum
Zakham e jigar tamaam log dekhein gein kisi roz