Skip to main content

Jab se Bichre mujh se Tumhare Khayal k Din

Jab se Bichre mujh se Tumhare Khayal k Din
shoro ho gayi Hijer ki Raateen or Wisal k Din

Tumhare Jane k Baad to Log Pehchante hi nahi
Urooj Guzar Gaya aa jaye Mujh per Zawal k Din

Haath main Haath liye Aik Dosre ki Baateen Sunte the
Yaad bohat aate hain Mujhe woh Kamal k Din

Khushioon ki Tamana ab bhi Baqi hai is Dil main
Kash Jaldi se Gzuer Jaye yeh Ranj O Malal k din

Ab to Awaz Azan Sun kar bhi nahi Ate teri Taraf
A Khuda Lota de Hum ko woh Azan e Bilal k Din

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng