Skip to main content

Ye Dukh Udaasi Shaam Ki Saughat Naee Nahi'n

Ye Dukh Udaasi Shaam Ki Saughat Naee Nahi'n
Reza kar Dya Dil Ko Jis Ne Wo Baat Naee Nahi'n

Banjar Rehte Hein Dil Jin Ke Wo Log Aur Hein
Geeli Rehti Hein Aankhein Apni Barsaat Naee Nahi'n

Barf Ye Saari Ghul Jae Gi Bach Na Sake Ga Kuch bhi
Barh Rahi Hai Sab Ki Janib Woh Raat Naee Nahi'n

Sab Ne Manga Hai Un Se Jo Khud Mangte Hein
Pehle Bhi Mili hai America Se Khairat Naee Nahi'n

Cheeni Hogi Aata Hoga Bijli Paani Gas bohat
Behko Mat Wadon Ki Ye Saughat Naee Nahi'n

Armano Ki Sej Saje Gi Beti Meri Dulhan bane Gi
Baba Tumhare Sapno Ki Ye Baraat Naee Nahi'n

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.