Skip to main content

Ghar laut k jae'n ge tu pae'n ge amaa'n bhi

Ghar laut k jae'n ge tu pae'n ge amaa'n bhi
aankhoo'n ki thakan krnay lagi raaz aya'n bhi

 You'n dil na baharoo'n se laga 'o k suna hai
Rastay me mohabbat k para'o hai khiza'n bhi

...
Gar tujh se ulajhti hai'n nigahai'n tu bura kya?
Is dil me teri chah ka rehta hai guma'n bhi

Badlay huay mausam ko koi jaa k bataye
Badlay jo agar hum tu badal jaye zama'n bhi

Barish me na beh jaye mera kacha gharonda
Barsa hai jo is baar yeh ashkoo'n ka rawa'n bhi

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.