Showing posts with label LATE SYED ZAHIR-ul-HASAN QUADRI. Show all posts
Showing posts with label LATE SYED ZAHIR-ul-HASAN QUADRI. Show all posts

Peene ko mujhe saqi-e maikhana kahe hai


Peene ko mujhe saqi-e maikhana kahe hai 
Mat muhn se lagana mujhe paimana kahe hai

Us ne to mujhe pyar se diwana kaha tha 
Ab jo bhi mile hai mujhe diwana kahe hai

Sun lein jo agar hosh me aajayen diwane 
Jo baat ke toota hua paimana kahe hai

Zanjeer mere paon me kasdeta hai koi 
Jab wahshate dil chalne ko veerana kahe hai

Palkon pe sitaron ko larazte huye dekha 
Afsanay-e gham bhi woh hijabana kahe hai

Mahdood teri aqle hai aye wayez-enadan 
Kaaba hai wohi tu jise butkhana kahe hai

Tum milgaye raste main  to lagta hai kuch aisa 
Jaise koi bhoola hua afsana kahe hai

Jis bazm me sab lut gaya tishna ka sitam hai 
Chalne ko wahin phir dil-e diwana kahe hai 

Fareb de ke saharon ka tazkera na karo


Fareb de ke saharon ka tazkera na karo 
Dubo ke nao kinaron ka tazkara na karo

Abhi to bat khezan se nahi badhi aage 
Abas abhi se baharon ka tazkera na karo

Woh baat raat ki thi ab to raat raat nahi 
Sahar me chand sitaron ka tazkera na karo

Jo saaz toot chuka unka zikre kya aye dost 
Shikashta saaz ke taaron ka tazkera na karo

Tumhari kaisee guzarti hai chandni raaten 
Shabe faraaq ke maron ka tazkera na karo

Khazan ki baat aye tishna khazan ke baat karo 
Chaman ke  mast nazaron ka tazkera na karo