Showing posts with label Ward Bazmi. Show all posts
Showing posts with label Ward Bazmi. Show all posts

Na raastoN ki taraf or na manziloN ki taraf

Na raastoN ki taraf or na manziloN ki taraf
Mera junooN mujhe le aaya wehshatoN ki taraf

MaiN daikhooN paaoN ki zaNjeer, faasiloN ki taraf
Wo daikhay dil ki taraf.. dil ki dhaRkanoN ki taraf

Nazar na aayi kahiN koi roshni ki kiran
MaiN daikhta hi rha baNd khiRkioN ki taraf

MaiN hijratoN maiN juda ho gya qabilay se
maiN ban kay kooNj ab uRtaa hooN baadloN ki taraf

Meri kahaani ko paRhna hay tau kabhi daikho
KhizaaN raseeda daraKhtoN ki tehnioN ki taraf

Wo jis nigaah maiN gehraayi thi samundar ki
MaiN lehr lehr bahaa us kay saahiloN ki taraf

MaiN aks aks sar-e-aaina bikharta tha
So aaj bikhtay huway daikho kirchioN ki taraf

MuhabatoN hi se fursat mujhe nahiN milti
Gumaan jaaye tau kiyuN kar kadooratoN ki taraf

Meri uRaan falak maiN shigaaf kar de gi
Zamin phaiNk de nishtar mere paroN ki taraf

Mujhe tau WARD kay raNgoN ka aks dikhta hay
Jo daikhta hooN maiN khush raNg titlioN ki taraf

Mili na is liye dehleez-e-aagahi ab tak

Mili na is liye dehleez-e-aagahi ab tak
Khirad na le saki wehshat pe bartari ab tak

Wo barf baari tahayyur ki tham chuki laikin
Badan pe phir bhi hay taari wo kapkapi ab tak

Wo aabgina-e-ummid kitna naazuk tha
Keh Tootne ki sada bhi nahiN suni ab tak

Na teergi na ujaala shafaq pe Thahray hay
BhaTak rahi hay shab-e-dil maiN roshni ab tak

Chaman maiN WARD ki khushbu simaT nahiN sakti
Ye aur baat hawa hi nahiN chali ab tak

Dasht-e-tishna maiN teri raig tah-e-aab karooN

Dasht-e-tishna maiN teri raig tah-e-aab karooN
Aa tere jism nahiN rooh ko sairaab karooN

Dil kay maNdir se har ik dard kay but ko toRooN
Masjid-e-kaif bnaaoN tujhay mehraab karooN

Loh-e-imkaaN pe ho hansti huwi ayat jaise
MaiN tabasum ko tere zaivar-e-a'eraab karooN

CharKh-e-ummid hay misl-eshab-e-mahroom-qamar
Aa teri yaad ko maiN soorat-e-mahtaab karooN

Taira ehsaas samundar ki tarah phaila hay
MaiN ye chaahooN teri har lehr ko gardaab karooN

Chaahtaa hooN teri is darja paziraayi karooN
pehle maiN aankh banooN phir maiN tujhe khwaab karooN

Phir tere zikr se mosim ko halaawat bakhshooN
Phir kisi sookhay huway WARD ko shaadaab karooN

Sehraa ka iltimaas liye jaa rha hooN maiN


Sehraa ka iltimaas liye jaa rha hooN maiN
Dariya badast pyaas liye jaa rha hooN maiN

MaiN jazb kar rha hooN samuNdar se khauf ko
Har lehr, pur haraas liye jaa rha hooN maiN

BaNjar zamin-e-sahn-e-muqaddar kay baawajood
Ik aas , sabz ghaas liye jaa rha hooN maiN

An daikhi qurbatoN ka nigaahoN maiN sehr hay
Be aks in'akaas liye jaa rha hooN maiN

Malboos aarzuaiN bhi hoti haiN saNgsaar
Khwaahish ko be libaas liye jaa rha hooN maiN

Taarik arz-e-fikr ko karna hay taabnaak
Sooraj zameeN kasy paas liye jaa rha hooN maiN

Kitni rutoN se chaaNd pe charKha khamosh hay
Dharti se kuch kapaas liye jaa rha hooN maiN

Daikhi hay roo-e-WARD pe shabnam numa .... Nami
AankhaiN udaas udaas liye jaa rha hooN maiN

MuhabatoN maiN wafaaoN maiN qaid rakhooN ga



MuhabatoN maiN wafaaoN maiN qaid rakhooN ga
Tmaam umr.. duaaoN maiN qaid rakhooN ga

Bachaa kay rakhkhooN ga nafrat kid hoop se har pal
Praim paiR kichhaao maiN qaid rakhooN ga

Mere laboN kay jo darwazay waa na kar paayeN
Hamaisha .. aisi sadaaoN maiN qaid rakhooN ga

Hawas ne ghair liya shehr kohar ik soo say
Suno..khulus kay gaaoN maiN qaid rakhooN ga

Tu ik qadam bhi akailay na jaa sake ga kahiN
MaiN apna dil..tere paaoN maiN qaid rakhooN ga

Tmaam umr na kuch aur daikhna chaahay
Ye aaNkh .tairi adaaoN maiN qaid rakhooN ga

Bikhar kay WARD ki khushbu kahaaN pe jaaye gi
MaiN khushbuoN ko hawaaoN maiN qaid rakhooN ga

Dard apnaaya kuch is dard se maira us ne


Dard apnaaya kuch is dard se maira us ne
Apne hi jism ka hissa mujeh samjha us ne

Rait ki pyaas main khwaahish ka badan jalta tha
Aik sehra ko bna daala hay dariya us ne

DhaRliye chaak se . beshakl utar aaya main
Apne dil se liya gaaraa .diya chehra us ne

Sirf Khaaka tha adhoora sa . Koi raNg na tha
MaiN mukammal huwa. Jaise mujeh socha us ne

Rait ne qiad kiya tha mujhe taariki main
Aakhri the se samundar ki nikaala us ne

Baad-e-aawaara liye phirti thi hamraah mujhe
Misl-e-Khushbu mujhe aaNchal main samaiTa us ne

Soorat-e-barf BichaRne ka iraada, pighla
Ban kay ummid ka sooraj mujhe daikha us ne

Jo laboN tak nahiN aaya . huwa eefa wo bhi
MaiN jahaaN bhool gya .ehd nibhaaya us ne

Bayat-e-ishq se. inkaar kahaaN tha mumkin
WARD ummid ka sehra maiN khilaaya us ne