Showing posts with label Ghulam Mustafa Tabassum Poetry. Show all posts
Showing posts with label Ghulam Mustafa Tabassum Poetry. Show all posts

yeh kiya keh aik jahaaN ko karo waqaf izztarab


yeh kiya keh aik jahaaN ko karo waqaf izztarab
yeh kiya keh aik dil ko shateeba na kar sako

aisa na ho yeh dard bane dard laazawal
aisa nah ho keh tum bHee madaawa na kar sako

shayad tumHaiN bHee chain na Aa'e mirre baghair
shayad yeh baat tum bHee gawaara na kar sako

kya jaane pHir sitam bHee muyassar ho na ho
kya jaane yeh karam bHee karo yaa nah kar sako

Allah kare jahaaN ko miree yaad bHool ja'e
Allah kare keh tum kabHee aisa na kar sako

mere siwa kisee kee na ho tum ko justajoo
mere siwa kisee kee tamanna na kar sako