Skip to main content

Dastak na ho dar pe to deemak hi lage gi

*~~Dastak na ho dar pe to deemak hi lage gi
Saya na ho sir pe to qeemat hi lage gi

Faaqa ho teen din ka umeedo'n ke sheher mein
Do chaar qadam chalna hijrat hi lage gi

Dunya ke naam lewa hein guftar ke qail
Makhlooq mein charcha ho to shohrat hi lage gi

Tan dhak libaas pet bhar roti bhi ho mushkil
Poori kamaee muthi bhar ujrat hi lage gi

Nazr e Hawas Har Qadam Chashm e Qadr khaal Khaal
Har beti apne baap ko tohmat hi lage gi

Betha hai RAB Ke samne dunya se bhaaag kar
Har zarb e karbnaak ab rahat hi lage gi.~~*

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.