Showing posts with label Mehr Lal Soni Zia Fatehabadi. Show all posts
Showing posts with label Mehr Lal Soni Zia Fatehabadi. Show all posts

Pardah chehare se uthaa rakhaa hai


Pardah chehare se uthaa rakhaa hai
Khulii aankhon pe giraa rakhaa hai

Woh dilon mein hai na baazaaron mein
Naam jis shey kaa wafaa rakhaa hai

Merii aankhon mein bhii aankhen daalo
Aainaakhaanon mein kyaa rakhaa hai

Aamad e hashr hai kyaa aangan mein
Shor kavvon ne machaa rakhaa hai

Jhoot ke shahar kii khushfahamii ne 
Sab ko soolii pe chadhaa rakhaa hai

Kaun pahachaane kise sab ne yahaan
Cheharaa chehare pe lagaa rakhaa hai

In dhadakte hue sh’eron mein “Zia”
Aur kyaa dil ke siwaa rakhaa hai