Skip to main content

Har shy ka soda hota he

Har shy ka soda hota he
Her cheez bikaau hoti he
Har fard yaha per taajir he
Har waqt tijaarit hoti he
Tum ap he apne daam kaho
Chup k nhi sar_e_aam kaho
Kya lo ge apni yari ka
Kya lo ge tum dildaari ka
Gham_khwar bno ge kitne men
Tum pyar kro ge kitne men
Sb jazbay meray naam kro
Ham naam tum apna daam kaho
Par daam chukane ki khatir
Ham apna daftar kholen to
Ham apni jaib tatolen to
Bus pyar mily ga thora sa
Azaar mily ga thora sa
Ye sikay yaha kb chalte hen
Kya udhar mily ga thora sa
Ye dunia bay_aitbarie ki
Ye arz he hr beyopari ki
Chal chor tamana jazboun ki
Bas souday hi dekh aaen ham
Ham khali hath hi aaye thay
Chal khali hath hi jayen hum.

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng