Showing posts with label Wafa Naqvi. Show all posts
Showing posts with label Wafa Naqvi. Show all posts

Phool jaise kisi bachche ki jhalak hai mujh main


Phool jaise kisi bachche ki jhalak hai mujh main
Kitne masoom khyalon ki mahak hai mujh main


Roz chalta hun hazaron kilo meter laikin
Khatm hoti hi nahin kaisi sadak hai mujh main


Woh muhabbat woh nigahain woh chalakte aansu
Chand yadon ki abhi baqi khanak hai mujh main


Main ufuq hoon mra sooraj se hai rishta gahra
Aik do rang nahin sari dhanak hai mujh main


Chand se kah do hiqarat se na daikhe mujh ko
Mana jugnu hun magar apni chamak hai mujh main.

Kar raha hoon khitab patthar se


Kar raha hoon khitab patthar se
Toot jayen na khwab patthar se


Muskurane laga hai ik chahra
Hat gaya hai azab patthar se


Hai paseene main us ki paishani
Ya tapakti sharab patthar se


Kyun mre dil ko thais pohchai
Chahta hun jawab patthar se


Haste daikha na bolte daikha
Aap bhi hain janab patthar se


Khof khata hun aaina hokar
Hai mujhe ijtinab patthar se


Is main pairon ka kuch qusoor nahin
Rasta hai kharab patthar se.

Sham bikhri hui hai Pedon par



Sham bikhri hui hai Pedon par
Dard ki lay Saji hai pedon par


Sard mosam main bhi nahin thithre
Kis qadar behisi hai pedon par


Nind aane lagi hai sooraj ko
Chandni jagti hai pedon par


Raat bhar aasman roya hai
Ja ba ja ik nami hai pedon par


Aye parindo palat ke aajao
Ik tumhari kami hai pedon par


Yun hi todo na shakh se patte
IN ki dunya basi hai pedon par


Guftugu kar rahi hain kuch yaden
Dil nashin roshni hai pedon par


Aashiyane to jal gaye kab ke
Barq kya dhundti hai pedon par

Yadon se mahakti hui is rat main kya hai


Yadon se mahakti hui is rat main kya hai
Yeh raz khula aaj ke jazbat main kya hai

Yun ghor se hathon ki lakeeren na padha kar
bigden ge sanwar jayen ge halat main kya hai

pahle to darakhton se nikalti thin karahen
isbar zara daikhiye barsat main kya hai

yeh kah ke parindon ne bhari aaj udanen
shahron ki taraf chalte hain daihat main kya hai

khichte hi chale aate hain dil shahr e hawas main
jadu tri aankhon main tri bat main kya hai

Beete lamhon ka marsiya”


Beete lamhon ka marsiya”

Chiragh Aakhri sanson main apni dooba hai

Andhaire god main baithe hain laike kamre  ko

Shikastagi hai bichi aik sahn e bad ru main

Kahin kahin pai hawaon ne khak rakh di hai

Hai dar bhi odhe huye ik rida udasi ki

Hai chat bhi zakhm raseeda atab ki soorat

Jahan se os kabhi chandni tapakti hai

Utar daiti hain deewarain roz kapdon ko

Bacha hua hai zaifi main jo ke aangan main

Who neem aik kahani hai guzre maosam ki

Kabhi baraste the badal ghatayen aati thin

Kabootaron ke basere isi pai hote the

Mamole karte the aapas main guftugu aksar

Gharonde bante the unke yahin pai rah rah kar

Chahakte rahte the har sham jhutputon ke hujoom

Magar yeh waqt hai is ki rawish anokhi hai

Kabutaron ki jgah Boom ke thikane hain

Har aik shakh pai tanhai ke fasane hain

Khamoshiyon ki sadaon ko cheerne ke liye

Bas ik karah e dil e pash pash uthti hai.

Kahan gaye woh khuda jane chorh kar mujh ko



Tumhare sath jo guzre the rat din maire

kahan gaye woh khuda jane

chorh kar mujhe ko

main un ko aaj bhi dil main chupana chahta hun

ke woh bade hi muqqadas the wadi e gil main

ke un se rabt raha hai mairi tamanna ka

Ke un ke khwab mre aansuon main roshan hain

ke un ke lams ko mahsoos ab bhi karta hun

wahi to the jo mri rooh ke muhafiz the

wahi to the jo mri chahaton ki manzil the

wahi to the jo mre raston ki ronaq the

wahi to the jo mri dhadkanon main shamil the

Wahi to the jo mri fikr ki tamazat the

magar main aaj unhen kho chuka Hamaisha ko

magar yeh dil hai ke phir un ke khwab daikhta hai

tumhare Sath jo guzre the rat din maire

kahan gaye woh khuda jane chod kar mujhko.

Jo taiz ro the thi pairon main jin ke jan buhat


Jo taiz ro the thi pairon main jin ke jan buhat
Woh log odh ke soye hain ab thakan buhat

na jane shor utha kar kahan se lai hai
Hawa ne aaj dukhaye hain maire kan buhat

yeh zindagi bhi ajab rah ki musafir hai
kahin chadhan buhat hai kahin dhalan buhat

Zamin uthe gi nahin aasman jhukega nahin
Ana parast hain donon ke khandan buhat

Kisi ka dard sunu ga to toot jaunga
Maire liye hai faqat mairi dastan buhat

Gharon main qaid kahin ikhtilaf hote hain
Makeen ho ke bhi rahte hain bemakan buhat

Zair e saya bhi ab qayam nahi


Zair e saya bhi ab qayam nahi
Kya darakhton pai koi sham nahin
Kon Baghon ki sair ko jaye
Taire zanu ka ahtimam nahin
Aaino se bhi tum ko nafrat hai
Pattharon ka bhi ahtram nahin
Raston main ulajh na jana tum
Yeh tumhara abhi muqam nahi
Log matlab ghalat nikalte hain
Rah chalton ko ab salam nahin
Bus mulaqat karne aay tha
Aap se mujh ko koi kam nahin
Kash koi to us ko samjhaye
Zindagi be rukhi ka nam nahin
Log Saghar uthaye baithe hain
Aik qatre ka intizam nahin