Skip to main content

Ishq Pagal Kar Gaya Tou Kya Kare Ge Soch Lo

Ishq Pagal Kar Gaya Tou Kya Kare Ge Soch Lo
Sanha Aisa Howa To Kya Karo Ge Soch Lo

Sath Us Ke Har Qadam Chalne Ki Adat Kis Liye
Chor Ke Wo Chal Diya To Kya Karo Ge Soch Lo

Shor Bahir Hai Abhi Is Waste Khamosh Ho
Shor Ander Gir Utha To Kya Karo Ge Soch Lo

Kar Rahe Ho Ghar Naya Tameer Urti Rait Per
Ye Achanak Gir Para To Kya Karo Ge Soch Lo

Band Palko Per Adhore Khuwab Bante Ho Magar
Koi In Me Aa Basa To Kya Karo Ge Soch Lo

Dar Dareche Sab Muqfil Kar Ke Bethe Ho Magar
Wo Achanak Aa Gaya To Kya Karo Ge Soch Lo

Doobte Sooraj Ka Chehra Aur Us Ki Naqhs Pa
Jab Wo Manzar Gum Howa To Kya Karo Ge Soch Lo

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng