Skip to main content

Meray aas pass rehna

Meray aas pass rehna
mujhe chorr k na jana

Mujhe dar lgta he

Shehar ki tanhaion se
Jawani ki ruswaion se

Muhabbat ki judaion se
Mann ki bewafaion se

Mujhe dar lagta he

Her udas sham se
wafa k ilzam se
Apne hi naam se

Mere aas pass rehna
Mujhe chorr kr na jana
Mujhe dar lagta he

Waqat ki chaal se
Bicharnay k khayal se

halaat k jaal se
apnay hi ik sawal se

mere ass pass rehna
Mujhe chorr kr na jana!!!!

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng