Showing posts with label Yagana Changezi. Show all posts
Showing posts with label Yagana Changezi. Show all posts

Mujhe dil kii Khataa par 'Yaas' sharmaanaa nahii.n aataa,


Mujhe dil kii Khataa par 'Yaas' sharmaanaa nahii.n aataa,
paraayaa jurm apane naam likhavaanaa nahii.n aataa,

buraa ho paa-e-sar_kash kaa ki thak jaanaa nahii.n aataa,
kabhii gum_raah ho kar raah par aanaa nahii.n aataa,

[paa-e-sar_kash=disobedient feet]

mujhe ai naaKhudaa aaKhir kisii ko muu.Nh dikhaanaa hai,
bahaanaa kar ke tanhaa paar utar jaanaa nahii.n aataa,

[naaKhudaa=boatsman]

musiibat kaa pahaa.D aaKhir kisii din kaT hii jaayegaa,
mujhe sar maar kar teshe se mar jaanaa nahii.n aataa,

[teshe=axe]

asiiro shauq-e-aazaadii mujhe bhii gud_gudaataa hai,
magar chaadar se baahar paa.Nv phailaanaa nahii.n aataa,

[asiiro=prisoners]

dil-e-behausalaa hai ik zaraa sii Tiis kaa meh_maa.N,
vo aa.Nsuu kyaa piyegaa jis ko Gam khaanaa nahii.n aataa.


kiskii aavaaz kaan meiN aaii


kiskii aavaaz kaan meiN aaii
duur kii baat dhyaan meiN aayii

aap aate rahe bulaate rahe
aane vaalii ek aan meiN aayii

yah kinaara chalaa ki naav chalii
kahiye kyaa baat dhyaan meiN aayii!

ilm kyaa ilm kii haqiiqat kyaa
jaisii jiske gumaan meiN aayii

aankh niiche huii are yah kyaa
yuuN Garaz darmyaan meiN aayii

maiN payambar nahiiN yagaanaa sahii
is se kyaa kasr shaan meiN aayii

Silsilaa chhiR gayaa jab Yaas ke fasaane kaa


Silsilaa chhiR gayaa jab Yaas ke fasaane kaa
shamaa gul ho gayee dil bujh gayaa parvaane kaa

vaae hasrat ki taalluq na huaa dil ko kahiiN
na to Kaabe ka huaa main na to sanam-khaane kaa

Khilvat-e-naaz kujaa aur kujaa ahl-e-hawas
zor kyaa chal sake faanuus se parvaane kaa

vaah kis naaz se aataa hai teraa daur-e-shabaab
jis taraH daur chale bazm meN parvaani kaa