Skip to main content

Mohabbat k Afsane bhi Aksar ajeeb hote hain

Mohabbat k Afsane bhi Aksar ajeeb hote hain
Haqeeqat se Dor Magar dil k Qareeb hote hain

Khushiyaan to AB KItaaboon ko Hisa ban chuki
DUkh hi Sab ko Mohabbat main Naseeb hote hain

Qisa Bhale hi purana ho Magar Riwaj ab bhi hai
Majnoo her Zamane main hi Ghareeb hote hain

Kiss kiss se Lar Sake gi yeh Tanha Mohabbat
Sare duniya wale hi is k Raqeeb hote hain

Mohabbat k Qabar per Bana diye Taj Mahal
or Aise Mahal bhi Hisa e Tehzeeb hote hain

Nirale hain Zaabtey mohabbat k A Dil Nasheen
Jo Rog dete hain Woh hi Tabeeb hote hain

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng