Skip to main content

wo yahaN se nahiN gaya ab tak

 
 
wo yahaN se nahiN gaya ab tak”
sab wahiN hay paRa hua ab tak

khwaab ankhoN se hay khafa ab tak
so mujhy neend hay sazaa ab tak
..
 tum ne jo dard-e-dil diya tha kabhi
koi us meiN hay mubtilaa ab tak

wo jisy tum ne tanha choRa tha,
wo kisi ka nahiN hua ab tak

us ki ankhaiN thiN is qadar roshan
mera din hi nahiN dhala ab tak

wo chubhan aj bhi hay kal jesi
zakhm bhi hay naya naya ab tak

maiN adam se kahaN chala aya,
raasta pa nahiN saka ab tak

wo jisy maiN ne apna ap diya
 wo mera ho nahiN saka ab tak

keh do ja kr mery maseeha se,
mer chuka huN mai bar’haa ab tak

ab nahiN ho gi shairi mujh se
likh diya jo bhi likh saka ab tak

kesi bad-qismati hay ye ,
mil k bhi wo nhi mila ab tak…
 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.