Skip to main content

Unhen shikayat hai....

Unhen shikayat hai....
Main kioon unke qahqahon mainhoti nahi shareek....
Muskurate chehron ki bazm main
Bejaan chehra lye kya takti rahti hoon
Unhen shikayat hai...
Mere mukhtasar sanjeeda jumlon main
Kahte kahte ....
Kuch ruk si kioon jati hoon
Ab un se main kya kahoon...
Thi ek roz main bhi  tez raftaar nadi ki tarh
Shor thaa...
Shokhi thi....
Shokh guftaar thi...
Bhot din hue
Ab to smander se ja mili hoon
Sari tughyaniaan ..
Jolaaniaan
Kho gain wusaaton main  ..
Gehraioon main
Unhen kese samjhaaoon ke mujh main
Har roz toofaan aur selaab aaay nahi karte
Unhen shikayat hai.......

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.